Question: Ager ghar k qareeb masjid na ho to Kia hum namaz e jumma ghar main perh sakty hain?
Answer: Imam a.s. ki gaibat k zamanay mai Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din aap ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki sharait maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz parhain. Laikin jumay ki namaz jamat k bagair nahi hoti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 720)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: namaz juma kis niyat sa parni chahiya
Answer: Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka ba’is hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Leikin namaz e juma ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzara jay ya maslan zaban say kaha jay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720-930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: jumma ke din jumme and johar ki namaj ki rakaton ka kya sequence hona chahiye.
Answer: Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka ba’is hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Leikin namaz e juma ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 720)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Jumama ki niyat wajid ke bina par pare jae ya sunnat ke bina par our koi aisa amal bataen k men jis jaga shadi karna chahta hun wahan mere shadi ho jae our please doa be farmaye ga mere leye pleas pleas ap ko Allah ka wasta
Answer: 1)Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka ba’is hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Leikin namaz e juma ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zaroori nahi keh niyat ko apnay dil say guzara jay ya maslan zaban say kaha jay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720-930) 2)Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta dastiyab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: juma ki namaj chot jai to bad main faraig namaj kitni pade na chaye
Answer: Agar jume ki namaz na perhi jaay to jume k din ki namaz zohar perhna zarori hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #720 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Me poochna chahti hun k ek masjid se dusri masjid me kitna fasla hona chahye... Me ny kahin alim se suna tha k 1 meel ka fasla hona chahye mafar mujhe koi hawala b chahye . Me aap se request krti hun mera jawab mjhe zrur dijiyega.. pleaseeee
Answer: Masjid k darmian k faslay ka masla nhi hai albetta juma ki 2 namazo k darmian 1 farsakh yani taqreeban 5.5 km ka fasla hona zaroori hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 720)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam mujhay khwateen k hisab say jumma ki farz o nafila namazoon ki tadad o auqat bata dain plz
Answer: Juma ki namaz subah ki namaz ki tarah do rakat hai, is men or subah mki namaz men faraq ye hai k us namaz se pehle 2 khutbe bhi hen, juma ki namaz wajibe takhyiree hai, is ka matlb ye hai k juma k din namazi ko ikhtioyuar hai k agr namaz e juma ki sharten mojud hon to jum aki namaz parhe ya zuhr ki namaz parhe lehaza agr insane juma ki nanamz parhe to wo zuhr ki namaz ki kifayat krti hai(matlb phir zuhr ki namaz parhna zaruri nahi hai). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #720) Juma k din zuhr or asar ki 16 rakat nafil pr 4 rakat ka izaafa hojata hai, behtr hai k puri puri 20 rakat zawal se pehle parhi jaen siwaye do rakat k jin ka zawal k wqt parha jana behtr hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #752)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: juma ki namaz reh jae to iss k mutbadel kya pro
Answer: Namaaz e Zuhar ada karain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #720 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: kya nmaz e juma village ( gao) me ada ki ja sakti h . agar ho sakti h to uski kya sarte h
Answer: Juma ki namaz subah ki namaz ki tarah do rakat hai, is men or subah mki namaz men faraq ye hai k us namaz se pehle 2 khutbe bhi hen, juma ki namaz wajibe takhyiree hai, is ka matlb ye hai k juma k din namazi ko ikhtioyuar hai k agr namaz e juma ki sharten mojud hon to jum aki namaz parhe ya zuhr ki namaz parhe lehaza agr insane juma ki nanamz parhe to wo zuhr ki namaz ki kifayat krti hai(matlb phir zuhr ki namaz parhna zaruri nahi hai). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #720) Juma k din zuhr or asar ki 16 rakat nafil pr 4 rakat ka izaafa hojata hai, behtr hai k puri puri 20 rakat zawal se pehle parhi jaen siwaye do rakat k jin ka zawal k wqt parha jana behtr hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail,33rd Edition,maslah #752)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam sir mera sawal ye ha k agar jummay ki namaz me pehli rikat ma shamil na ho paun to kia dosri rikat se namaz me shamil ho sakta hun koi ashkal to nahi ? w.salam jawab ka muntazir
Answer: Agar muqtadi(namazi) nama e juma ki doosri rakat k ruku se pehle imam k sath shamil ho jay tu oski namaz sahi hay or wo os k baad aik rakat furada perh le ga or agar wo doosri rakat k ruku main shamil ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per is namaz e juma per iktefa nahi ker sakta or zarori hay k zuhur ki namaz perhe. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # before 720 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).