Question: assalamoalaikum hazrat ek masla PESH AAYA HAI KE meri juma ki namaaz chooth gai mai kaafi masroof tha hamare saath do aur log the to kya ham log baad me ba jamaat zohar ada kar sakte hai ya nahi???
Answer: Agar jume k din namaz e juma nah perhi ho tu zuhur perna zarori hay. or paish namaz ki sharaet ki maujoodgi main namaz ko ba jamaat bhi perha jasakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #720,1434). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Al\'salam-o-alaikum! Umeed ha ap sb khariat sa hn gay. Mera swal ya ha k kiya lagatar 3 namaz e jummah na parhna sa islam sa kharij ho jata hay? Or is galti ka kafara kiya ha?
Answer: Jume k din ikhteyaar hay k agar jume ki namaz ki sharait maujood hoon tu juma ki namaz perhe ya zuhur ki namz perhe. Jume ki namaz ko chorhna gunah nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #740). Update on dated 17-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir shia ki jumma namaz k baad kia parha jata hai namz e zohar ya asar.
Answer: Namaz e jumma ka waqt awal e zawal e urfi hy or awl e urfi men yeh nukta kabl e tawwjh hy k aghr khutba 40 mint ka ho or phir foran baghair faasly k namaz e jumma tamam sharaet k sath baja lae jaen to wo namaz sahi or kafi hay or namaz e jumma parhany ki zarorat nahi hay or agar namaz e jumma ka khutba 40 mint say lekar 75 mint tak ho jaey to ehtiyaat ki jaey or ehtiyaat e wajib ki bina pr namaz e zuhur baja laa,en, or agar 75 mint say ziyada ho to zahiran os sorat men juma kaafi nahi hay or zuhur ki namaz bhi parhana hogi, or os k baad asar ki namaz ada ki jaey (Ref: (https://www.sistani.org/urdu/qa/25586/). Update on dated 16-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Jo shakhs 5 waqt ki namaz aur eid aur bakraeid ki namaz bhi na padhta ho to kya wo shakhs kisi majburi me juma ki namaz padha sakta h
Answer: Jee juma parh sakt hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #720-722). Update on dated 23-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia jumma ki namaz Aurat pr Laazmi h??
Answer: Aurat per namaz e juma wajib nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #721). Update on dated 30-08-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kasbe me juma hai ya nahi
Answer: Jume ki do namazo k darmiyaan aik farsakh(5.5km) sse kam faasla nah ho. or namaz perhne walo ki tadaad imam k sath 5 honi chahiay. juma qasbe main bhi ho sakta hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#720). [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asalam u alaekum, mera sawal namaz e jumma k baray main hy k Quran main poree surah hy jis main hukum hy, phir bhi humare ulma ye q kehte hain k Imam e waqt k zahoor k baad wajib hogi.
Answer: Mujtahideen hamesha quran o ahadees k mutaabiq fatwaa dete hain or jummay ka maslah wo hai jis mai mujtahideen aapas mai ikhtilaaf rakhte hain koi wajib e takhyeeri kehta hai koi wajib kehta hai, ye ikhtelaaf hadees fehmi ki wajah se hay, lehaaza aap par laazim hai k aap apne mujtahid k fatway par amal karein.Ayatullah seestani k mutaabiq juma wajib e takhyeeri hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 720) [Updated on 31-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Juma namaz masjad se dosre juma namaz masjad katna fasla hona cahya ?
Answer: Jummay ki namaz sahi hone ki sharait mai sai aik ye hai k dono jummay k darmiyan aik farsakh sai kum faasla na ho jo k takreeban 5.5 km hota hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah 720). [Updated on 06-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalm o Alikum! Mera sawal yh hai k mai china mai hn aj kal virus ki wja sy yahan masajid bnd hain to kya hm 3 dost mil k ghr mai jumma namaz adaa kr skty hain?
Answer: Jummay ki namaza may imam jamat ko mila kar 5 afrad ka hona shart hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah 720). [Updated on 09-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr jumma ki namaz par lo us k bad zohar ki namaz parna zrori hai ya nhn
Answer: Agar namaz juma ki sharait majood hon to insan ko ikhtiyar ke juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain lahaza agar insan ne jumma ki namaz perhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani phir zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) [Updated on 27-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]