Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is namaz e jumma wajib in this period(during gaibat)????

Answer: It is Wajib-e-Takheeri (Optional).

Id: 5
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is namaz e jumma wajib in this period(during gaibat)????

Answer: It is Wajib-e-Takheeri (optional).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 263
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamo likom. namaz e joma key bad zoher ki namaz parni chaey ya nahen. agr parni cheay tu iss ki neayet keya ho ge. walikomsalam. hamid shah

Answer: Agar Namaz-e-Juma ki tamam sharait maujood hoon aur phir juma ki namaz parhay to phir ye Namaz-e-Zohar ki kifayat karti hay.(yani Zohar parhna zaroori nahi hay)Ref:Tauzeeh ul Masail A.Sistani Masala No.720.

Id: 266
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SALAM KIA JUMA NAMAZ PHARNA WAJIB HAI OR KHUTBA SUNE K KIA EHKAM HAI TAI PHANA HARam hai ya nahi

Answer: Ghaibat e Imam(AS) kay zamanay main Namaz-e-Juma Wajibe-e-Aini nahi hay,balkay Wajib-e-Takheeri hay.Is se muraad ye hay kay Juma kay din mukallaf ko Ikhtiyar hay kay Agar Namaz-e-Juma ki Sharait maujood hoon to Juma ki Namaz parhay ya Zohar ki Namaz parhay.Lihaza Agar insaan Juma ki Namaz parhay to wo Zohar ki Namaz ki Kifayat karti hay.(Yani phir Zohar ki Namaz Parhna zaroori nahi hay)...Aihtiytat-e-Wajib ki bina par dono khutboon ka sunna wajib hay laikin jo log khutboo kay meaning na samajhtay hoon un kay liye sunna wajib nahi hay...Tie pehenna bazaat-e-Khud Haram nahi hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.722,720...Book-2 Q.No.185,Pg.185.

Id: 276
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aok, if a person wants to offer jumma as well as zohar prayers then what will be his niyat for both zohar and jumma prayers?

Answer: Agar Namaz-e-Juma apni tamam sharait kay saath ada ki ja chuki hay to zohar ki namaz parhna jaiz nahi hay...Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka dakhil hona,jo kay Zawal-e-Aftab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zaroori hay kay zohar ki namaz ada ki jaey...2:Namaz parhnay waloon ki tadad jo kay Imam kay saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan ikathay na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti...3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti...Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain ...1:Ba-Jamat parha jana...2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna...3:ye kay Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 KM (Sarhay Paanch Kilometer) ka fasla maujood ho)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.123 Masala No.720,I-23.

Id: 277
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslamo likom. app ney ik sawal key jawab mey kaha,(key ager joma ki namaz ki tamam saraid mojod hon). baraey karm. keya app wo sharaet bata saktey han walikom salam . hamid...madina gujrat

Answer: Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka dakhil hona,jo kay Zawal-e-Aftab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zaroori hay kay zohar ki namaz ada ki jaey...2:Namaz parhnay waloon ki tadad jo kay Imam kay saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan ikathay na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti...3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti...Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain ...1:Ba-Jamat parha jana...2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna...3:ye kay Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 KM (Sarhay Paanch Kilometer) ka fasla maujood ho)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.123 Masala No.720.

Id: 353
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Q.1- Agar main Naamaz-e-Jumma agar wajib-e-tehremi ki neyat say perta hoon to zoher ki namaaz sunnat ki neyat say perhoon ya farz ki. please jawab jald dain. shukriay

Answer: B.T. jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)

Id: 376
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar masjid jaymusalla ho awar loogon ke tadad bhe kam ho awar dosre masjid bhe 100 meter kay fasilay per ho to kya nimaz jumma she towr par ada hojayge ya nahi

Answer: bismehi taala, jume ki do namazo k darmiyan ek farsakh se kam phasela nahi hona chahiye (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 720)

Id: 421
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jummey ke khutbey main bhetney ka kia tarika hai

Answer: bismehi taala, Aihtiytat-e-Wajib ki bina par dono khutboon ka sunna wajib hay laikin jo log khutboo kay meaning na samajhtay hoon un kay liye sunna wajib nahi hay (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.742) (bethney k liye koi makhsoos tariqa zaroori nahi he)

Id: 422
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam Elekum Juma ki namaz na parhna, ghar per bhtey rehna, kia 3 juma na perhna tajdid e iman krana perhta hey.

Answer: w.s., jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!