Question: Aoa Namaz Jummah Ki niyat kis trah krain .kya namaz ki niyat fajir sy masoob kr k krain ya nhe?
Answer: Namaz e jumma ki niyyat yahi karein gay k namaz e jumma adaa karta hoon qurbatan ilallah. niyyat zaban sai ada karna zaroori nahi hai bus iraada kaafi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1531). [Updated on 18-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا مسافر جمعہ پڑھ سکتا ہے
Answer: Musafir namaz juma men shirkat kar sakta hai lekin us par namaz e juma men shirkat karna wajib nahin hai chahe wo musafir aisa ho jis ki zimedari poori namaz parhna ho jaise wo musafir jis ne kisi maqam par das din theherne ka Irada kiya ho.(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #1797,1798). [Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Islam mai sabse pehla jumah kab kahan or konsi hijri mai ada kia gya ?
Answer: Pehla juma Rasool e khuda(s.a.a.w) ne apne ashaab ke sath us waqt parha jab Aap(s.a.a.w) ne madine ki taraf hijrat ki or madine main muhalla e bani saalim main parha gaya. or us waqt se hijri saal ka aagaz howa tha. (http://www.tebyan.net/index.aspx?pid=131244). [Updated on 22-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaykum sir me saudia me security ki duty krta hon din me aor mujhe koi chutti nai hoti jiski waja se me juma nai prh skta jis jaga duty krta hon wahan koi masjid nai ha to is bare me thora guide kr de
Answer: (Note: Is website par Fiqh e Jafferiya (Shia Mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Jume k din ikhteyaar hay k agar namaz juma ki sharait majood hon to juma ki namaz perhain ya zohar ki namaz perhain. Jume ki namaz ko chorhna gunah nahin hai, agar jume ki namaz na parhi ho to namaz zuhr hi parhi jaye gi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #720). [Updated on 29-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I am a university student and Jumma prayer in our university masjid is offered by Sunni Ulma. So my question is, is it correct if I offer Jumma prayer behind Sunni ulama?
Answer: Ahle sunnat ke sath namaz juma parhna kaafi nahin hai. (Ref: Jadeed masail,muqtalif maraje,aqa sistani part #4, pg #183). [Updated on 10-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: سلام نمازِ جمعہ کا وقت زوال کا وقت ختم ہونے کے بعد سے کتنی دیر تک باقی رہتا ہے؟ کراچی میں زوال کا وقت 12:04 بجے شروع ہوتا ہے اور 12:34 بجے ختم ہمارے نزدیکی امام بارگاہ میں جمعہ کے لیے جماعت 01:35 بجے کھڑی ہوتی ہے تو کیا نماز صحیح ہے یا اس میں اشکال ہے؟
Answer: Namaz e jumma ka waqt awwal e zawaal e Urfi hai aur awwal e zawaal e Urfi mein yeh nuqta qabil tawajjuh hai ke agar khutba (40) minute ka ho aur phir fauran baghair faaslay ke namaz e jumma tamam sharaait ke baja laayei jaye to woh namaz sahih aur kaafi hai. aur namaz zuhar parhne ki zaroorat nahin hai aur agar namaz e jumma ka khutba (40) minute se le kar sawa ghantay (1:15) tak ho jaye to Ehtiyaat ki jaye aur Ehtiyaat wajib ki bana par namaz e zuhar bhi baja laaye aur agar is se (75) minute se ziyada ho jaye to zaahiran is soorat mein jumma kaafi nahin hai aur zuhar bhi parhni hogi aur mukallaf (yani namazi) shak ki soorton mein mazkoorah dastoor ke mutabiq anjaam day to kaafi hai. (Ref: Tauzeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #2002, hashiya #1, Link https://www.sistani.org/urdu/qa/02704/ ). [Updated on 20-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Mera sawal hai ki Jaunpur Uttar Pradesh me Jume ki namaz 1:20 baje shuru hoti hai kya ye sahi hai jabki zawal ka waqt 12 baje ke aas paas hota hai
Answer: Namaz e jumma ka waqt awwal e zawaal e Urfi hai aur awwal e zawaal e Urfi mein yeh nuqta qabil tawajjuh hai ke agar khutba (40) minutes ka ho aur phir fauran baghair faaslay ke namaz e jumma tamam sharaait ke baja laayei jaye to woh namaz sahih aur kaafi hai. aur namaz e zuhar parhne ki zaroorat nahin hai aur agar namaz e jumma ka khutba (40) minutes se le kar sawa ghantay(1:15) yani (75) minute tak ho jaye to Ehtiyaat ki jaye aur Ehtiyaat e wajib ki bana par namaz zuhar bhi baja laaye aur agar is se (75) minutes se bhi ziyada ho jaye to zaahiran is soorat mein jumma kaafi nahin hai aur zuhar bhi parhni hogi aur mukallaf (yani namazi) shak ki soorton mein mazkoorah dastoor ke mutabiq anjaam day to kaafi hai. (Ref: Tauzeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #2002, hashiya #1, + Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02704/ ). [Updated on 20-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz juma ke khutbe me lakri uthana lazmi hy ya nahi?
Answer: Jee nahin, Zaroori nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #720). [Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: JUMMA ki Azan sab say pehle kis Nabi nay di
Answer: Azaan, ka hukum Paighambar Islam(s.a.w.w) par nazil hua is se pehle kisi nabi ke zamane me azan nahin thi. 1: Kulaini ne sahi sanad ke sath Imam Baqir(a.s) se riwayat ki hai ke aap ne farmaya: Jis waqt Rasool khuda(s.a.w.w) ko shab e meraaj aasman par le jaya gaya aur aap ki sawari bait ul maamoor par punhchi to namaz ka waqt hua Jibraiel(a.s) ne azaan o iqaamat kahi Paighambar Islam(s.a.w.w) agay kharray hue farishtay aur deegar Anabia aap ke peechay saf basta kharray ho gaye. 2: Aik aur riwayat me hai ke Kulaini ne sahi sanad ke sath Imam Sadiq(a.s) riwayat ki hai ke aap ne farmaya: Jis waqt Jibraiel(a.s) azaan le kar Paighambar Islam(s.a.w.w) ki khidmat mein haazir hue to us waqt aap ka sar mubarak Ali(a.s) ke zaano par tha Jibraiel(a.s) ne azaan o iqaamat kahi jab Paighambar Islam(s.a.w.wi) bedaar hue to Ali(a.s) ne farmaya ya Rasool Allah(s.a.w.w) aap ne kuch suna to Rasool Islam(s.a.w.w) ne farmaya ke haan mein ne suna hai. is ke baad aap ne farmaya: Ya Ali kya tum ne hifz kar liya? to aap ne farmaya jee haan mein ne hifz kar liya is ke baad aap ne farmaya ke bilal ko bulao aap ne bilal ko bulaya aur Paighambar Islam(s.a.w.w) ne bilal ko azaan o iqaamat ki taleem di. (Ref: https://makarem.ir/main.aspx?typeinfo=23&lid=4&catid=24945&mid=252401 ). [Updated on 24-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Juma Mubarak ka hukam kue dia ghai
Answer: Is ke jawab ke liye aap zail me diye gaye link ko mulahiza farmayen. https://www.makarem.ir/main.aspx?reader=1&lid=4&mid=104678&catid=6479&pid=321543 [Updated on 22-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]