Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Ghusl ( 119 Questions)


Id: 15307
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr mera irada tha nhane se phle gusl e janabat krne ka .. magr nhate vaqt bhul gya Krna !! To kya phir se nhakar gusl Krna hoga ??

Answer: Nahin, Nahana zarori nahin hay sirf ghusl karna kafi hai.(or agar jisam per koi aise rukawat hai jo pani ko jisam per pouchne se ruke tu ise door karna zarori hai)(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #344,356,360). [Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15366
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe yeh puchna h ke shohr bar bar humbistri kre toh bar bar ghusal kese kren or namaz kese ada kren?

Answer: insan chand martaba humbistri karne ke baad namaaz perhne se phele srif aik dafa ghusal janabat kar ke namaaz perh sakta hai.lehaza us ne jitne maraba humbistri ki hai us ki waja se har humbistri ka alag alag ghusal janabat zarori nahe hai bus namaz perhne ya wo ibadaat jis me ghusa janabat karna zarori hain un ke karne se phele srif aik martaba ghusal janabat karna zarori hai.(Ref : Minhaj us salaheen ,Ayatullah Sistani(d.b), part #1 maslah #210). (Updated on 29-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15388
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualikum, kya gusul sirf farz ke waqt le sakte hai sai waqt kya hai gusul lene ka

Answer: Ghusl karne ka koi khas waqt muayan nahin hai lekin Namaz, roza aur is tarah ki ibadatain anjam dene ke liye to ghusl wajib hota hai lekin agar namaz aur is tarah ki ibadaton ka waqt nahin hai to is ke elawa bhi ghusl karna jaiz hai jese ke quran ko mas(touch) karne ke liye, allah taala ke naam ko mas(touch) karne ke liye, Masjid men theherne ke liye wagera....(Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, after masala #178, pg #79,80). [Updated on 30-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15390
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1)Behate pani mein gusl ka kya tarika hai 2) aurat ka baal agar ghute huye hai kya hum hai

Answer: 1: Ghusl kay 2 tareeqay hain: 1. Ghusl e Tarteebi, 2. Ghusl e Irtimasi, Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.or ghusal ko anzaam dene me me ehteyate lazim ki bina per kaafi nahe hai ke jab sar ,gardan ya badan paani me ho ,,un ko ghusal ki niyat se harkat de balke zarori hai ke jis hisse ko dhona ho agar pani me ho tu un ko bahar laae or phir ghusal ki niyat se dhoe. Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay. 1. Dafaei. 2. Tadreeji, Ghusl e Irtimasi Dafaei ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahin hay balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghota lagaey to kaafi hay. Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho. 2: Ghusl mein un chhote chhote baalon ko jo badan ka juz shumar hote hain dhona zaroori hai aur lambe baalon ka dhona wajib nahin hai balke agar pani ko jild tak is tarah puhnchae keh lambe baal tar nah hon to ghusl sahi hai lekin agar inhein dhoe bagher jild tak pani pahunchana mumkin nah ho to inhein bhi dhona zarori hai takeh pani badan tak pahunch jaay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #360,366,367,378). [Updated on 28-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16297
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum mera aik sawal hai mujhy hr hafty ehtelam hota hai kya mai baghair ghusal k namaz prh skta hu?

Answer: Ehtilam k baad baghair ghusal kiye namaz nahin parh sakte, balke namaz, roza, ya is tarah ki ibadaton ke liye ghusl karna wajib hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344,356). [Updated on 18-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19880
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Qabz ki bemari ki waja sy agr ungli sy pheshab niklain to gusal lazmi ho ga .plz reply

Answer:

Id: 20674
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: ASALAMOALIKUM mera sawal ye hy k mujhe har waqt aisa lagta rehta hai k main napak hoon aur ghusl karti rehti hoon kabhi ehtalam ka shak hota hai kabhi yellow discharge ka shak hota hai mujhe ye bhi poochna hai k agar 2ya 3 ghusal farz hoon lekin yaad 2 hi rahe yani niyat 2 ghusal ki ki baqi zehan mein na rahe to kya ghusal ho jaeyga plz help me

Answer:

Id: 21122
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: sir meri 1 year later shaadi ha but mera nikah ho chka ha. main rozana apni biwi se cell phone p baten karta ho usally aisi hota ha ka hum pyar muhabat ki baten krte hain to meray drops gir jate ha or jab main office main hota ha to koi galat khyal aata ho to tab bhi drop gr jate hain to aisi surat main ghusal faraz ha ha ... main 5 times namaz prhta ho .. jab aisa hota ha to underware main jaha drop grta ha us jaga ko pani se wash krleta ha .. question ye ha k ghusl aisi halat main ghusal faraz ha

Answer:

Id: 23782
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam o Alaikum Mera sawal ye ha k me jabhi bt krta hu phone pe to chae wo, gandi ho ya sahi pr mery kapry, thori dair bad halky se gily mehsoos hoty hen 1 2 qatry nikal jaty hen or bht chikny se hojaty hen kapry,un qatro me chamak c hoti ha to kia guzul wajib hojata h plz jald ans dijiye ga

Answer:

Id: 24238
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Humbestar ke baad nahana zaruri hai aur poore hairs wet hoone chahiye for namaz. Agaar koi ek din mai more than one time humbistari kaarta tu namaz ke liye baar baar nahana hooga. Paar aurat ke liye poore hair se nahana baar baar aasan nai. Climate samai ka muskil hoota. Uss surat Mai kuch muswara hai kya gussul ka jisse namaz na skip kaaren

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!