Question: Mera swal ye h k agr hsbnd apna azu wife k hath ma pkra dy ya uski tango k drmyan rakh dy magr anzaal na hua ho to kya gusal wajib ho jaiy ga k aisy e wazu kr k nmaz pr skta h
Answer: Agar dukhool nah kia ho ya mani kharij nah hoe ho tu ghusl wajib nahi hoga. (Ref:Tauzeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#348). [Updated on 12-Apr-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kaya larki ko kissing and only touching in private parts say ghusal wapis karna ho ga?
Answer: jee nahi is sai ghusal wajib nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya bachy k beshab se gila hony pe ghusal wajib ho jata ha?
Answer: Jee nahi ghusl wajib nahi faqat usay paak karna kaafi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 155). [Updated on 15-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.O.A kya underarms ky bal saf krny ky bd gushal zrori hota ha?? Ghusal na kry to kya ho ga??
Answer: jee nahi is sai ghusal wajib nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 pg no 62) [Updated on 11-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koe larki mushbat zani kry magr apni sharmgah ma koe chez na Daly or mani b kharj na ho to KIA us PR khusal wajib ho ga??
Answer: Aisi sorat main ghusl wajib nahi hoga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266) [Updated on 03-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: If a woman is doing ghusl e haiz and in between recalls about janabah and at the moment she performed the niyat of janabah so her both ghusl are appropriate or she has to do ghusl e janabah separately?
Answer: jis shaks par kayi ghusal wajib hon woh un sab ki niyyat kar ke aik ghusal kar sakta hai aur zahir yeh hai keh agar un me se kisi aik makhsoos ghusal ka qasd kare to woh baqi ghusalon ke liay bhi kafi hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Edition 42, masla no 387). [Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.O.A. Mera sawal ye hai k biwi se hambistri k baad agar kisi majboori ki wajah se ya mosam sakht sard ho to ghussal na kar saken filhaal k liye, us k ilawa kya kiya jae filhaal k liye?
Answer: Ghusl e janabat namaz aur is jaisi doosri ibadaton k lie wajib ho jata hai warna wajib nahi hota hai. Pani ko garam kar bhi ghusl kia ja sakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 42 edition, maslah # 356-8) [Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslkm kya haiz k bad dua padhke gushl karna chahiye??
Answer: Haiz k ghusl kerne k liay koe dua wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), urwatul wusqa, part#1, pg#228, 229 [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum: agar ghussal ki niyat na ki ho or dimag/zehan mai ho k ghusaal kar raha hoon ayr ghussal k foran baad shak aya ho k niyat ki thi ya nhi tu kia ghussal dobara karna ho ga ya nhi
Answer: Ye zaroori nahi k ghusl k waqt niyat karay k wajib ghusl kar raha hoon balkeh faqat khuda ki bargah mai aajzi k iraday sai ghusl kray to kafi hai. (Ref : Tauzeeh e ul masail Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 357). [Updated on 18-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr hindu larki se humbistri kr li to ghusal hota h ya nahi?agr hota h to kya tarika h
Answer: 1) Jee han Agar dukhhool hoa hai tu chahay mani kharij hoi ho ya na hoi ho ghusal wajib hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah#348) 2) Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367) [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]