Question: aurat ko kesy malom ho k ye lekoriya h ya mani plz mujhy iska jwb de m is shak ki waja se namz bhi nhi prh pa rhi 2 sal se gusal hi nhi kr pati is shak ki waja se plz jwb den de iska
Answer: Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Note: Likoria (safeed yellow color ki ratubat) mani nahi hay. Ye paak hay or is k aanay se ghusl bhi wajib nahi hota. Aur namaz aur doosri ibadaat bhi kar saktay hain. [Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr aurat khud hath sy khudko farigh kary tw ghussal faraz hy kya?
Answer: 1-Istimna or khud lazzati, haram hay chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho, or merd or aurat k dermiyaan koe faraq nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #2296) . 2-Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345)۔ [Updated on 24-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: غسل ترتیبی کی نیت جسم کو صابن سے صاف کرنے کے بعد کرنا ہوتا ہے۔ یا نیت کر کے سر اور گردن صابن لگا کے پھر جسم کو بھی صابن سے دھو کے صاف کرے یہ کافی ہوگا۔ مہربانی تفصیل سے وضاحت فرمایں
Answer: Niyat zabaan sai nahi ki jaati nah hi niyaat ka dil sai guzaarna zaroori hai bus faqat kaam ka iraada kaafi hai isi ka naaam niyyat hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah #930 (Note: Agar aap ka irada tha ke dusl karne ja raha hon to kafi ha, aur aap ka gusl saheeh hai.) [Updated on 23-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: If during laugh urine drops leak . In this condition gusal is wajib? Or do just haadi?
Answer: G nahin is se ghusl wajib nahin hota....(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ). [Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Chipkali Marne se ghusl wajib hjata h
Answer: Jee nahi aisa koi wajib ghusal nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 pg no 62). [Updated on 03-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Proper and detailed process of Ghusal Janabat Kindly mention
Answer: Ghusl ka tareeqa : Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohanchaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobara say dhoo dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nahin ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam alekum, is wazu required after performing jumma ghusl for namaz e zuhrain as per Ayatullah Sistani sahib. jazakallah khair
Answer: No.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 456 , 360-365, 357, 389) [Updated on 15-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar ghusal ke dauran peshab ka qatra nikal jaye to kia ghusal dubara karna hoga
Answer: Agar ghusl k doran kisi shakhs se hadas e asghar sarzat ho jey maslan peshab nikl jay to us ko ghusl ko tark kar k shru se ghusl karna zarori nahi he balke wo apne is ghusl ko mukammal kar sakhta he is surat me is ghusl ke bad ehtiyat e lazim ki bina per wuzu bhi karna zurari he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 384). [Updated on 21-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghusl e janabat ki niyat karne se pehle poora jism pani se saaf kar sakte hein? aour uss ke baad kya niyat kar ke ghusl ada kar sakte hein?
Answer: Sub se pehly najis shuda maqam ko pak kiya jaye ga aur agar chahen to poora hi nahaa lain tab bhi sahih hain aur is ke bad Ghusl e janabat ki niyat kar ke gusl kar saktay hain.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah #360). [Updated on 12-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Slam agr bv k sth cherte waqt mani niklna ka chance ho or mani nikalna na de to ghusul wajib hoga ki ni. Jb mani na nikli ho
Answer: Agar dukhool (intercourse) hoa hai tou chahay mani kharij ho ya na ho ghusal wajib hojaaye ga or agar dukhool nahi hoa or mani bhi kharij nahi hoi tou ghusal wajib nahi hoga.(Ref:tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348). [Updated on 20-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]