Question: ager nahte waqat beshab ke qatrsa nikal jaye to tangoo ko maal kar dona chaye ya pani danlne kafi hai
Answer: 2 dafa paani daalna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #154). Update on dated 08-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salaam mera sawal yeh hai k ehtilam k bad gusal se farig hokar phle wale kapre pehne ja sakte hain ya libas bhi tabdeel krna zaroori hai
Answer: Agar os libas per mani nahi lagi thi ya agar lagi thi tu paak ker li thi tu os libas ko pehna jasakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #119). Update on dated 18-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam_o_Alaikum, Sir, Kia Ham Hinu ky Hath lga hova burtan ya glass etc use kr skty hain...
Answer: kafir najis hain. Agar on ka geela hath bartan ya glass ko laga ho tu wo najis ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah khumeni(r.a), minhajus saliheen,Mafhoom e Maslah #407). Update on dated 22-12-2015.. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sex karte waqt white discharge kapde pe lage thy.mere baal kapde pe lagy aur baal moh mai gaye main sure nahi ho k ye wohi baal hai ya nahi.kya gunah hai.plz jald he bataye
Answer: jis cheez ya jis jagha per mani lag jaay ghe us ko bas paak kiya jaay ga aur gunah nahe hoga . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119) . Update on dated 23-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Slam sir..kapry kharab ho jany k bad unhin pani se acha dho leny k bad bhi agar shalwar per mani ky nishan reh jain to Kia kapry pak samjhy jain gay...
Answer: Mani ka nishan baqi reh to koi masla nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #163). Update on dated 19-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar plastic ki balti ya bartan main dog pani pi jay to WO dobara agar pak kia jay to WO pak ho sakta ha ?
Answer: Agar kuttey ne kisi bartanse pani ya koe maya cheez pee ho, osay pehle paak matti se maanjha chahiay phir os batan se mati ko door kerna chahiay,is k baad qaleel ya kurr ya jaari pani se 2 dafa dhona chahiay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #144 ). Update on dated 09-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamualikum Mera sawal ye hai ki mani lgey hue kapdon ko kese dona hai agr mani kapdo par alag alag jgh lagi ho
Answer: Agar koi libaas peshab k ilawa kisi cheez sai najis hojaye (jese mani) to wo nijasat door karne k baad aik dafa qaleel pani us par daala jaey.jab wo pani beh jaye tou us libaas ko nichorna zaroori hay takeh us ka dhowan nikal jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #156 ). Update on dated 24-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar napak jism par pak kapde pehen le toh kya wo kapde napak ho jaenge aur unhe pehnne ke liye dhona padhega
Answer: Agar badan najis ho or os per paak keprha pehna jaey tu wo kaprha is sorat main najis hoga jab najis badan ki nijasat gilahat(wetness) k sath kaprhay ko lagay.wazeeh rahay k wo shaks jo janabat ki halat main ho ya wo aurat jo haiz ki halat main ho, on ka pasina paak hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #114,119). Update on dated 01-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal ye he k chota bacha 2 sal ka ho to uska peshab najas he ya nh? Wo peshab kapron p lagne se unhi kapron men namaz parh sakte hen k nh?
Answer: Bache ka peshaab najis hai. Aisa bacha jis ki doodh k ilawa koi giza nahi hai agar us k peshaab sai libaas najis hojaey tu us par aik baar pani daalna chahiay, chahay pani kum hi q na ho is tarah daal day k tamam najis maqamaat tak pohanch jaey tu wo libaas paak ho jata hai or isey nichorna bhi zarori nahi hai albatta ehtiyaat e mustahab hai k aik baar mazeed pani daal dia jaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#155). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o Alikum. kya napak kapron m jo khushk hn, zubani or hath m lekr Quran pak parhna jaiz h ?
Answer: Jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #354 ). Update on dated 14-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).