Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 967
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Howmany rakats are joma pray?

Answer: Jummay ki namaz subah ki tarha 2 rakaat hein. farq ye he k jummay ki namaz me namaz se pehlay do kuthbay hotay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha khoei (r.h.) Masla # 740) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 985
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam,in pakistan jummah prayer starts at 1:30 to 1:45 pm is this time is correct for this prayer we have to wait for 20 minutes is this prayer is valid or invalid.

Answer: Namaz e jumma ka waqt awal e zawal e urfi he. Pas jab bhi is se takheer ho jay is ka waqt khatam ho jata he.aur phir zurari he k zohar ki namaz parhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1117
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: What is the niyat of Jummah prayer? What is the niyat of before and after 2 rakat fraz of jumah sunnat?

Answer: Zarori hay k insane namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay perhay or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzaray ya maslan zaban say kahay keh 4 rakat namaz e zuhar perhta hon qurbatan illal laah {ya maslan 2 rakat namaz e jumu’ah perhta hon qurbatan illal laah}.(Ref: seestani d.b, tauzeehul masa’il maslah # 930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1142
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aap nay farmaya namaz-e-juma wajib--e-takhiri hai... kiya koi fail takhyiri bhi hota hay isay ahadis ki ro say prof karen...

Answer: Jee haan. islam main kuch amaal aisay bhi hain k jo takhyiri(optional) hain.maslan 1) ramzan k wajib rozay torhnay ka kaffarah main zarori hay k aik ghulaam ko azaad kia jaay ya 2 mahinay k rozay rakhay jain(jin main say shuru k 31 raozay lagataar rakhna zarori hain) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaya jaay ya 60 faqiro main say har aik ko ¾ kilo khana(yani aata, roti waghaira) day. 2)qasam k torhnay ka kaffarah ye hay k aik ghulam azaad karay ya 10 faqiro ko pait bhar k khana khilaay ya unhain kaprhay pehnaay or agar in amaal ko injaam nah day sakta ho tu zarori hay k 3 din musalsal rozay rakhay. .(Ayat Ullah Seestani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#1632, 2633).

Id: 1143
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz-e-eid aur juma k baray mian mutadad ahadis rawayat hoi hain k is namaz k parhanay ka haq sir IMAM -E-MASOOM ka ha? aap bataeen is ki rad mian dalil ...

Answer: Namaz e eid aur namaz e juma imam e zamana(a.s) ki maujodgi main wajib hain.or in ka jama’at k saath perhna zarori hay.laikin hamaray zamanay main jab keh imam asr(a.s) ghaibat main hain,tu namaz e eid mustahab hain or jama’at wa furadah(akailay) dono terah perhi jasakti hain) or namaz e juma imam asr(a.s) ghaibat main wajib e takhyiri hay.is say muraad ye hay k juma k din ikhtiyaar hay agar namaz e juma ki shara’it maujood hoon tu juma ki namaz perhay ya zuhar ki namaz perhay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), maslah #720,1497).

Id: 1236
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz e juma ki neeyat

Answer: jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he ke agar namaz e juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lay haza agar insan jume ki namaz parhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say gurara jay ya maslan zaban say kaha jay. (Ref:Ayatullah sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#720,930). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1282
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir main pochna chata ho k nimaz e juma main nimaz e juma ki hi niyat karain gain. tu kia nimaz e zohar parhna lazmi nahi hai.tell

Answer: Agar namaz juma ki shara,it maujood hoon to ikhtiyaar hay k juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain layhaza agar insan jumma ki namaz perhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahi ) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1322
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jume ki namaz ke liye kisi villege ya dehat me kin-2 sharto ka hona jruri hai? yah ek hafiz ne kaha tha ki jish basti mai bus stand,raiway stand , tahsil ,kbristan aur aabdi ho usi basti mai jume ki namaz ho sakti hai

Answer: Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka daakhil hona,jo k Zawaal-e-Aaftaab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zarori hay k zohar ki namaz ada ki jaay. 2:Namaz parhnay waloon ki tadaad jo k Imam e jama’at k saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan jama na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti. 3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti. Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain . 1:Ba-Jama’at parha janay. 2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna. 3:ye k Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 Kilo Meter ka fasla maujood ho.) (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.720.)

Id: 1343
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya aurat per namaz e juma aor eid ki namaz parhna lazim hey hanfi maslak me

Answer: Sorry. Is web-site per fiqh e jaafriya(shia) k mutabiq jawabaat diay jatay hain

Id: 1367
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia koi adami namaz juma ghar mein ada ker sakta hai.aur iss ke niet ka teriqa be .

Answer: Jumma ki namaz k sahi honay ki chand shartain hein jin me se aik jumme ki namaz ka baa jammat perhna zurari he, dosri shart namaz e jumma se pahle 2 khutbey, tesri shart jumma ki 2 namazoon k dermian aik farsakh se kam ka fasla na ho. Is k alawa jumma namaz parhnay waloon ki tadat jo k imam k sath 5 afrad he aur jab tak 5 afrad jema na hoon jumma ki namaz wajib nahi hoti. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!