Question: Hazrat Zain-ul-Abideen(a.s) nay namaz-e-juma parhne walay ko malamat ki hai. Bcoz ye haq IMAM ka hai .. and I have never seen Hazrat Sistani or Hazrat Khamanie k wo Juma ki namaz parhye ho. What is the reason then ?
Answer: bismehi taala, masoomeen alhemus salam ki janib se ham par kya zimmedari ayed hui he is ka tayyun sab se ziyad ilam rakhne wala jameush shrayet mujtheed hi kar sakate he, aur wo ham se yaqeenan seerate masoomeen alhemus salam se ziyada waqif he, jahan taq marajeen ki namaze juma ka talluq he to aap iran k televisions par Aytullah Khamenei ki namaze juma ko mushaheda kar sakte he. namaze juma k mutalliq Aytullah Seestani farmate hain: jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)
Question: Assalam O Alaikum, 1. Namaz-e Jumma farz hai ya nahin?
Answer: w.s. namaze juma dore hazir me wajibe takhyeeri ha, is ka maani hain k jume k din mukallf ko ikhteyar he ko wo namaze juma padhe ya namaze zohar.(ref: istiftaat k jawabat Aytullah Khamenai (d.b.) page no. 173)
Question: Mera sawal ye he ke namaz e juma farz he ya mustahab agar farz he to mustahab ki niyat se kewn parte hen agar mustahab ki niyat se parte hen to imam ke farman ki nafi karte hen. to is surat men juma ki namaz parni chahye ya nahi.
Answer: bismehi taala, jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)shariyat ne kis masle me kiya hukam lagaya he yeh Quran aur farameene Masoomeeen alhemus salam k sab se bade janne wale mujatheede aalam hi bata sakata he, ham faqat ek ya do hadees ko padh kar yeh jane bagair k is ke alawa digar ahadees kaya kaheti hain, in hadees k rawi kon he, riwayat k alfaz kya hain, yeh sab kuchh jane bagair yeh nahi keh sakte k Imam alhis salam ka kaya hukam hain, gaybat k jamane me hamari zimmedari mujthide aalam k fatwe par amal karna he, chunke mujthide aalam Imam alhis salam ki tarf se ham par hujjat he.
Question: SALAMWALEYKUM,MERA SAWAL YEH HAI KI HAMJUME KI NAMAZ ADA KARTE HAI USKE BAD JOHAR KI NAMAZ WAJIB KI NIYAT SE[FURADA] ASR KI NAMAZ HAM KIS NIYAT SE PARLHE GE.
Answer: w.s., jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistan d.b. masaala no. 720)(namaze asr to wajib ki niyyat se hi padhni hogi)
Question: mere job ke vajase juma ki namaz nahi ho rahi hai kya mera liya wo job sahi hai? mai 2 mahenia se yeh job kar raha hoon aur meri 8 juma ke namaz nahi hove hai.
Answer: bismehi taala, namaze juma me shirkat karna sawabe azeem ka baes he aur agar is me namaze juma ki sari sharayet majood ho to phir zohar padhne ki zaroort bhi nahi raheti. lekin b-har-hal is ka wujoob takhyeeri he, taayyoni nahi. (yaani aap ko ekhteyar he k is me shirkat karain ya zohar ada karain). (ref: www.qoitrat.org/Books/book3/p36)
Question: Aslam kya hum us masjib may jumeh ke nemaz ada karsakte hain jaha panch waqat ki nemaz nahe honti hai khali 2 waqat ke he hote hai
Answer: w.s., agar namaziyo ki taadad imam ko milakar kam-s-kam panch ho aur dusri namaze juma qaim hone ki jagh aur is masjid k darmiyan ek farsakh ka fasela ho to ho sakti he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.720)
Question: agha sawal yai hai kai namaz-e-jumma ka asal waqt kab sai shoro hota hai aur kab tak rehta hai? tafseel sai jawab dain
Answer: Namaz-e-jumma ka asal waqt Zawaal e Aaftaab(awal waqt e zuhar) say shoro hota hai aur insaani qad(hight) k saya(shadow) k 2/7 honay tak rehta hai.(ref: Ayat ullah Khamnaie (D.B),Tazee hul masail,maslah # 641)
Question: agha sawal yai hai kai namaz-e-jumma ka asal waqt kab sai shoro hota hai aur kab tak rehta hai? tafseel sai jawab dain
Answer: namaz-e-jumma ka waqt bohat qaleel hay.is ka awal waqt ye hay k jab awam ki nazar main zawaalay aaftaab hojaay.or jab bhi is waqt say takheer hojay to phir zarori hay k namaz e zuhar ada ki jay. ). (Ref: Ayat ullah Seestani(D.B) tauzee hul masail maslah #720.)
Question: namaz-e-jumma kai waqt ka aghaz aur ikhtitma ka waqt bayan kar dai? tafseel kai sath
Answer: Namaz-e-jumma ka waqt zawaalay aaftaab say shoru hota hay or insaani qad k saya k 2 /7 honay tak rehta hay.or jab bhi is waqt say takheer hojay to phir zarori hay k namaz e zuhar ada ki jay.)Ref: Aytullah Khamnaie (d.b.) tauzee hul masail maslah #641.)
Question: Namaz-e-Juma wajib hai ya sunnat , Ya farz, aur namaz-e-juma kay baad kiya namaz-e-zuhr parhna wajib hai aur kitne raqt parhna hai. Ya namaz-e-Zuhr nahi parhne hai.
Answer: Namaz jumma fajar ki tarah 2 rakat he. Aur Jumma ki namaz wajib e takhyiri(optional) he. Is se murad ye he ke jumma ke din mukallaf ko ekhtiar he ke agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain laihaza agar insaan jumma ki namaz perhe to vo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)