Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9979
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Qurbani k liye ager jis ki namaz e eid chooth jay to kiya wo qurbani ho jay gi?

Answer: Jee haan, ho jaey gi. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Istifta from https://www.sistani.org/urdu/qa/25166/) Update on dated 12-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10634
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera bhai dubai rahta hai or us k naam ki qurbani krni ha kya uska hath janwer ko lgana lazmi kyun k usy choti ni nil rhi wo ni askta to kya agr wo pas na howa to usky naam ki qurbani ni hoskti?

Answer: Qurbani ho jaey gi, qurbani k liay hath lagana zarori nahi hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ). Update on dated 06-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 10638
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mere per 2 lakh ka qarza h many apni walida ko dena h may qurbani de sakta hu

Answer: Qurbani karne wale par qarz bhi ho tu bhi wo qurbani kar sakta hay. .(https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/).

Id: 10647
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: "Eid per janwar Zibah krny k bad janwar ki khaal baich sakty hain ya nahi"

Answer: jaiz hay.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). Update on dated 06-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10650
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ghr ma kitny paisy ya gold hu tu qurbni wajib h

Answer: Eid per qurbani karna wajib nahi hay, qurbani faqat os shaks per wajib hay jo hajj kar raha ho. ( Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ + https://www.sistani.org/urdu/book/62/2974/ ) . Update on dated 06-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10654
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AGAR NEEYAT KI HUE HO QURBANI K LEAY AUR GHALTÄ° SAY SHAVE KAR LAIN .. KYA QURBANÄ° HO GE

Answer: Mard per daarhi moondhna ehtiyaat e wajib ki bina par jaaiz nahi hai lekin agar qurbani karna chahte hai tu qurbani ho jaey gi.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah#2042). [Updated on 06-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10655
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Bachry ki age kitni honi chahiay

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par 2 saal mukammal kar chuka ho.(Ref:http://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 06-08-19 .(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10656
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia sirf marhoom ki trf se qurbani kr sakty hn??

Answer: Jee haan, Marhoom ki taraf se qurbaani ho sakti hai. ( Ref: Deen k ahkaam , A.sistani(d.b) , Mafhoom e maslah#584,Pg#186 ). [Updated on 07-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10660
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya katta ki qurbani kar sakta ha kuch log kehta ha ka katta ki qurbani ni hoti es ka answer da dain plzz. Shukria

Answer: Ehtiyaat e lazim ki bina per qurbani main gaey or bakre ki umar 2 saal se kam nah ho.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). Update on dated 08-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). [Updated on 08-Aug-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10662
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: How many person have to do zabiha in a house where 6 person are on job

Answer: One animal is enough for them.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). Update on dated 08-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!