Question: quran hadees ke mutabik kia namaz e juma k duran karobar karna sahee hai
Answer: Jis shaks per namaz e juma wajib e muayyanan taur per wajib ho os k liay namaz e juma ki azaan k baad khareedo furookh haram hay agar ye namaz k k liay rukawat ho. (Ref: (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#960,eidition 1439 ). [Updated on 18-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal ye hai ki abhi jaise situation Co vid 19 chal raha h to masjid me namaz band h to hame kya dohar namaz padni chahiye ya jumma ki do rakaat
Answer: Namaz e juma ki kuch sharaait hain, aur shraait is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3637/ pe mojood hain, Agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain lahaza agar insane jumma ki namaz perhe to vo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) (Note: Is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3637/ ko open kar ke masla number 719 aur 720 ko goar se parhain to aap ko sharait maloom ho jaaingi.) [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz e jumma farz hy ya suunat
Answer: Ayatullah khumeni k nazdeek namaz e jumma wajib takhyeeri hai yaaney namaz e jumma or zohar ki namaz mai ikhtiyar hai k koi aik parh lay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah khomeni maslah no 718). [Updated on 19-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: JAHN PER 5 WAQAT NAMAZ NA HOTI HO KAYA WAHAN JUMMA KI NAMAZ HO SAKTI HAY?
Answer: Jee haan parhi jasakti hay agar jumma ki namaz ki Sharait mukamal hoti ho tu maslan : 1:Waqt ka daakhil hona,jo k Zawaal-e-Aaftaab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zarori hay k zohar ki namaz ada ki jaay. 2:Namaz parhnay waloon ki tadaad jo k Imam e jama’at k saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan jama na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti. 3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti. Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain . 1:Ba-Jama’at parha janay. 2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna. 3:ye k Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 Kilo Meter ka fasla maujood ho.) (Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.720.) [Updated on 08-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar fajar ki namaz nai parhi hoto jumy ki namaz hojaye gi.
Answer: jee jumy ki namz ho jaye gi (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) [Updated on 04-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mola k gaibat k baad sabse pehla jumma kis ne aur kyo chalu kiya? 2nd) jumma wajib hai, wajib e taqvini hai ya musteheb hai? Aur ager wajib/ wajib e taqvini hai to ye kis masum ka koul hai?
Answer: Namaz e Juma wajib e takhyiri(optional) he. Is se murad ye he ke jumma ke din mukallaf ko ekhtiar he ke agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain laihaza agar insaan jumma ki namaz perhe to vo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720). Aap ke in tamam sawalon ke jawanbat, niche diye link par mojod hain , is link men mukammal tafeel mojod hai.(Ref:- https://ur.wikishia.net/view/%D9%86%D9%85%D8%A7%D8%B2_%D8%AC%D9%85%D8%B9%DB%81 [Updated on 15-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: نماز جمہ سے پہلے ظہر کی نماز پڑھنا واجب ہے اور جمہ کے بعد عصر کی نماز بھی فرض ہے
Answer: Is zamane main namaz e juma wajib e takhyiri hay. yani juma or zuhur k darmiyan ikhteyaar hay keh jise chahay perhe, albattah juma afzal hay or zuhur ahwat(Ehtiyaat ki bina per) hhay or ziyada ahwat ye hay keh namaz e juma or zuhur dono perhi jaen, namaz e juma perhne wale se alal aqwaa namaz e zuhur saqit ho jaati hay. Laikin ahwat yehi hay keh namaz e zuhur ko juma k baad perhna cchhahiay or namaz e juma, namaz e subah ki tarah 2 rakat perhi jaati hay.(Ref:Ayat Ullah Khumeni(r.a), Tauzee hul masail, maslah # 3154). [Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AsSalam Alaikum Aagha se mera sawal ye hai ki Jis aalim ki namaz Qasr ho Kiya woh Namaz e Juma ki Imamat kar sakta hai ?
Answer: musafir aalimedeen namaaz jumua ki imaamat ke faraaiz anjaam desakta hay. or namaz jumua ki jamaat qaaim hone ke lie kam as kam 5 musalmaan mardo ka hona zarore hay or musafir ke zarea 5 louqo ki taadaat ku pura nahe kia jaaega ,(Ref:sistani.org,farsi,topic: namaz jumua,que no:7,tuziulmasail jame aqa sistani,urdu, masla no:1788,1798) [Updated on 18-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalamo alykum Mera sawal ye h ki agar hum kissi wajah se Juma me shamil nhi ho skte to kya Namaz-e-Zohar buland awaaz se padhna h
Answer: jume k din zuhor ki pehli do rakaat ko buland awaaz se perhna mustahab hay. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#617, eidition 1439). [Updated on 12-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar jumma ki namaz qurantine me rhen ki waja se na parhi jae to kia zuhr parh saktey hn ? hadith or Quran ki roshni me Jawab dijeya
Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Jume k din ikhteyaar hay k agar namaz juma ki shariat majood hon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain. Jume ki namaz ko chorhna gunah nahi hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullaha sistani (d.b), maslah #720) (Note: Agar jume ki namaz na parhi ho to namaz zuhr hi parhi jaye gi,) [Updated on 19-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]