Question: during washing nijis cloth hands become nijis with nijis water,now wet hand touches tap.after still tap is wet someone touch tap with wet pak hand .is new hand become nijis ,if yes then would it make other pak thing also nijis before drying?
Answer: Ager najis kapro ko dhote howe najis pani hath par lag jaae to jab ye kapre paak ho jaae ge to ye haath bhi paak ho jaae ga. Een e nijasat ager kisi paak cheez ko najis kar de to ye 2 paak cheezo se ziyada ko najis nahi karti, masalan ager kapre peshaab se najis hon or phir sookh jaain phir gila haath in ko lage to haath najis ho jaae ga (ye 1st hai) phir ye najis hath sookh jae phir gila tap is hath ko lage to najis ho jae ga (ye 2nd hai) ab ager ye tap sookh jaae or phir kisi ka gila hath is ko lage ga to hath najis nahi hoga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 119 (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: salam, mera ye sawal jab main peeshab krti hun to mujhe shak r weham sa ho k jaise mere kapron ko cheentay lag gye hon mujhe is weham ya shak khatam hone ka hal btayen plzzzz
Answer: jab tak kisi chiz ki nijasat ka yaqeen na ho tak usko pak samjain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 117 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: peshab ka katra galti se lag jaaye to gusul ka tarika
Answer: Peshab se ghusl wajib nahi hota albatta peshab najis hai agr wo badan ya libaas men lag jaye usno krna parega. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,31rd Edition,maslah #344)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam. is perfume (both local and imported) pak or najis. Further can we offer prayer with this or not Thanks and Jazak Allah
Answer: Wssalam o alykum, it is paak, and can be performed namaaz with it. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 852)(Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 37 , pg # 58 , eidition # 5 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).
Question: kia juma mubarak k din kapray dhona sai hai ya ghalt??
Answer: jumma e mubarak ko kapre dhona Sahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 786 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Jab peshab karty Hain to bad main kalma nahi parhna hota to is halat main Kia karna chahiy
Answer: Taharat o istibra ke sahi hone main kalime ka pharna zarori nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Aak aan najis 3 cheezu (bilawasta) sy ziadah najs ni krskhti....kia unn 3 cheezu ka najast lagny ky baad sookhna lazmi ha???
Answer: een e najis 3 chezo se ziyada ko najis kar sakti hai, pas jab bhi koi paak cheez ratobat ke sath een e najis (masalan sharaab, kuta, suwer, kafir ect) se lage gi to wo najis ho jaae gi. Han Een e nijasat ager kisi paak cheez ko najis kar de to ye ab najis honi wali pak chiz 2 paak cheezo se ziyada ko najis nahi kar skti, maslan ager kapre peshab se najis hon or phir sookh jaain phir gila haath in ko lage to haath najis ho jaae ga (ye 1st hai) phir ye najis hath sookh jae phir gila kapra is hath ko lage to ye kapra najis ho jae ga (ye 2nd hai) ab ager ye sookh jaae or phir kisi ka gila hath is ko lage ga to lagne wala hath najis nahi hoga.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 80 , 119). Note Sookhna zarori hai.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: agar kisi steel k bartan par peshab ka qatra lag jay to us ko paak karny ka treqa bata den
Answer: Najis bartan k induruni (internal) hissa ko qaleel pani se 3 dafa dhona zarori hai. jiska tariqa ye hai k bartan ko 3 dafa bhara (full kiya) jaay aur har dafa khali kar diya jaay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #144, 149) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya mein quran aur tasbi bina wazookiyay bina sar ko dhape huway pad sakti kyon ki mein kam par hoon
Answer: Ager Quraan e Majeed ko hath na lagaye or is ko bageer wazo o parde ke pharna is ki be-hurmati shumaar na ho to phar sakte hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 129 , 315).
Question: kya hum nijasat main kapre dho k pak kar sakte hein? matlab k agr humbistari k baad bagair gusal kar k kapre wash karen to kya woh kaprey pak honge?
Answer: Jee haan, kar saktain hain kaprhe paak rahain gaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #156). Update on dated 02-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).