Question: Agar nahane k bd badan sukhate hue mukharej e pishab se pani ka qatra nikalne ka shak ho ya waqai nikle to kya kiya jae
Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1) Uchal kar niklay. 2) shehwat k saath niklay 3) badan sust hojaye. jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156) [Updated on 16-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam haiz k gusul se namaz ho sakti hy?
Answer: Jee han, Gusl e haiz ke bad namaz parhi jasakti hai,wuzu ki zarorat nahe hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #389). [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar jism ke kisi hisse me jakhm ho ya patti bandhi ho to kaise gusl kare
Answer: Jabira ghusl jabira wuzu ki tarah hai lekin ehtiyat e lazim ki bina par ye zarori hai keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaay aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf(insaan) ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyammum karna zarori hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #338). [Updated on 23-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghusal me wazu krna lazim hai ya srf faraz ada krny sy ghusal ho jata hai?
Answer: Jis kisi ne ghusl e janabat kia ho zaroori he k namaz k lie wuzu na karay. Balke ghusl e istehaza motawasita k siwa tamam wajib ghuslon aur maslah #634 me bayan karda tamam mustahabb ghusloon k baad bhi namaz parh sakta he agarchah ehtiyat e mustahab ye he k wuzu bhi karay.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #389). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mera que ye h ki raat ne mere shohar ka ahtemam ho jaye..or wo mani mere hatho pe lg jaye .mujhe gusal krna wajib h
Answer: Aap faqat apne hath ko pak karen, is se aap per ghusal wajib nahin hota. Q ke insan do cheezon se mujnib hota hai 1. jima se 2. mani ke kharij hone se aur ko is tarah ka masamla paesh nahin aaya lehaza aap par ghusl wajib nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,344,356). [Updated on 04-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya koi bhi ghusal karne se phele sharam gah ke baal uthrna zaroori hota Ha ya phir 40 din taak na utharey Tu bhi theek ha?
Answer: Jee nahin, Dono soorton men baal saaf karna zaroori nahin hain. mardo pwer har 40 din baad or khawateen per har 20 din baad sharamgaah k baal saaf karna mustahab hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #356,360+ https://www.sistani.org/arabic/qa/0504/#8632). [Updated on 10-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walaikum mene suna hai k agar larka ek Hindu larki se Zina kare to us ka ghusal jab Tak ni hota tab Tak k wo ek paki eent k uper nahata jae or jub Tak wo eent khatam na ho jae to wo larka pak ni hota Kiya ye sach hai?
Answer: Agarche us larke ne zina kar ke aik haram kam anjam diya ha ( or tuba karna chaiei) lekin ghusl kare to us ka ghusl ho jaye ga. Insaan par namaz or is jaisi dosere ibadat k liye ghusl e janabat wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #356). [Updated on 30-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jab ham ghusl e janabat karne jaate hai to kya ham pehle soap lagakar badan ki chiknahat aur sar par laga oil hatakar uske baad ghusl ki niyat karke ghusl kar sakte hai ya fir sidhe ghusl hi lena padega bina soap se dhoye body ko?
Answer: 1: Jis jagah nijasat lagi hai sirf us ko paak kar lena kafi hai aur paak karne k baad namaaz perhne k lie ghusal e janabat karna zaroori hai. aur sabon se dhona lazim nahin balke jis pani se paak kiya jaay us me bhi sabon nahin hona chahiye. 2: Sirf chiknahat say koe faraq nahin parhay ga lekin baqaeda tour par itna oil laga huwa hay ke paani k puhanchnay men rukawat hai to usay hatana zarori hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #119,144,360) (Ref: Mujtahid say pochay gaey sawalaat, part #4, pg #26). [Updated on 29-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghusl e janabat ada na kiya ho or haiz ka masla paish ajaye to kya hukm hai??
Answer: Aap chahen to Haiz ke ghusl ke sath janabat ka gusal bhi kar sakti hain. Q ke Jis shakhs par chand ghusl wajib hon wo un sab ki niyyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai ke agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon k liay bhi kafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387). [Updated on 29-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mian aur bivi raat main hambistri krain aur hambistri ky baad bivi ko periods ho jain tou aisey main jo hambistri ki kya woh jaiz ho gi? Is hawaley sy ayatollah sistani ka konsa fatawa hai?is surat main aurat ghusl e janabat kb ada kry gi?
Answer: 1:Haiz ki halat men Hambistri karna miah ,biwi dono ke lie haram hai albatta Haiz se pehle humbistri haram nahin hai lehaza agar hambistri haiz aane se pehle ki gayi ho to jaiz hai. 2: Is surat men aurat chahe tu haiz se pak hone ke baad haiz ke ghusl ke sath janabat ka gusal sakti hai. Q ke jis shakhs par chand ghusl wajib hon ( masalan gusal janabat or gusal haiz tu) wo un sab ki niyyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai ke agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon k liay bhi kafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,387). [Updated on 29-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]