Question: asslamalikum sir main yeh conform karna chahta hn hum 4 bhi or abu qurbani main hisa dal sakty hain maslan 5000 main dy deta hn or 5000.......5000 baki sub bhi dety hain to kya is sorat main qurbani ho sakti ha kindly informe kr den
Answer: jee bilkul ho sakti hai. mustahab qurbani mai jitnay hissay chahy daaly jaa sakty hain.(Ref: Ayatullah Sistani (d.b) ,Manasik-e-haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#2, ques#4) [Updated on 17-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera sawal yeh hai k .. kia mery husband apni maa k kehny pr uskay hisay ki qurbani kry jab k hamny apni qurbani b karni hai aur unka mian b zinda hai...is tarhan financial bojh hota hai hamari pocket per .. mehrbani kr k tafseeli jawab dai dain..
Answer: Aik hi qurbani main aap sab shamil hosakte hain or sawaab bhi sab ko milay ga ye zaroori nahi k sab k sab alag jaanwar lein balkeh agar aap k shohar aik hi jaanwar lein or apne or apne khaandaan ki taraf sai niyyat kar lein tou sub ko sawaab mil jaaye ga. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/) [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr qurbani ka irada ho aur hissa be dal deya ho to phir neyat kis din kar . Eid wala din ya zilhajj ka pehlay din
Answer: niyyat zaban sai karna zaroori nahi hoti iraada faqat kaafi hota hai. agar aapne qurbani ki niyyat sai hissa de dia hai tou wo mustahab shumaar hojaaye ga alag sai niyyat karna zaroori nahi hai. Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ [Updated on 24-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia us janwar ki qurbani ho sakti ha jis ki tail cuti ho lykin zgam na ho
Answer: Mustahab qurbani k janwar mai wo shrait lazim nhi hain jo hajj ki wajib qurbani mai lazim hain, lehaza kana, langra, kaan kta, seeng toota, khassi aur dublay janwar ki qurbani jaiz hai agar chah afzal o ahwat ye hai k salim aur mota ho. (Ref : ayatollah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=831716&id=6&pid=3555) [Updated on 24-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar kisi ky sath hissa dalna ho tou 7 login ka hona lazmi hA ya 5 bhi kar sakty hain
Answer: Qurbani k jaanwar main hissa daalne main afraad ki koi qaid nahi hai jitnay afraad chahain hissa daal sakte hai, 7 se kam hoo ya 7 se ziyada. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 24-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jis par Qurbani Farz Ho Aur Us Waqt Uske Paas Paise Na Ho to Qaraz Liye kar Qurbani karna kisa hai..?
Answer: Qurbani mustahab e takeedi hai karna wajib nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr qurbani ka irada ho or OS k paise kisi zarorat mand ko de diye jaen tu Kia ye sahi hy?
Answer: Aisa karna jaiz hai Q k qurbani mustahab e takeedi hai karna wajib nahi hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 25-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mjy ye Jana ha k kya 1zuhajj se 10 zuhajj tk jis NY qurabni krni ho ball kitawa Ku ni skta plz dalel k sth ans dy AGR kya ye sunatt ha ??? Plz inform me
Answer: Baal ya naqun kaatey jaa sakte hai koi maslah nahi hai.Ref:https:(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0271/). [Updated on 25-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Ahle sunat bhaion k sath qurbani ki ja skti hy
Answer: Jee ki jaasakti hai koi harj nahi. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/) [Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qurbani m aurat k shohar ka name liya jayega ya aurat k Walid ka
Answer: Naam laina zaroori nahi hai faqat os aurat ki niyat kar li jaey tu un ko bhi sawaab mil jaaye ga.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 27-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]