Question: AoA Question: kia Jummah ki 2 rekat Nmaz parhny k bad zohr ki b namaz parhna zrori h plz details k sath batiey Ga.
Answer: Namaz jumma fajar ki tarah 2 rakat he. Aur Jumma ki namaz wajib e takhyiri (optional) he. Is se murad ye he ke jumma ke din mukallaf ko ekhtiar he ke agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain laihaza agar insaan jumma ki namaz perhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b.) Editon 41st, maslah #720). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AssalamoAlaikum mn kpk ka rehny wala hon mn karachi aya hn 10 din k leye yaha chavho k gar rehny to kia mn ba jumat nimaz ada karon ya safar ke nimaz jo 2 rakat hai.wo adha kron or agr mn 10 din se zyada raha to kia per puri nimaz adha kronga?
Answer: wsalam. jumma namaz wajib e takhyeeri hai yaaney aap ko iktiyaar hai chahay tou zohar parhein ya namaz e jumma. Agar aap ka 10 din rehne ka irada hai or deegar tamaam sharait bhi poori hai tou aap ko namaz poori parhni hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 720 and 1321). [Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu o Alaikum, mien Agha sistani Ka follower hon. Kiya jumay ki namaz wajib hai. Mien nay last one year say nai perhi Kiya koi kaffarah pah kerna hoga
Answer: 1: Imam (a.s) ki gaibat k zamanay mai Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din aap ko ikhtiyaar he k agar namaz e juma ki sharait maujood hon to jume ki namaz parhain ya zohar ki namaz parhain. aur Jumay ki namaz wajib honay ki chand shrtain hain. 1, Waqt ka dhakil hona, 2. Namaz parhnay walon ki tadaad jo k imam k sath 5 afrad hon. 3, Imam ka jamia sharait imamat hona. Is k alawa Jumay ki namaz k sahi honay ki chand shrtain hain. 1, Ba-jamat namaz parhna. 2, Namaz sai pehlay 2 khutbay parhna. 3, Jumay ki 2 namazoo k darmian aik farsakh sai kam fasla na ho. 2: Namaz e jumma ka waqt awal e zawal e urfi hay or awl e urfi men yeh nukta kabl e tawwajuh hay k agar khutba 40 mint ka ho or phir foran baghair faasly k namaz e jumma tamam sharaet k sath baja laen to wo namaz sahi or kafi hay or namaz e zuhur parhany ki zarorat nahi hay or agar namaz e jumma ka khutba 40 mint say lekar 75 mint tak ho jaye to ehtiyaat ki jaye or ehtiyaat e wajib ki bina pr namaz e zuhur baja laaen, or agar 75 mint say ziyada ho to zahiran os sorat men juma kaafi nahi hay or zuhur ki namaz bhi parhana hogi, or os k baad asar ki namaz ada ki jaye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeeh ul masail, maslah #722,720) (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/25586/ ). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalamu alaikum agr koi shaks bina user k ghr ma namaz jumma pade uske liye kya riwayat ha
Answer: Jee nahin, Namaz e juma furada( jamat ke bager) nahin hoti. Is k alawa Jumma ki namaz k sahi honay ki chand shartain hen jin me se aik shart yr hai ke jumme ki namaz ka baa jammat perhna zarori he, dosri shart namaz e jumma se pahle 2 khutbey, tesri shart jumma ki 2 namazoon k dermian aik farsakh(taqreeban 5/2 kilometers) se kam ka fasla na ho. Is k alawa jumma namaz parhnay waloon ki taadat jo k imam k sath 5 afrad he aur jab tak 5 afrad jama na hon jumma ki namaz wajib nahin hoti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Eddition #42, maslah #720). (Note: In sharait ke bager namaz juma sahi nahin hogi ). [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar juma ki namaz nahi hoti to zohar bazamat padh sakte hai
Answer: Agar jumme ke din namaz e jumma nah parhi ho to zuhur parhna zarori hai.or namaz zohar ko jamat ke sath perh sakte hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #720,1380). [Updated on 17-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya hum jummay Kay din Aza Kay foran bad he namaz zohr or asar padh saktay hay ghr pay, females.
