Question: namaz paadtey me biwi aur moula per burey burey khayal atey hain jinko sochker ruk kaap jai , isskey liyeh kya kerey
Answer: Namaz ki haalat main Khuda ki Yaad main rahay aur Khuzoo o Khushoo aur Waqar aur Yaksooi say Namaz parhay aur khayaal rakhay kay kis HASTI say kalaam kar raha hay aur apnay aap ko khuda wandeAalam ki Azmat aur buzurgi kay muqablay main HAQEER aur NACHEEZ samjhay.Ulema is ka aik aur Hal bayan kartay hain kay Namaz kay Azkaar kay Tarjumay ko Yaad karain aur Arabi parhtay hoay us tarjumay ki taraf bhi tawajjuh dain to khayal batnay say bhi mehfooz rahay ga aur yaksooi say Namaz Parh paingay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.121-122.
Question: Agar kisi ko paeshab karne ke baad harkat(movement) karne par paeshab ke katre gire to use kya karna chahiye? aesi halat me uska namaz aur dusri ibaadaton ka adaa karna kaisa hai? Aur is bimari ka koi ilaaj, taaweez ya naksh ho to de.
Answer: Ye Jawab A.Sistani kay Fatawa kay Mutabiq hay..Answer:1..Usay chahiye kay Istibraa karay jis ka tareeqa Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.69 main dekha ja sakta hay,aur beemari na honay ki soorat main aisi haalat main kay jab istibra na kiya ho namaz BATIL hay...*1:Agar kisi shakhs ko ye aarza laahiq ho kay Peeshaab kay qatray roknay par Qadir na ho to zaroori hay kay un logoon kay fareezay kay mutabiq amal karay jo paishab aur pakhana roknay par Qadir na hon. MASAIL : 1.Agar aap ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZN,IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day..2.Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peeshab kay qatray kharij ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay qatray kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay..3.Agar aap ko wuzu kar kay namaz ka kuch hissa parhnay ki bhi muhlat na milti ho to aap ka aik wuzu chand namazoon kay liye bhi kafi hay siwaey ye kay aap koi doosra mubtilaat e wuzu anjaam day dain masalan so jaain waghaira albatta behtar ye hay kay har Namaz kay liye aik baar wuzu karay,laikin Qaza sajday,Tashahhud aur Namaz e Aihtiyat kay liye doosra wuzu zaroori nahi.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.306,307,308,787-Masala No.345,Pg.No.62.
Question: whom should(kis tarahan) one pray namaz when he is on the moon. and a person is in a country where 6 months days &six months nights.plz reply as soon as possible. and request to do ur service properly.
Answer: Baaz makhsoos shehroon kay makhsoos mausamoo main kai kai din ya kai kai maheenay Soraj ghuroob nahi hota,aisi soorat main batoor-e-aihtiyat musalmaan ko chahiye kay apnay shehar kay us nazdeek tareen shehar par aitemaad karay jahan 24 hours main din aur raat hotay hain,yani us shehar kay shab-o-roz ko apnay shehar kay shab-o-roz samjhay aur apnay paanch(5) waqt ki namazoon ko hamsaya shehar kay auqaat kay mutabiq qurbat-e-mutlaqa ki niyyat say parhay.Ref:Jadeed Fiqhi Masail A.Sistani Masala No.69,Pg.No.76.
Question: what is criteria for loud and silent recitation of surah and alhamad in salat.if someone is articulating mouth and whispering sound is produced which one can hear himself,is it loud recitation or silent recitation
Answer: Is ka Maiyaar Urf hay jaisa k Aam Logoon ki Nazar main Buland(Loud) ya Aahista(Slow) Samjha jaey. Ref: Minhaaj-us-Saaliheen Pg.210 Masala No.620.
Question: Salam Ya aLi madad ..main yeah pochena chahta ho ki tashehed main alian wali allah par sekty hia nahi ??desceibe fullly it plz ........thanx
Answer: Salam un Alaikum Aap Namaz K Tashahud mai Apni janib se kisi jumle ka izafa nahi karsakte chahe wo jumla Bazat e Khud(itself)sahih hi kion na ho. Ref:Istifta No 26093e Ayatullah Khamnai.
Question: maghrib aur isha ki namaz ka time kab tak rehta hai?kia isha ki namaz ka time namaz e subah se pehle tak rehta hai?
Answer: Maghrib aur Isha ki Namaz ka waqt Mukhtar Shakhs (wo shakhs jis kay liye Namaz ko waqt main parhna mumkin ho aur sharaan koi uzr na rakhta ho)kay liye aadhi raat (Raat ka hisab Sooraj guroob honay ki ibtidaa say tuloo e fajr tak hay) tak rehta hay laikin jin logoo ko koi uzr ho masalan bhool janay ki wajah say ya Haiz ya in jaisay doosray umoor ki wajah say agar wo aadhi raat say pehlay wo namaz na parh sakay hoo to un kay liye maghrib aur isha ki namaz ka waqt tuloo e fajr tak baqi rehta hay.Agar koi Ikhtiyari haalat main maghrib aur Isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to aihtiyat e wajib ki bina par zaroori hay kay Azan e Subh say pehlay Ada aur Qaza ki niyyat kay baghair in namazoo ko anjaam dain.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.724,728.
Question: Tashhud mai Ashhado anna Ali Wali Allah perna jaiz hai?
Answer: Aihtiyaat ki bina par JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org (I-1)
Question: aslaam o alikum jnaba meera swaal ye hai k nmaaz mein ali un wali ulaah parhna jaez hai ya nahi
Answer: Aihtiyat e Wajib ki bina par Tashahhud main Shahadat e Saalisa (Aliun Waliullah) ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org
Question: a.o.a molana kia namaz awaz k sath per saktya hain athni awaz kay telawaty ke awaz sirf kud ko hee aay. thx allah hafiz
Answer: 1:Mard par Aihtiyaat ki bina par wajib hay kay subah,maghrib aur Isha ki Namaz main Alhamd aur Sura Buland awaz say parhay...2:Mard aur Aurat Dono par Aihtiyaat ki bina par Wajib hay kay Zohar aur Asar main Alhamd aur Sura Aahista parhain...3:Subah,Maghrib aur Isha ki Namaz main Aurat Alhamd aur Sura buland awaaz say ya ashista jaisay chahay parh sakti hay laikin agar Na-Mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho aur us ka sunna haram ho to Aihtiyaat ki bina par aahista parhay...4:Awaz kay buland aur Ahista honay ka mayaar Urf-e-Aam hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.979-981.
Question: mera sawal hay k aurat ki namaz main (farz namaz main) 2 rakato k baad teesri rakat main sana nahi parhain aur alhamdo k baad koi surat nahi parhtain hain aur teesri aur chothi rakat main ?
Answer: Aihtiyaat ki bina par mard aur aurat dono par wajib hay kay namaz ki teesri aur chothi rakat main chahain to sirf sura-e-alhamd ya sirf tasbeehaat-e-arbaa parhain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.994.Albatta in do rakatoo main Tasbeehaate Arbaa parhna ziada behtar hay.aur Aihtiyaat-e-Mustahab ye hay kay 3 martaba Tasbeehaate Arbaa parhi jaey.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.992.