Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Ghusl ( 119 Questions)


Id: 13828
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya janabat wajib hone k baad nahaliya jaye or geele badan pr hi gusl krliya jaye ya badan ko sukhakr gusl kre me geele badan pr hi gusl krta hoon

Answer: Sub se pehly najis shuda maqam ko pak kiya jaye ga, aur agar poora hi nahaa liya tab bhi sahih hai, aur is ke bad Ghusl e janabat ki niyat kar ke ghile badan par hi gusl kiya sakta hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #39, Mafhoom e Maslah #360). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13880
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam agar wajib ghusal kay bad nails py nail polish thora sa reh gaya ho to kia hukam a?isi tarha agar hath mae elfi waghera chipak gae o jab kay confirm bhi nahi k elfi tha bhi k nahi to kia hukam? Weham ka kia ilaj a?

Answer: Rukaawat ko hataa kar dobara hath k us hissay ka ghusl karna hoga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah sistani(d.b), edition 41, maslah #373,376) Agar aap kaseerush Shak hain aur waswasay ki beemari main mubtala hain tu aap ko shak ki parwa nahi karna chahiye aur apnay aamaal ko durust samajhna chahiye.(Ref: Istiftaat Ayatullah Sistani(d.b), I-49). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13889
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar raat main bura ganda khawab ajaye aur mani bahar hi na nikle toh gusal wajib honga kya????!? Means hum ganda khawab dekhe aur subha uthe toh mani hi na nikla ho toh gusal karee ya nhi

Answer: Faqat bura khuwab dekhne se ghusl wajib nahi hota. gusl wajib tab hota hai jb mani kharij ho. (Ref: Ayatllah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #35, Mafhoom e Maslah #344). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13903
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا غسل جنابت کیلیے کوی خاص وقت معین ہے؟

Answer: 1: Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1. Jima(intercourse) say or 2. Mani(semen) k nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. aur namaz aur is jesi dosri ibadat ke liye gusl karna wajib ho jata hai. 2: Agar koi kisi bhi tarh aur kisi bhi waqt mujnib ho jaye to usi waqt ghusl kar sakta hai. lekin is par fouran ghusl karna bhi wajib nahin hai balke namaaz se pehle ghusl kiya jasakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Mafhoom e Maslah #344,356,1605). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13914
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia fahash film dekhne k bad ane wale katro se gusal lazim hota hai?

Answer: 1: Jinsi film sexy video ya sexy tasaveer ko shewat k sath nazar karna haraam hai balke ehteyat wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna beghair shewat k bhi haram hai (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, chapter roza, sawaal #166, pg #82) 2: Porn video ko dekhnay sai ghusl wajib nahi hota hai. Haan agar mani kharij ho jaay to ghusal janabat wajib ho jata hai. Wo liquid jo sehwat k sath niklay, uchal kar niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rkhti hai, wo najis bhi hai aur us k nikalnay par ghusl kerna wajib hai laikin agar sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai. Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Mafhoom e Maslah #70,80,344,345) 4: Agar koi shaadi na karnay ki wajah sai fail e haraam(gunah) mai mubtilaa hota ho tou us par shaadi karna wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani, Edition 41st, maslah #2407) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13949
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam-o-Alaikum... Sir agar raat ko sotay huye mani nikalti hai to sirf wo jagah napak hogi jaha pr mani lagi hai ya baki jo shirt pehni hai wo b napak hogi? Or agar hum napak hain or koi pak kapray oehanty hn to wo pak kapry b napak ho jayein gy?

Answer: 1: Sirf wohi maqam najis hoga jis maqaam par mani lagi hai. agar shirt par mani nahin lagi to shirt paak hi rahay gi. 2: Agar badan ya libas par mani lagne ke baad mani khushk ho jaye to badan ya libas najis hi rahen gay, lekin koi dosri khushk cheez is badan ya libas ko lag jaye to najis nahin hogi. aur agar badan ya libas par lagi hoyi mani khushk na ho balke tar ho to pak libas bhi najis ho jaiga. (Ref: Tauzeeh ul masail, ayatullah seestani, edition 41st, maslah #119) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13971
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: سلام غسل کرنے کیلیے پانی کو ابالے تو کیا غسل درست ہے اگر اسی ابلے ہوےُ پانی کو ٹھنڈاپانی سے مکس کرے تب غسل کرنے سے غسل درست ہوگا یا نہیں

Answer: ubl e hoay pani se ghusl karna jaiz hay, is ppani se ghusl karne se ghusl batil nahi hota.(Ref:Ayat Ullah Khumeni(r.a), Tauzee hul masail, maslah #264-297,379). [Updated on 25-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13972
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: سلام غسل جنابت کرنے کیلیے پانی کو ابالے تو کیا غسل درست ہے اگر اسی ابلے ہوےُ پانی کو ٹھنڈاپانی سے مکس کرے تب غسل کرنے سے غسل درست ہوگا یا نہیں

Answer: wsalam. jee is tarah ghusl karne mai koi harj nahi hai faqat wo paani jo suraj sai garam hota hai us sai karna makrooh hai.(Ref:urwatul wusqaa jild 1 pg no 155). [Updated on 23-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13980
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar hum shower ke neechay ghusal lete waqat shower ko band nahi kar rahe Bilkay niyat karke sirf poori body left or right side se wash kar le Tu ghusal sahi hoga ke kharab

Answer: Jee nahin, pehly sar aur gardan ko mukammal dhoya jayega is ke baad kisi bhi tariqe se apne sar ko paani se juda karna hoga (chahe shower ko band kar ke ya phir badan ko shower ke niche se bahir nikaal ke ) aur is ke baad badan ko dain(right side) taraf sai dhoya jayega phir bain(left side) taraf sai dhoya jayega. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul Masail Edition 42, Maslah #360) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13987
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr sperm ko rok len to kya ghusl wajib ho ga

Answer: Aap ke sawal ke do pehlo niklte hain. 1: Agar aap ka sawal ehtilam ke hawale se hai to is ka jawab ye hai ke Agar mani apni jagah se harkat karay laikin kharij nah ho ya Aap ko shak ho k mani kharij hoe hay ya nahi tu Ap per ghusl wajib nahin hoga. 2: Aur agar aap ka sawal Aurat ke sath jima(intercourse) ke hawale se hai to is ka jawab ye hai ke Agar koe shakhs aurat se jimma(intercourse) karay aur uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jaye to chahae ye dukhool farj(agli sharamgah) me ho ya dubr(pichli sharamgah) me aur chahae mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein.(aur dono par ghusl e janabat wajib ho ho jata hai). (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 348,351). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!