Answer: Jee han, Parh saktay hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #721). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ٱلسَّلَامُ وَعَلَيْكُمُ وَرَحْمَةُ ٱللَّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ Kya Juma ke din Zohar ki azaan se pehle 4 sunnat adaa kar skte hai. ??
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafaria main Sunnat or nafil namaz main koi farq nahin hai, (yani jo sunnat hai wohi nafil hai aur jo nafil hai wohi sunnat hai) aur inhi ko mustahab namaz bhi kaha jata hai. Rozana ki mustahab(nafla, sunnat) namazain jumme k din k ilawa 34 rakat hain jin me se 8 rakat zohar ki (jo zuhar se pehle awaal-e-zuhar ke waqt parhi jati hen) or 8 rakat asar ki (jo asar se pehle parhi jati hen) laikin Jumme k din zohar aur asar ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtar ye hai ke ye poori ki poori 20 rakatain zawal (yani azan) sai pehlay parhi jaen siwaye 2 rakat ke jin ka zawal k waqt parhna behtar hai or 4 rakat magrib ki (jo maghrib ke bad parhi jati hen) or 2 rakat isha ki (jo esha ke bad beth kar parhi jati hen) or 2 rakat namaz subha ki (jo fajar se pehle parhi jati hen) or 11 rakat namaz shab ki hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #752). [Updated on 28-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum masla yeh hy k Jumma kis Trah ki masjid main ho sakta hy Maslan koi ilaqy ki shart hoti hy ya logon ki quantity.... Vaghera
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Imam (a.s) ki gaibat k zamanay mai Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din namazi ko ikhtiyaar he k agar namaz e juma ki sharait maujood hon to jume ki namaz parhain ya zohar ki namaz parhain. aur Jumay ki namaz wajib honay ki chand shrtain hain. 1, Waqt ka dhakil hona, 2. Namaz parhnay walon ki tadaad jo k imam k sath 5 afrad hon. 3, Imam ka jamia sharait imamat hona. Is k alawa Jumay ki namaz k sahi honay ki chand shrtain hain. 1, Ba-jamat namaz parhna. 2, Namaz sai pehlay 2 khutbay parhna. 3, Jumay ki 2 namazoo k darmian aik farsakh sai kam fasla na ho. 2: Namaz e jumma ka waqt awal e zawal e urfi hay or awl e urfi men yeh nukta kabl e tawwajuh hay k agar khutba 40 mint ka ho or phir foran baghair faasly k namaz e jumma tamam sharaet k sath baja laen to wo namaz sahi or kafi hay or namaz e zuhur parhany ki zarorat nahi hay or agar namaz e jumma ka khutba 40 mint say lekar 75 mint tak ho jaye to ehtiyaat ki jaye or ehtiyaat e wajib ki bina pr namaz e zuhur baja laaen, or agar 75 mint say ziyada ho to zahiran os sorat men juma kaafi nahi hay or zuhur ki namaz bhi parhana hogi, or os k baad asar ki namaz ada ki jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #722,720) (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/25586/ ). [Updated on 08-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal yeh hy k kya orat namaz e juma prh skti hy agr han tw kya treeka hy or agr nahi tw kya zorhrein ka waqt dakhil hny k bad namaz e zohrein ada kr skti hy ya jumy ka waqt guzrny k bad namaz e zohrein ada krni chye
Answer: Aurat per namaz e juma wajib nahin hay aur jese hi namaz ka waqt ho jaye to wo apni namaz e zuhr or asr hi parhe gi.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #721). [Updated on 10-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alikum.dear sir agr aik.security.guard ya police wala ki.mjbori ho k.wo post chour ni skta.r us.waqt juma.ka.time ho jaiy to.kia wo.apni post pr hi namaz.zohar ada krn.ga ya phr es ka r kia hal.ha plase reply me
Answer: wsalam. muqallid ko ikhtiyaar hai k agar jummay ki sharait moujood hon to yaa tou namaz e jumma ada karey ya phr namaz e zohara adaa kar ley.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 42 maslah no 720). [Updated on 18-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]