Question: اسلام و علیکم سیکس کرنے سے پہلے شہوت کی وجہ سے جو پانی نکلتا ہے (جو کہ پیور منی نہی ہوتی) کیا اس پانی کے نکلنے سے غسل واجب ہو جاتا ہے (جب کہ ابھی intercourse نہی ہوا
Answer: Wo Rutobat (liquid drops) jo kabhi shehwat ubharne par mard ke Aal e Tanasul se kharij hoti hai use mazi kehte hen, or wo pak hai or is se gusl bhi wajib nahin hota, or kapre bhi najis nahin hote. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, 42 Eddition, maslah #70,344,345) [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum sir Mai aap se ye Janna chaheta hu ki gusle janabat maine Sahi Kiya ya galat Pehle to do baar sar per paani dala or fir do do baar sidhe hath per or fir ulte hath per dala kya ye Sahi hai ya galat Hain
Answer: Gusl ka tariqa: Niyat k baad pehlay pura sar(head) aur gardan(neck) dhona zarori hai aur baad mai baqi pura badan dhona zarori hai. Aur is baat ka yaqeen hasil kernay k liay k donu hisso (yani sar o gardan aur badan)ko mukammal tour par dho liya hai, zarori hai k jiis hissay ko dhoey us k sath dusray hissay ki kuch miqdar dho lain. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #360,362). (Note: Paani aik martaba bahaya jaye ya do martaba bahaya jaye lekin un aaza ko is andaz se dhoya jaye ke ye yaqeen ho jaye kewo hissa mukamal dhul gaya ). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA. Agar duraan wajib ghusal janabat AWAA(pakhana ki jaga sa) kharig hou tou kia us ka baad namaz ka lia wazoo karna hou ga?
Answer: Agar ghusl k doran kisi shakhs se hadas e asghar sarzat ho jaye maslan gas nikal jaye to us ghusl ko tark kar k shuru se ghusl karna zaroori nahin he balke wo apne is ghusl ko mukammal kar sakta he. lekin is surat me ehtiyat e lazim ki bina per wuzu karna bhi zaroori he. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Masla #384,389). [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Agr mard pe ghusal e janabat wajib ho or wo apni job par bagher ghusal kiye chala gya to kya kamaya hua rozq haram kehlay ga?
Answer: Duty time main ggusl karna durust nahi, App ko ya tu malik se ijazat lay kar ghusl karna chahiay tha ya lunch break main ghusl karna chahiay tha. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #354,356). [Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kajal laga ho ankhon me or ankhon se neeche aa gaya ho to gusal hoga
Answer: Agar us maqaam par paani khal tak pohanch gaya hai tou ghusal sahi hojaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 376). [Updated on 13-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya ehtilam ke baad namaz prh sakte hain?
Answer: Jee nahin, Gusl ke bager namaz nahin parh sakte. Q ke Agar kisi ko ehtilam ho jaey tu namaz or is jaisi ibadaton k liay ghusl wajib ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #356). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Mani dekhne se ghusl wajib hojata hai?
Answer: mani dekhne sai nahi mani k kharij hone sai ghusal wajib hota hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera saval ye hai ke agar raat ko sote hue koi sexual sapna dekhe or sote hue kisi tarah ka koi ehsaas mehsoos na ho tou kya gusl janabat wajib hoga?
Answer: Faqat bura khuwab dekhne se ghusl wajib nahin hota. ghusl wajib tab hota hai jab mani kharij ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #344). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya gusl karte wqt girls ko hair me shampoo ya sabun lgana zaruri h ,,ya sirf pour water se nhakar gusl kr skti h girls?
Answer: Ghusl se pehlay Jism ko sabun aur balon ko shampoo karna zaroori nahin hai balke sirf wo jagh jahan najasat lagi hoi hai us jagh ko pak karen aur pak karne ke bad Ghusl kiya jaye to kaafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #154,360). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr mard apni pakhany wali jaga me hath daaly to kia is se ghusal wajib hota hy.?
Answer: Is se gusl wajib nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #344). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]