Question: السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ! اگر میں فجر کے وقت اٹھوں اور مجھے احتلام ہو گیا ہو ۔سردیوں کا موسم ہو اور پانی بھی بہت ٹھنڈا ہو ۔غسل کا کہنے کے لئے بہت شرماتی ہو اور لباس اور بدن دونوں نجس ہوں تو کیا تیمم کر کے نماز پڑھی جا سکتی ہے؟
Answer: Agar ghusl karne se bemaar hone ka khatra ho tu paani ko garam kar k ghusl kia jaey or agar ye bhi mumkin nah ho tu ghusl k badle tayammum kia jaey, or jab aap ki majbori khatam ho jay gi tu tayammum bhi batil ho jay ga, Or phir aap ghusl e janabat anjaam dain zarori hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah#659) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya galti se agar mani hathme lag jaye to hath dhokar namaaz padhi ja sakti hai
Answer: Mani k kharij hone par wajib hai k insaan ghusal kar k namaaz parhay lekin agar ghusla karne k baad mani hath par lag jaaye tou paak kar k namaz parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344) [Updated on 19-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr ghusal krny k bad paon k nakhun k uper mail reh jaye to kia ghusal batil h? Jb k mail ki layer jami hui na ho .. hatany s aram s hat jaye
Answer: Zaroori hai k us rukaawat ko hata kar utni jaga ka dobara ghusal kar liya jaaye. (Ref: Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah #373,376) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam agar ghutno my dard ho peshab shahwat Sy nikly to gusal wajib hy ya nahe
Answer: Jee nahin, Is tarah ghusl wajib nahi hota. balke mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. lekin agar mani kharij na hoi ho to gusl wajib nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b.), Edition 39th, Maslah #344) [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum Agar urgent toilet jana hai aur aadhe raste me hi toilet k khatre nikal jaye toh kya gushl karna chahiye ?
Answer: Jee nahin, Is tarah ghusl wajib nahi hota. balke mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b.), Edition 39th, Maslah #344) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aurat ki sharamgah me medicine lagane se ghusal farz hota he ya nai
Answer: Jee nahin, Is tarah ghusl wajib nahi hota. balke Insaan do cheezon say mujnib ho jata hay. 1) jima (yani intercourse) say or 2) mani (yani semen) k nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat (yani lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat (lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b.), Edition 39th, Maslah #344) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam sir aksar mery private part k Bal katny k bad Jab tory bary ho jaty hain to us par ik asi layer ban jati hy k jis ki waja Sy pani balon Tak nahi pohonch pata to agar gusal e janabt wajib hi Jaya to kiya Karen Bal Katen ya Bs gusal kar den
Answer: Agar kisi ko shak ho keh koi cheez jild tak pani pohuchnay may rokawat hay yah nahi to zaroori hay us cheez ko hata diya jaye, ya pani nichay tak pohcha diya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah sistani(d.b), Edition 41st, maslah #289,376) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam agr ghutno my kamzori ho or peshab shahwat Sy nikly to gusal e janabt wajib hi ya nahi
Answer: Jee nahin, Is tarah ghusl wajib nahi hota. balke mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. lekin agar mani kharij na hoi ho to gusl wajib nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b.), Edition 39th, Maslah #344) [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salm agar ghutno my kamzori mehsos ho ya kamzori ho or peshab shahwat Sy nikly to gusal e janabt wajib hi ya nahi
Answer: Jee nahin, Is tarah ghusl wajib nahi hota. balke mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. lekin agar mani kharij na hoi ho to gusl wajib nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b.), Edition 39th, Maslah #344) [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: "kya masturbation ki surat may sardi may thandy pani sy ghusal krna lazim ya ye bs suni sunayi bat hai or garam sy b ghussale janabat kiya ja skta
Answer: Istimna (hand practice/masturbation) karna gunah e kabira hay. aur is ke liye tauba karna lazim hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen, part #1, Edition 2009, maslah #30). Namaz or is jaisi ibadaat k liay ghusl e janabat kerna wajib hay. Or agar sardi k wajah se agar ghusl kerna mushkil ho tu paani ko garam ker k ghusl kiya ja sakta hai. is me koi haraj nahin. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, 41st, Edition maslah #356,659). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]