Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2085
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salawale kiun, i read some books and find that namaze juma is not vlid in the absent of Imame Zaman. the writer gave some proof from the hadis?

Answer: jummay k din insan zuhar k badlay 2 rakat namaz e jumma perhsakta hay laikin behter ye hay k namaz e jumma perhay or ehtiyaat e mustahab ki bina per namaz e zuhar bhi perh lay or ye ehtiyaat bohat matloob hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha khumeni (d.b.) masla # 733). Note: zarori hay k aap apnay mujtahid k fatway k mutabiq amal karain.in jaisi ahadees ka matlab ye nahi hay k namaz e jumma perhna haram ho.balkeh in ahadees se muraad ye ho k jumma imam(a.s) ka haq hay or on k hotay hoay bano umayya or banu abbas jaisay zaalim hukmaraan namaz e jumma ki imamat karain,tu is ko daikh ker imam(a.s) ka dil dukhta ho.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2100
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamo alikum..agar juma ki pehli rakat choot gayi ho to kya karna chahiye???

Answer: Jab muqtadi namaz e jumma ki doosri rakat k rukhu se pehlay imam k sath shamil ho jay to oski namaz sahi he aur wo os k baad aik rakat furada(akailay) parh le ga aur agar doosri rakat k rukhu me shamil ho to ethiyaat e wajib ki bina per is namaz e jumma per iktefa nahi kar sakhta aur zarori he k zohor ki namaz parhain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 124) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2301
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agr jume ki namaz hum wajib ki niyat se padh le to kya hm iske baad zohar ki namaz bhi wajib ki niyat se padh sakte hain...

Answer: jume ki namaz wajib e takhyiri he. is se muraad yeh he ke jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki sharait mawjood hoon to jume ki namaz pehay ya zohar ki namaz perehay hayhaza agar insan jume ki namaz{wajib ki niyat se} parhe to wo zohar ki namaz ki kifayat karti he (yaani phir zohar ki namaz padhna zaroori nahi he). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 720)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2429
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jummah kin logon pe farz nahi he

Answer: Chand afraad per namaz e jumma me shirkat karna wajib nahi he. 1. Aurat 2. Ghulam 3. Musafir 4. Bimaar, nabina aur barhay afraad 5. Aisay afraad jin ka faasla qaim shuda namaz e jumma se 2 shrie farsakh(11 km) se ziyada ho 6. wo ifraad jin k lie juma ki namaz me barish ya sakth sardi waghaira ki wajah se hazir hona zehmat ya takleef ka baaes ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 761) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2621
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: juma ki namaz me kitne rekat hoti hai (yani ki kitne sunnat, farz nafil etc.)

Answer: jumma ki namaz subah ki nmaz ki tarah do0 rkat hai, us men or subah ki nmaz men farq ye hai k juma ki nmaz se pehle do khutbe hote hen, juma ki nmaz wajib-e-takhyeeri hai us se murad ye hai k jumma k din mukallaf(nmaz parhne wale) ko ikhtiyar hai k agr nmaz ki sharait mojud hon to juma ki nmaz parhe lehaza agr insan jume ki nmaz parhe to wo zuhr ki nmaz ki kifayt krti hai (yani phir zuhr ki nmaz parhna zaruri nahi hai), or jume k din zuhr or asar ki mila kr 16 rkat pr 4 rkat ka izafa hojata hai or behtr ye hai k 8 zuhr ki 8 asar ki 4 jume ki , jin ki tadad 20 tk hoti hai puri ki prui zawal se pehle parhi jaen siwaye 2 rkat k k jinka zawal se pehle parha jana brehtr hai. (Ref: Tozeeh-ul-Masaail, Ayat-ullah-Sistani (d.b), 31th Eddition, Pg#123-130,Masla#720-752) (Khuda Ap ki tofeeqat men izafa frmaye)

Id: 2625
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: IK MASJID KA DOSRI MASJID SE FASLA 5KM AUR 200METRE HAI JABKE FASLA SARAY 5KM HONA CHAIY TO KIA IN DONO MASAJID MAIN NAMAZ JUMMA KI ADAIGI HO SAKTI HAI

Answer: Jume ki namaz k sahi hone ki chand sharten hen. 1.Bajamat parha jana. 2.Namaz se pehle do khutbe parhna, 3.Jumme ki do namazon k drmiyan 1 Farsakh(tqreeban 51/2 kilometers) se kam fasla na ho, bs jab jume ki dusri namaz 1 frsakh se kam fasle pr qaaim ho or do namazen ek hi wqt men parhi jaen to dono batil hongi or agr ek namaz ko dusri namaz pr sabqat hasil ho(mtlb ek wqt k etbar se pehle ho dusri bad men) chahe tkbeerat-ul-ahraam ki had tak hi q na to wo namaz jo wqt k aytbar se pehle hui hai sahi hogi or dusri batil hogi(leikn ye us wqt hoga jab dono namazen sahi or tmam sharton k sath ada horahi hon albatta agr aysa na ho to dono men se jo namaz sahi or mukammil sharait k sath ada ki jarahi ho wo hi sahi shunmar hogi chahe wo wqt k aytbar se bad men hi ada ki jarahi ho). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah # 720).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 2629
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: JUMA ke namaaz ki niyat

Answer: 1) Zarori hay k insaan namaz qurbat ki niyat say yani Allah ki bargah men pasti or khuzu k izhaar k liye parhe or ye zarori nahi k niyat ko apne dil se guzare ya maslan zaban se kahe k (2 rakat namaz, fajr ki sunnat parhta hun qurbatan illal_laah). 2)zaroori hai k insane shuru sai aakhir tk apni niyat par qaim rahe.Agr wo namaz men is tarah gafil ho jaye k agr koi puche k wo kia kr reha hai to os ki samajh men na aye k kia jawab de to is ki namaz batil hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 930_932.(Khuda apki tawfiqat men izafa farmaye)

Id: 2863
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam agha namaz e juma main agar koi shaks sure juma galt prhe to namaz sahi hai plz jawab dain ,e dua

Answer: Wssalam o alykum, ager jaan booj kar galat phare to batil hai, or ager galati se phare to batil nahi hia. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 987 , 988 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 2915
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum Ma Japan me jis company me job karta hon wahan juma ke din choti nahi hoti balke sunday ko hoti hai. Is bare me Islam me June ki namaz ka kya Ehkaam hain?

Answer: Wssalam o alykum, is ki jaga zuhar ki namaaz pharain, kun ke jumme ke din mukallaf (insan) ko jumme (ager tamaam sharait hon to) or zuhar ki namaz ke dermiyaan iktiyaar, pas ager jumme ki phar le to zuhar ka pharna wajib nahi hai or is hi terhan ager zuhar ki pharh le to jumme ki pharna wajib nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 720 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 3186
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jumah ki nimaz farz ha ya mustahib????

Answer: Namaz e Juma wajib e takhyiri(optional) he. Is se murad ye he ke jumma ke din mukallaf ko ekhtiar he ke agar namaz juma ki shariat majood hoon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain laihaza agar insaan jumma ki namaz perhe to vo zohar ki namaz ki kifayat karti he. (Yani zohar ki namaz perhna zurari nahin ) (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!