Question: Q.1: kia tashood main ali un waliullah kehna sahi hy ya nahi.
Answer: ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi. REF: A.Sistani, www.sistani.org.
Question: Q: If sajdigah is not available can we perform it on the back of palm? Besides leaves and wood on which materials is sajda correct(jaiz)?
Answer: 1. sijda zameen par aur un cheezon par karna zaroori hai jo khai (eat) aur pehni (wear) na jati ho aur zameen se ugti (grow karti) ho. for eg. lakri (stem) aur darkhton (trees) kay pattay (leaves) par sijda karay. aur jo cheezain zameen se ugti hain aur animals ki khuraak (food) hain, for eg. ghaas (grass) aur bhoosa, un par sijda karna sahi hai. 2. agar kisi kay paas aisi cheez na ho jis par sijda karna sahi hai, ya agar ho lekin shadeed sardi ya garmi ki waja se us par sijda nahi kar sakta ho to aisi surat mein tarkol aur zuft ko doosri cheezon par aulawiyat (priority) hasil hai. lekin agar in par sijda karna mumkin na ho to zaroori hai keh apnay libaas ya kisi aisi doosri cheez par keh jis par halat-e-ikhtiyar mein sijda jaiz nahi hota, sijda kar sakta hai. REF: A.Sistani, tauzeeh-ul-masail, pg no. 171+172, masla no. 1063+1065+1071.
Question: Q) Can Sajda be performed on a coin like a Rs 1, Rs 2, Rs 5 coin?
Answer: bismehi taala, in par sajda karna sahih nahin (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1063)
Question: Kiya Namaz kay akhri(last) Sajde mai "Subhana Rabiyal Alaho Wabe Hamday" kahne kai baad bhi kuch aur kahna/pharna zaroori(necessary) hai?
Answer: b.t."Subhana Rabiyal Alaho Wabe Hamday" kahne kai baad kuch aur padhna zaroori nahi he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1036)
Question: salam,namaz mein qirat ki agarchey koshish jari rahey magar phir bhi agar kaheen ghalti hojaye to hajj aur namaz k baarey mein kia hukum hai??
Answer: Agar insaan nay koi lafz jis terah yaad kia ho osay sahi samajhta ho or namaz main isi terah perhay or baad main pta chalay(yani yaqeen hojaay) k os nay ghalat perha that tu os k liay namaz ka dobarah perhna zarori nahi hay.agar qirat main earraab(zabar, zair ,paish) sahi arbi main ada nah ker sakta ho or nah jaannay main mazoor ho(yani os k liay mumkin nah ho),tu oski namaz sahi hay.or agar nah jaannay main mazoor nah ho,tu os per sahi qirat seekhnay k baad namaz dobarah perhni hogi.or namaz e tawaf ko bhi agar makkah say nikal gay hon tu agar zehmat nah ho tu ehtiyaat e wajib ye hay k makaam e ibraheem k peechay dobarah baja laain werna jahan bhi ho baja laain. .(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#988 & Masnasik e haj maslah #332).
Question: salam.muharram k ulawa shariat me black libas pehenne ka kia hukum he.aur namaz me jo black libas makroh he wo full black ko kaha gaya he ya kuch aur,plz detail me batadn ,plz reply
Answer: Black libaas pehenna namaz k doraan ya is k alawa makhroh nahi hay.(ref: Aytullah Seestani(d.b),Tauzee hul masail,maslah # 853). & (Ayat ullah Seestani(D.B),mujtahid say pochay gaay sawalaat.sawal #84).
Question: sala sir kia mirror k samne namaz parhna makroh he.
Answer: Aainay(Mirror) k saamnay namaz perhna makhroh hay. (Ref : email rcvd from A.sistani(d.b),dated Mar 19, 2010) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: pls ye bataiye k womens namaz mein apney hands kahan rakein gi during qiyaam?
Answer: Aurat per mustahab hay k qiyaam ki halat main apni hathailiyaan apny seenay per raikhain[Q k maqsad ye hay namaz ki halat main aurat k badan ka kam se kam hissa zahir ho].(Ref: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), urwatul wusqa,part#1, Maslah#1687, ehkaam e baanwaan, pg#58 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aslam-o-alaikum, if someone enters in the house and says aslam-o-alaikum, and you are offering your prayer, can you reply to him during namaz?
Answer: A person offering prayers should not greet anyone with Salam, and if another person says Salam to him, he should use the same words in reply without adding anything to it. For example, if someone says Salamun alaykum, he should also say Salamun alaykum in reply, without adding Wa rahmatullahi wa barakatuh. As an obligatory precaution, he should not utter Alaykum or Alayka before the word Salamun if the one who greeted him did not say so. In fact, the recommended precaution is that the reciprocation must fully conform with the way Salam was initiated. So if he said: Salamun alaykum, the reply should be Salamun alaykum, and if he said: As-Salamu alaykum, then the reply should be the same. Similarly, the reply to Salamum alayka will be Salamun alayka. But if someone initiated Salam saying Alaykumus Salam, then the answer can be given in any of the phrases. (Ref : E mail rec from ayat ullaha sistani d.b. dated : February 03, 2011 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: what is ikhfa
Answer: Ikhfa say muraad qir’at ya zikr ko dheemi awaaz(down voice) main perhna.Ikhfa qir’at ko pehchaan e ka miyaar urf e aam(aam loog) hay.yani agar aam loog ye keh dain k ye awaaz Ikhfa hay tu is ko Ikhfa samjha jaay ga.Ikhfa qir’at main ye laazim hay k zabaan or haunt(lips) harkat karain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen part#1,malah#620)