Question: Mujhe sotey hue ehtalam hogya he..or me accident hone ki waja se naha nai skta to ab me kia karun?
Answer: Aap ko ikhtiyaar hay k ya ghusl ka tayyamum karain ya ghusl e jabira karain, agar aap ghusl ko ikhtiyaar kerte hain tu tarteeb se ghusl karain or jab zakham k maqam tak pohnchain tu agar rakham per patti nah ho tu ehtiyaat e mustahab ye hay k zakham per paak kaprha rakhe or os kaprhe k oper masah karain. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #338). [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal ye hai ki agar pahekhana karte waqt dhone ke time par agar sharmgah ke pichle hisse me khudki ungli chali jaye ya pahekhana karte time pichle hisse se kuch mani ya mazi ke jaise kuch nikle to kya isse ghusl tut jata hai
Answer: Agar yeh kaam shehwat ke sath ho to haraam he, lekin ghusl wajib nahin hota. 1) Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) 2) do chezo se insane per ghusl e janabat wajib hota hay 1. mani k kharij honay se 2. jima kerne se (yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main). (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356) [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir Rozy ki halat ma ehtilam ho jaya to kia Ghusal krty waqt galy tk pani or naak ki narm hadi tk la ja skty Hen?
Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Ghusl me kuli karna aur nak me pani dalna zaroori nahin. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #367,380). [Updated on 17-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar peshab se phly mani ka gara qatra a jae to kya gusul wajib h..?
Answer: jee agar aap ko yaqeen hai ya k ye kharij hone wali rutoobat mani hai tou aap par ghusal krna wajib hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar chip chipa pani nikal jaye to kya hum napak ho jayenge
Answer: Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai usi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur wuzu ko bhi batil nahin karti (yani namaz parh saktay hain) aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai. ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila howa na ho to pak hai is k alawa is sai ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k baad Istibra kiya ho aur is k baad ratubat kharij ho jis k bare me shak ho k wo peshab hai ya mazkora baala 3 ratoobaton me se koe aik to wo paak hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #70). [Updated on 07-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya haiz k ghusal k wqt husband wife sath naha skty hain?
Answer: jee is mai koi harj nahii hai kyun k nikah k baad husband wife aik doosre k liye halaal hojaate hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 pg no 357). [Updated on 07-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ássalamualikum sir ager sirf sex ki bat kari h par kuch bhi nahi kara na hath touch kara na sex kara na kuch kara os waqt jo pani ata h aise mein kya gusal wajib h
Answer: Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai usi mazi kehtay hain aur wo paak hai. Aur ghusl bhi wajib nahin hota aur wuzu ko bhi batil nahin karti (yani namaz parh saktay hain) aur wo ratubat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise wazi kaha jaata hai. ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay wadi kehtay hain agar is sai peshab mila howa na ho to pak hai aur is sai ghusl wajib nahin hota hai.(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #70). [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal se hai k agr mazi or mani aik sath soty hwe nikaly to kya gusl wajib hi gya??? Yani mazi me safaid rang ho.
Answer: Agar mani nikle tou ghusl wajib hojata he. Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1) Uchal kar niklay. 2) shehwat k saath niklay 3) badan sust hojaye. jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156) [Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bevi ke figer ko dekhne se pani nahana padta ya nahi
Answer: is sorat main ghusl karnawajib nahi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sitsani(d.b), edition #42, maslah #344). [Updated on 27-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alaikum Janab agar gusl janabat karne me aksar tbiyat kharab ka dar ho to kya biwi ke sex karke tayyammum kar le sahi h?
Answer: Agar ghusl karne se bemaar hone ka khatra ho to paani ko garam kar k ghusl kia jaey or agar ye bhi mumkin nah ho to ghusl k badle tayammum kia jaey, or jab majbori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ho jay ga, Or phir (namaz or is jise kaamo ke lie) ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #659). [Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]