Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Ghusl ( 119 Questions)


Id: 4687
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr jima k baad ghusal kea bghair koi kpre pehan lea jain aur yaqeen ho k un pe koi rtoobat ni lgi to kia wohe kpre ghusal k baad pehne ja skte hain ya wo na pak ho jain gay?

Answer: Agar un kapro k pak honay ka yaqeen ho to namaz k lie wohi kapray pehan saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 786) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5371
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya licoria main namaz jaiz hai kya >>???? tell me answer///////.......thnx

Answer: G han bilkul namaz parh sakte hen. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 1113 to 1143 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6785
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir mera question ye hay Ghusal junabat ki neyat kia hay mein jo parhta hon mujhay lgta hay woh sahi nahi hay

Answer: Allah Taala ke hokum ki itaat ke liye gusal e janabat ke ada karne ka maloom hona hi niyat hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 360 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7189
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Makrooh kia hai wazahat karain

Answer: Makrooh yani napasandidah, wo kaam jis ka anjaam daina haram nah ho laikin anjaam nah daina behter ho. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, pg#493). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7778
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera sawal hai sharmgah ke baal cut karnay kay bad ghusal lazmi hota hai

Answer: G nahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 344 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 9344
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi kai dimaag mai bura khayaal kise wajah sai ata hai phir isako pani Safeed jaisa kapdai par laga haota hai ispai ghusul karna hai ki nhi

Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1) Uchal kar niklay. 2) shehwat k saath niklay 3) badan sust hojaye. jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156) [Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 9442
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya pani ma ghota lagany se ya swiming pool ma nahany se roza batil ho jata ha?

Answer: nahana roze ko batil nahin karta. 1) ghouta lagana roze ko batil nahin karta. 2) poora sar pani men dubona shadeed makrooh he. ahtiyat e mustahab ye he ke esa na kia jae. 3) apne libas ko pani se geela karna makrooh he. [Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10207
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA Sir Agar Mard ya aurat apni sharamgah k bal saaf kare aur bina nahai sirf wozoo kare to namaz ho sakti ya nahana zarori hai

Answer: jism k baal saaf karnay sai ghusl wajib nahi hota lehaaza agar sirf wuzu kar k namaz parh li jaey tu kaafi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 344). [Updated on 08-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10301
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalumu alaikum...agar mani kharij hone ke doaran kisi tarah rok le,matlab mani wapas jaaye lekin nafs baith jaaye,kya uss se ghusul wajib hota hai?

Answer: wsalam.ghusal wajib us wakt hoga jub mani kahrij ho jaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#344). [Updated on 09-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10312
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bivi k under dalnay k baad ager mian bivi farigh bhi na hoay hon or nafs nikaal lia jaye to ghusal wajib ho jata hai kia

Answer: Dukhool karne k baad agar mani kharij nah ho tab bhi ghusl wajib ho jaata hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348). [Updated on 15-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!