Question: Mufti saab kia buffalo ki qurbani jaiz he agr nhi jaiz to aik alam keh rha tha ky ye gy ki jins se hy isly ye jaiz hu
Answer: jee bilkul jaaiz hai buffalo ki qurbani ki jaasakti hai.Ref:(https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/) [Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: हक़ीक़ा के लिए बकरा 1साल का होना जरूरी है क्या
Answer: एहतियात के तौर पर बलि देने वाले बकरे की उम्र दो साल से कम नहीं होनी चाहिए। https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa. Aaj kal saray musalmanon me Stainless steel ki knife se hi janwar zibah kie jatay hein to Aisay me Ayatullah sistani kay muqalid kia karein kiu kay wo stainless steel ki churi kay zebiha ko aam halat me jaiz nahi qarar detay?
Answer: Steel ki churi se zibah karne main ayatullah sistani ki ehtiyaat e wajib hay aap is ehtiyaat main aliekm aap ayatullah shubairi zanjani sahab ki janib ruju karain, wo steel churi se zibah karne ko jaiz qaraar daite hain.(Ref: https://zanjani.ir/%DA%A9%D8%AA%D8%A7%D8%A8%D8%AE%D8%A7%D9%86%D9%87/%d8%b1%d8%b3%d8%a7%d9%84%db%80-%d8%aa%d9%88%d8%b6%db%8c%d8%ad-%d8%a7%d9%84%d9%85%d8%b3%d8%a7%d8%a6%d9%84/?fa) p[Updated on 14-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir kindly mujhy btaye k Ahl e bait ma kon kon shmail hai aur kya unma 12imam bi shamil hain ya srf panjatan e pak shamil hain?
Answer: Ahl e bait a.s sai muraad 14 masoomeen a.s hain or ye baat aap ko quran mai nahi balke quran ki tafaseer main mil jaaye gi. aap tafseer namoona tafseer e meezaan tafseer e burhaan tafseer e ayyashi wagera ki taraf rujoo kar sakte hain.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D8%A7%DB%81%D9%84_%D8%A8%DB%8C%D8%AA_%D8%B9%D9%84%DB%8C%DB%81%D9%85_%D8%A7%D9%84%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85 ) [Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hamri gay ki ankh main kuch chala gya uss ki ankh ka rang sufaid ho gya hai likin nazar thek hai kya iss sorat main Qurbani ho jati hai.
Answer: mustahab qurbani hai tou qurbani hojaayegi aankh ka salim hona zaroori nahi.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya koi ladki qurbani mein apna naam shohar aur mayke dono k ghar k qurbani mein de sakta hai?
Answer: jee bilkul qurbani mai ghar walon ko deegar momineen ko shamil kia jaa sakta hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia hum fuutt hui bande ki kurbani kra saktai hain.us kai naam pr??
Answer: Jee han,reja,an ( matloob perwardegaar hone ki umeed me ) maiyat ki taraf se qurbaani ki jaa sakti hai. (Ref:sistani.org ,topic, arabi,al ,uzhehatu ,sawaa#1,Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42,pg#488 ). [Updated on 16-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salaam u alaikum, ji mera sawaal ye hai ki qurbani me kis kis ka hissa liya jaa sakta jaise 18 saal se chote bachon ka bhi hissa liya jaa sakta hai? kya isme koi age guideline hai?
Answer: (mustahab qurbani jo hajj per wajib qurbani hote hai us ke ilawa hote hai us ) Qurbani k jaanwar main hissa daalne main afraad ki koi qaid nahin hai jitnay afraad chahain hissa daal sakte hai, aur isi tarah (qurabaani me hissa daalne walo ki )umr(age)ki bhi qaid nahin hai.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 16-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aurat ke naam se qurbani desakte hai??
Answer: Naam laina zaroori nahin hai faqat os aurat ki taraf se qurbani niyat kar li jaey tu kafi hai.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 19-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya bakri ki Qurbani jahaz he
Answer: Jee han, Bakri ki qurbani ki jaa sakti hai. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ). [Updated on 26-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]