Question: assalam o aliakum, qaza namazoo ko kasy ada kiya jay/ jo namaz qaza ki ho kya uss ko uss k waqet main hi perain jassay zuhar ki zuhar k time.
Answer: Youmia namazoon ki qaza main tarteeb laazim nahi hay siwaey un namazoon kay jin ki ada main tarteeb hay masalan aik hi din ki namaz-e-zohar o asar ya maghrib o Isha..Qaza namaz ko us kay waqt main parhna zaroori nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1361,1365.
Question: Assalamu alkum Meri age is waqat 33 saal hai mujh namaz qazai umerei aada karni hai kese ki jai gi
Answer: Qaza namaz parhnay ka wohi tareeqa hay jo Ada namaz parhnay ka hay albatta Qaza namazoo main tarteeb lazim nahi hay,siwaey un youmiya namazoo kay jin ki ada main tarteeb hay ,masalan zohar kay baad asar ya masalan maghrib kay baad Isha.Aur agar kisi ki namazain qaza hogaee hoon aur wo un ki tadaad na janta ho ya bhool gaya ho masalan 4 baqi hain ya 5 ya is say ziada to agar wo chotay adadkay hisab say parh lay to kafi hay,(yani jis kay baray main 100% yaqeen hay kay kam az kam itni namazain to qaza hoi hi hongee)balkay behtar ye hay kay itni namzain parhay kay usay yaqeen ho jaey kay sari namazain parh lee hain.(yani jis kay baray main yaqeen hay kay ziada say ziada itni namazain qaza hoi hongee,is say ziada nahi)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1361,1364
Question: ASSALAM O ALIKUM. ] ALLAH APP KAY ILM MAY AUR IZAFA DAY AMEEN.. mujhey yeh poochna tha kay kisi insaan say qaza namazay hojati hay aur ab us ko yada nahi hay kay kitni namzay thi . aur woh ab tahajjud ki bhi namaz parhti hoon. kia namaz ki maafi hay
Answer: agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1364 aur jis shaks ki namaz qaza hojai to zaroori hai ke us ki qaza parhnay mein kotahi na karay. aur jahan tak mustahib namazain parhnay ka taluq hai to jis shaks par kisi namaz ki qaza wajib ho to woh mustahib namazain eg. namaz e tahajjud par sakta hai. lekin is se qaza namaz ki zimidari saqit ya maaf nahi huwa karti. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1358+1359.
Question: continue jab us nay dua ki hon ya ALLAH meri qazaye namaz maaf farma . aur ab achi tarah namaz parhti hoon.
Answer: agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1364 aur jis shaks ki namaz qaza hojai to zaroori hai ke us ki qaza parhnay mein kotahi na karay. aur jahan tak mustahib namazain parhnay ka taluq hai to jis shaks par kisi namaz ki qaza wajib ho to woh mustahib namazain eg. namaz e tahajjud par sakta hai. lekin is se qaza namaz ki zimidari saqit ya maaf nahi huwa karti. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1358+1359.
Question: qaza namaz beth kar barh sakte hain? aur agar age bhai kafi bari ho i.e; more than 60yrs
Answer: bismehi taala, jab tak insan khade ho kar namaz padh sakata ho zaroori he k na bethe masalan agar khada hone ki halat me kisi ka badan harakat karta ho ya woh kisi chiz par tek lagane par ya badan ko thoda sa tedha karne par majboor ho to zaroori he k jayse bhi ho sake khada ho kar namaz padhe lekin agar woh kisi tarh bhi khada na ho sakata ho to zaroori he k sidha beth jae aur beth kar namaz padhe (tawzihul masail Aytullah Seestani masaala no. 979)
Question: Aslam o alikummainy pehli bar ques likha hai mai america mai ho maniny bachpan say lay kar koyi 3 hafty pahly he namzy shoro ki hai but mai isha ki namaz nahi parti mai kia karo our baki namazo ko kaisy pora karo thanks
Answer: w.s. agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1364 aur jis shaks ki namaz qaza hojai to zaroori hai ke us ki qaza parhnay mein kotahi na karay. aur jahan tak mustahib namazain parhnay ka taluq hai to jis shaks par kisi namaz ki qaza wajib ho to woh mustahib namazain eg. namaz e tahajjud par sakta hai. lekin is se qaza namaz ki zimidari saqit ya maaf nahi huwa karti. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1358+1359.
Question: Assalam O Alaikum, Mere umer 30 years hai mein apni total zindgi ki qaza namazain ada kerna chahta hoon to please uk ka tarika (way) in detail bata dein.
Answer: w.s. un tamam rozo or namazo ki qaza wajib he jin k sharee tor par baligh hone k baad chhoot jane ka yaqeen ho.(ref: istiftaat k jawabat Aytullah Khamnaie (r.a.) part 1 page no.152)
Question: Assalam O Alaikum, Mera sawal yeh tha keh Qaza namazein kaisy adda ki jain(parhi jain)? Zindgi ki tamam qaza namazein parhni chahein leiken us ka tariqa (way) bata dein..... Thanks
Answer: w.s. kisi ek namaz ko shuru kare or phir unhe panjgana ki tarh padhte rahe.(ref: istiftaat k jawabat past-i Aytullah Khamenaie (d.b.) page no.153)
Question: qaza namaz ka lya kasa ki jaya our kis vakt ada ki jaya our safar main hon our namaz qaza ho gi our vapas gr ah gaya to tb safr ki nyt kr ka safr ki namaz padni chya
Answer: 1)Jis shakhs ki namaz qaza ho jae to zaroori hai k is ki qaza parhnay mai kotahi na karay albetta is ka foran parhna wajib nhi hai. 2)Jis musafir ko namaz qasar kar k parhni ho agar is ki zohar, asar ya isha ki namaz qaza ho jae to agar chah is ki qaza is waqt baja laye jab wo safar mai na ho to zaroori hai k is ki 2 rakati qaza kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1354-58) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mera quistion hay kay jb ksi shia ka bap ya man mrr jati hay to log khety hain kay in ki nmaz and rozy brri old per wajib hogy hay iss ka koi quran ya hdees say btay jbky nmaz and rozy ka hisab khud dena hota hay to olad ko kew kha gea hay.
Answer: agar baap nay apni khuch namazin nah perhi hoon or inki qaza perhnay per qaadir ho tu agar is nay khuda k hokum ki naa-fermani kertay hoay inko terk nah kia ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per os k berhay baitay per wajib hay k baap k mernay k baad is ki qaza namazin perhay.ya kisi ko ujrat day ker perhwaay, or maan ki qaza namazain is per wajib nahi , agarcha behter hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1371). Baap k mernay k baad berhay baitay k liay ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay keh baap k rozo ki qaza isi terah baja laay jaisay keh namaz k silsilay main maslah # 1371 main tafseel say bataya gaya hay. wo ye bhi ker sakta hay k her din k badlay 750 gram khana kisi faqeer ko day day.chahay warisoo k razi honay ki sorat main mayyit k maal hi say day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1683).