Question: kya namaz-e- jumma kai baad 4 farz zohrain nahi parhne chaye
Answer: Ans : agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain lahaza agar insane jumma ki namaz perhe to vo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720)
Question: Assalamualaikum i hear that jumma ki namaz ke 14 sharayat hai can i know what are that sharayat
Answer: jumma ki 14 shariat nahi hein. Juma ki namaz k sahi honay ki chand shartain hein : 1) Juma ki namaz ka baa jammat perhna zarori he. Juma ki namaz parhnay waloon ki tadat jo k imam k saath 5 afraad ho. aur jab tak 5 afrad jema na hoon jumma ki namaz wajib nahi hoti. 2) Namaz e juma se pehle 2 khutbey perhain jay. 3) Juma ki 2 namazoon k dermiyaan aik farsakh se kam ka fasla na ho. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: namze juma farz hai ya wajib
Answer: jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume ke din mukallaf ko ikhteyar he ke agar namaze juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lehaza agar insan jume ki namaz padhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karati he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he) (tawzihul masail, Aqai Sistani d.b. masaala no. 720)(namaze asr to wajib ki niyyat se hi padhni hogi) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: juma namaz wajib ki niyat se parhna kesa hai ?
Answer: agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain lahaza agar insane jumma ki namaz perhe to vo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720)
Question: salam:nimaz-e-juma farz hai ya wajib explain karain
Answer: 1)Wajib or farz ka matlab aik hi hota hay. Wajib or farz har wo amal hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zarori or laazimi ho. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) fiqhi istelahaat pg # 479). 2) Jumma ki namaz wajib e takhyiri(optional) he. Is se murad ye he ke jumma ke din mukallaf ko ekhtiar he ke agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain laihaza agar insaan jumma ki namaz perhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal ha k agar ap safar kr rahain hain to juma ke namaz parahin gain ya zohar ke namaz or agar ap ka pass time ha to sunnat or nawafal parh saktain hain
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1) Musafir k lie namaz e juma main shirkat wajib nahi he. Chahay wo musafir aisa ho jis ki zimadari puri namaz parhna ho jaisay wo musafir jis ne kisi maqam per 10 din thehernay ka irada ker liya ho.yani os ko jumay k din ikhtiyaar hay k jumay ki namaz perhay ya zuhur ki namaz perhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 720-21). 2)zuhor or asr k knawafil safar main nahi perhni chahiay or agar isha k nawafil rija(yani kisi amal ko matloob e khuda honay ki ummeed main anjaam daina) ki niyat se perhain tu koe haraj nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 755). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: is juma namaz farz,wajib or sunnat?....and why?
Answer: wajib aur farz me farq : 1. Wajib or farz har wo amal hota hay jis ka anjaam daina shariyat/islam ki nigah me zarori or laazimi ho. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) fiqhi istelahaat pg # 479). 2. Juma ki namaz wajib e takhyiri(optional) he. Is se muraad ye he ke juma k din mukallaf ko ikhtiyaar he k agar namaz juma ki shara’it majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain layhaza agar insaan juma ki namaz perhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zarori nahi ) (ref : Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) (tamam ibadaat kurbat ki niyat se anjam de jati hein.).
Question: Namaz e Juma k sharaait kis hadees men hen wo references chahye
Answer: jumma ki 14 shariat nahi hein. Juma ki namaz k sahi honay ki chand shartain hein : 1) Juma ki namaz ka baa jammat perhna zarori he. Juma ki namaz parhnay waloon ki tadat jo k imam k saath 5 afraad ho. aur jab tak 5 afrad jema na hoon jumma ki namaz wajib nahi hoti. 2) Namaz e juma se pehle 2 khutbey perhain jay. 3) Juma ki 2 namazoon k dermiyaan aik farsakh se kam ka fasla na ho. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jumay ki neyat batien? tafseel kay saath
Answer: jume ki namaz wajibe takhyiri he. is se murad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he ke agar namaz e juma ki sharayet mawjud ho to jume ki namaz padhe ya zohar ki namaz lay haza agar insan jume ki namaz parhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say gurara jay ya maslan zaban say kaha jay. (Ref:Ayatullah sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#720,930). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jumma ke din kitni rakat padhni chahiye aur kaun kaun si pls batao
Answer: jume ki namaz wajib e takhyiri he. is se muraad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz layhaza agar insan jume ki namaz parhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say gurara jay ya maslan zaban say kaha jay. (Ref:Ayatullah sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#720,930). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)