Question: Hiran ki qurbani jaiz hai
Answer: Jee nahn, Hiran ki qurbani sahe nahe hai.(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/ ). [Updated on 03-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا قرض دار قربانی کر سکتا ہے ہے
Answer: Agar qarz ki adaigi ka waqt aagay ho tu or qarzdaar k liay adaigi mumkin ho tu tu qarz ada karna wajib hay. or is k baad qurbani ki raqam maujood ho tu phir qurbani bhi kar li jaey Q keh eid ul azhaha per qurbani karna musstahab hay. Aagar qarz ki adaegi ki tareekh baad main aaey gi tu phir pehle qurbani ki jaey or baad main qarz ki tareekh per qarz ko ada kia jaey. (Ref: Minhajus saliheen, jild#2, maslah#994) Updated on 29-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ایک آدمی کی کسی دوسرے انسان سے بول چال نہیں ہے اور وہ ایک قربانی کر سکتے ہے کہ نہیں جیسے پانچ اور سات مل کر کرتے ہے
Answer: Qurbani ke aik janwar me aik se ziyada hissay ho sakte hain lehaza ab is se koi faraq nahin parhta ke wo hissedar aapas me baat karte hain ya nahin , ya aik dosre ko jante hain ya nahin. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/02443/) [Updated on 25-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya 2 bhai mil k janwar mein ek hissa dal sakty hen or agr hm ny ksi k pesy dyny hon per filhal mojud na hon to kya hm qhrbani kr sakty hen
Answer: 1: Jee han, mustahab qurbani men dono mil kar aik hissa dal sakte hain. 2: Jee han, is soorat men bhi kar sakte hain. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02443/). [Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalmo alaykum warehmatullahi wabarkatahu ,kiya mein Ammi aur meri bhai ki biwiyoon aur Unke bacchon ka Aqeeqah kar sakta hoon, Aur cow mein kitne aurtoon ka hiss’s hota hain pls
Answer: Kar sakte hain, lekin laazim hai ke har fard ke liye alag alag janwar hona chahiye, yani aisa nahin ho sakta ke aik janwar me sab ka aqeeqa ho. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #374). [Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia 2 afrad qurbani dey saktey hain
Answer: Jee han, Mustahab qurbani men 2 afrad mil kar aik janwar ki qurbani kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh Ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #1286). [Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya hum apne 8 mahine ke bacche ka naam qurbani me desakte hai
Answer: Jee han, ghar ke tamam afrad or bache ko bhi shamil kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #1286). [Updated on 21-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam... Agar hum apni qurbani ke paisy si koi zarorat pori karlain jese behan ki shadi ki waja se qurbani na kar payen paisy wahan laga dain to kya yeh jaiz hai qurbani rok kar kisi zarorat mand ki zarorat karna ???
Answer: (Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain). fiqha e jaffaria k mutabiq jo shaks hajj karne ke lie makkah nahe gaya hoa hay or dunniya me kahe bhe rehta hay us ke lie Qurbani karna takeedi mustahab hai or us ke lie qurbani karna wajib or zarori nahe hay lehaza agar qurbani na karen aur paise kisi zaroorat mand ko de den to is me aap ki marzi hai aap de sakti hain, lekin qurbani ka sawab nahin mile ga Q ke agar aap ke pass paisy mojod the or janwar bhi le sakti theen jabke aap ne aisa nahin kiya lehaza qurbani ka sawab nahin mile ga. Han albatta agar aap kisi zaroorat mand ki madad karen to us ka sawab Inshallah zaroor mile ga. or is surat me qurbani na karne ka koi gunah nahe mile ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1443, Mafhoom e Maslah #1283,1285). [Updated on 29-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qurbani ke janwar ko kurta kat le to kya hukm hai?
Answer: (Note: Is website per fiqh e jaffaria {shia mazhab) ke mutabiq jawabaat diye jatay hain). Aur fiqh e jaffaria k mutabiq is janwar ki bhi qurbani kar sakte hain Q ke Mustahab qurbani ke janwar me wo sharait lazim nahin hain jo hajj ki wajib qurbani me lazim hoti hain, lehaza aibdaar janwar (jis me koi naqs ho) ki qurbani kar sakte hain. (bas eid qurbaan ke din tak ,ye jaanwar zindah hona chaaie taake is jaanwar ki zibhaa karne wale tamaam tamaam sharaait ke sath is jaanwar ki qurbaani ki jasake ) (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, Maslah #1284). [Updated on 05-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya aik momin per 7 qurbaniya daina wajib hai?? Aur kya aik hi baar mein aik sy zyada afraad aik janwar perr apni saari qurbaniya dayy saktay hein??? Khaminei sb k mutabiq bataiyay ga.
Answer: Ayatollah Sistani(d.b) ke mutabiq ghair e haji par saal me aik martaba, aur aik hi janwar qurban karna Mustahab hai, Wajib nahin hai. Mustahab Qurbani main jaiz hay k insan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi tarah qurbani main kaseer afraad(many persons) ka Hissa dalna jaiz hay. (Ref: Manasik-e-hajj wa mulhaqaatiha, Ayatullah Sistani(d.b), edition #1431, hashiyah #2, sawal #4). [Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]