Question: namaz joma chand ra kat ast
Answer: Namaz juma do rakat ast wa bayad ba jamat bashad.(Urdu Translation: Namaz e joma do rakat hai aur jamat say parhna zarori hai). ( Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720)
Question: Kia namaz e juma mai shirkat krna wajib hai?
Answer: Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka bais hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Lekin is ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 51, pg # 36)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera question ye hay ke namaz-e-juma ke kitnay shartain hain? or kon kon si? or kitnay shartain pory na honay per namaz-e-juma nahee hoti? thanks
Answer: 1)Jumay ki namaz wajib honay ki chand shrtain hain:1:Waqt ka dhakil hona, 2:Namaz parhnay waloo ki tadaad jo k imam k sath 5 afrad hoon, 3: Imam ka jamia shrait imamat hona. 2)Jumay ki namaz k sahi honay ki chand shrtain hain: 1:Ba-jamat namaz parhna, 2:Namaz sai pehlay 2 khutbay parhna, 3:Jumay ki 2 namazoo k darmian aik farsakh sai kam fasla na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: MOULANA SAB NAMAZ EID OR NAMAZ JUMMA K BARAY MAIN BATAIN K GHAIBAT IMAM MAIN PARHNI CHAYEE ?
Answer: 1)Imam a.s. k zamana e hozoor mai eid ul fitr aur eid e qurban ki namazain wajib hain aur in ka jamat k sath parhna zaroori hai. laikin hamaray zamanay mai jab k imam a.s. gaibat mai hain, ye namazain mustahabb hain aur ba-jamat aur furada donoo terh parhi ja sakti hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1497) 2)Gaibat k zamanay mai namaz e juma wajib e eini nhi hai bal k wajib e takhyiri hai, is se muraad yeh he k jume k din mukallaf ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki shara,it maujood hon to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam Ya Ali Maddad Sir mere Sawal ye hai ky jab Namaz-e- juma mstahib aur takhayari hai to is ki niyat kaisy ho gi aur namz-e-juma ky baad hum 4 rakaat namaz-e-zuhar parhty hain to wo kiyon aur us ki niyat kaisy hogi please mujhy jawab den
Answer: Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka ba’is hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Leikin namaz e juma ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say gurara jay ya maslan zaban say kaha jay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720-930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASSALAM-O-ALIKUM WHAT IS THE NIYAT FOR FRIDAY PRAYER. THANKS AUN ALI
Answer: Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka ba’is hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Leikin namaz e juma ka wajoob tkhieri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). Namaz e juma ki niyat is terah ki jasakti hay k “aap niyat karain k main namaz e juma perhta hun qurbatan ilallah or ye zarori nahi keh niyat ko apnay dil say guzara jay ya maslan zaban say kaha jay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720-930) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam sir me saudi arab me ho.n apko pta he yah.n sad ahle hadis he.n me jume ki namaz kese ada karo. hamari masjid bohat dor he tashi ki iska koi hall btayn plzzzzz
Answer: Namaz e juma is zamanay mai wajib e tekhiri hai yani insan ko ikhtiar hai k chahay namaz e juma parhay chahay namaz e zohar. Namaz e juma parhna afzal hai jab k zohar ehtiyat k mutabiq hai. is sai ziada ehtiyat ye hai k namaz e juma aur namaz e zohar donoo parhay. (Ref :Tehreerul wasila jilad 1 pg # 417)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar jummay ka 2 farz sa pehlay 4 sunnat ra jaiy to kia karna chaiye?
Answer: Jummay ki namaz 2 rakat hain aur aur jummay k din zohar aur asar ki 16 rakat fafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai aur behtr ye hai k puri 20 rakat zawal sai pehlay parhi jae siway ye k 2 rakat k jin ka waqt zawal k waqt parha jana behtr hai. laikin nafal namazain parhna mustahab hai agar nahi parhain to bhi jummay ki namaz ho jae gi.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 752)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: slam.men sunni sy shia pe convert hua hon .kindly mujy namaz e juma ka tareqa detail sy bta den kasy parhtey hain jumat ky sath...
Answer: 1)Imam a.s. ki gaibat k zamanay mai Jume ki namaz wajib e takhyiri hai. is se muraad yeh he ke jume k din aap ko ikhteyaar he k agar namaz e juma ki sharait maujood ho to jume ki namaz parhe ya zohar ki namaz parhain. aur Jumay ki namaz wajib honay ki chand shrtain hain:1:Waqt ka dhakil hona, 2:Namaz parhnay waloo ki tadaad jo k imam k sath 5 afrad hoon, 3: Imam ka jamia shrait imamat hona. Is k alawa jumay ki namaz subah ki terah 2 rakat hai is mai aur subah ki namaz mai faraq ye hai k jumay ki namaz sai pehlay 2 khutbay bhi hain. Aur jumay ki namaz mai pehli rakat mai ruku sai pehlay aik qunoot hai aur doosri rakat mai ruku k bad qunoot parhay aur phir sajday mai jain. Is k alawa Jumay ki namaz k sahi honay ki chand shrtain hain: 1:Ba-jamat namaz parhna, 2:Namaz sai pehlay 2 khutbay parhna, 3:Jumay ki 2 namazoo k darmian aik farsakh sai kam fasla na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 722, 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agr 3 ya ose ziada jumme ki namaz nai pardi ho to kehte hain k islam se kharij hojate hain. kia ye bat sahi hai? or agr sqahi hai to ab kia krna chahiye?
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Namaz e Juma mai shirkat krna sawab e azeem ka bais hai aur agar is mai namaz e juma ki sari shrait moujood hon to phir zohar prhnay ki zaroorat bhi nhi rehti. Lekin is ka wajoob tkyeri hai, taeini nhi (yani aap ko ekhtiar hai k is mai shirkat karain ya zohar ada karain). Leikin jumay ki namaz waqt sai pehlay nhi parhi ja sakti hai aur na hi jamat k bagaor.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 51, pg # 36)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)