Question: Assalamalaikum.my sister lives in norway n they hav to keep roza for 21 hours which is too difficult for her.esi jagahon me jahan din bahut lambe ho to kya hukam hai?jazakallah
Answer: Agar koi musalman aise mulk(county) me re raha ho jaha din 23 hours ka aur raat 1hours ki ya is ka asks ho to is per wajib hai k agar qudrat rakhta ho to ramzan k roze rake aur agar qudrat na rakhta ho to ramzan ka roza saqit hai aur agar baad me qaza baja lana mumkin ho, agarchah is k lie dosray mulk jana peray to lazmi tour par qaza baja lay aur agar qaza baja lana mumkin na ho to fi roza fidia (750 gm aata ,gundum)(sherie faqeer) ko dain. (Ref : Aqa sistani d.b. jaded fiqhi masail masla # 103, pg # 88) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asslamualekum,, sir aap mujhe ye batayen ke agar koi raat ko musterbate kare or subeh uth kar naha le to kya uska roza jayez hoga...yaa agar musterbate karne se roza nahi hoga
Answer: 1)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) 2)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. 3)Jo shakhs ramzan ki kisi raat junub ho jae aur janta ho k agar soe ga to subah tk bedar na ho ga ehtiyat e wajib ki bina par osay begair ghusl kiay nhi sona chahea aur agar wo ghusl krnay sai pehlay apni marzi sai so jae aur subah tk bedar na ho to is ka roza batil hai aur qaza aur kaffara donoo wajib hai. 4)Jo shakhs ramzan ki kisi raat junub ho jae aur yaqeen ya etminan rakhta ho agar wo so gya to subah ki azan sai pehlay bedar ho jae ga aur is ka pakka irada ho k bedar honay k baad ghusl kray ga aur is iraday k sath so jae aur azan tk sota rahay to is ka roza sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591-1600)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: ya ali a.s madad mera sawal hai ke aaj roza 7:20 par khulay ga to aazan 7:20 khtm kar di jai ya 7:20 mnt pe shuro ke jai plz ans.
Answer: Maghrib ki azan ka waqt hi rozey k khulny ka waqt hota hai pas 7:20 pe azan di jay gi. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1531 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia ramzan ki raton me sohar apni bivi se humbistari kar sakta hy?
Answer: Gee haan , Q k faqt rozey ki halat main humbistri karna rozey ko batil kardeta hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553 ).
Question: Rozy ki halat m ser p khasab laga sakty h KIA plz juldi answer Di jiy ga
Answer: Jee haan, rozay ki halat main khizaab laga sakty hain. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553,1629 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar doctor kisi mareez ko roza rakhnay sai mna karay magar mareez khud samajta hai k roza is k lie nuqsan day nhi hai to kia krna chaheay?
Answer: Roza rakhna chaheay. (Ref : Jaded Masail Part # 2, Ayat ullaha Sistani d.b. pg # 139) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASA, janab agar roze ke waqt ahtelam ho jaaye to kya karna chahiye. 2) agar hum paak h or hm najis kapde pehen le to kya hme naha kar dobara paak saaf hona padega?
Answer: 1)Agar rozay ki halat me ehtilam ho jaye tu roza batil nahi hota hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) 2)Najis kapray pehannay k baad agar najast aap k jism tk muntakil ho jae to badan najis ho ga aur jo hissa najis hua ho faqat os hissay ko hi paak krna ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 119) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mera sawal ye hai mein nei ramzan ka qaza roza rakhney ki niat se sehri ki or azan se 15 minutes pehley ghusl e janabat kerney k liye chali gae. jab ghusl ker chuki or time check kia to 3 minutes azaan se ooper ho chuke the , kia mera roza batil ho gaya.
Answer: ager ap fajar tak jaan booj ke janabat ki halat main rehe ho (masalan gusal pehle kar sakti thi magar nahi ki ya pata tha ke 15 minute main gusal nahi kar pain gi phir bhi tayammum ki jaga gusal karne main mushgool ho gai) to ap is din roza nahi rakh sakti, Or ager jaan booj kar na ho (masalan ap ko pata tha ke fajar main 15 minute hain or ap in main gusal se farig ho gaain gi) to is din ka roza rakh sakti hain or roza sahi hai, agerche ke ehtiyaat ye hai ke is din roza na rakhain.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1592 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: Hum sunnato roza me roza kaza ki niyat se rakhte hai jisse kaza bhi bhar jata hai aur sunnati roza ka sawab bhi milta hai. Kya ye sahi hai. Aur hamare roza kaza hai to kya hum adhe din me sunnati roza khol sakte hai?
Answer: Agar qaza rozay kisi k zimay hon to wo mustahab roza nahi rak sakta hai aur mustahab rozay ki niyat karna jaiz nahi bal k zaroori hai k wo qaza ka irada karay aur agar wo qaza roza rakh lai to osay mustahab rozay ka sawab bhi milay ga. Aur jis shakhs nai ramzan ka qaza roza rakha ho wo is rozay ko zohar sai pehlay tor sakta hai laikin agar qaza ka waqt tang ho to behtr hai k roza na toray. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # roza, sawaal # 90, pg # 53) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1544-1671)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Agar kisi shakhs ki tabiyat kharab ho magar woh roza rakhna chahta ho to.. wo subha kitny bjy tk rozy ki niyat kar skta hai ????
Answer: Ramzan mai rozay ki niyat ka aakhri waqt aik aisay shakhs k lie jis ki tawajah ho, azan e subah sai pehlay hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1533)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).