Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6348
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: roza ke haalath me jaan chale jane ki tarha musibat aaye tho kya hum roza thod sakthe hai?

Answer: Jis shakhs k lie roza rakhna shaded takleef ka bais ho is par roza wajib nahi hai laikin zaroori hai k har rozay k badlay 750 gram gundum ya is sai milti julti cheez faqeer ko dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1696)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6363
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Lakri par rozay kab wajib hotay hain?

Answer: Larki 9 qamari(chand waly) saal puray karnay k baad balig hoti hai. (jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz, roza aur dosray sharie ahkam wajib ho jatay hain)(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6377
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: fajar ky azan sun k roza band karne se ,kia roza nahe hota ? jesy ko sehr kar raha ho aur azan ho jae tu kia us ka roza nahe ho ga ?

Answer: 1)Pehli baat to ye zehan mai rakhain k roza rakhnay k lie jo waqt hai wo namaz e fajar ka waqt start honay sai start hota hai azan ka koi aetibar nahi hai q k azan aam tor par waqt par nahi di jati hai wo kuch dair k baad di jati hai. Is lie roza band karnay k lie aap azan ko meyar na banain bal k waqt ko dekh kar roza band karain. Is k alawa ye yaqeen hasil karne k lye k tamam waqt me aap roze se rahain hain zaroori hai k khuch dair waqt fajar se phele aur khuch dair magrib k baad aise kaam karne se perhaiz karain jin se roza batil hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1531 ) 3)Reha aap ka masla to agar ye yaqeen hasil ho jay k waqt namaz fajar k baad khana khaya hai to is roze ki qaza karna zaroori hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, hissa ,roza, sawaal # 6, pg # 19) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6391
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Kisee kisam kay injection or galcuse lagany say roza Toot Jat hay????

Answer: Injection or drip se roza batil nahe hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1557 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6404
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: dhod pilany wali maan k rozy k mutalik btaiy. roza raky ya chody? or doran e roza dhood pila skti he kia hukm he ?

Answer: Jo aurat bachay ko doodh pilati ho aur os ka doodh kam ho agar os ka roza rakhna khud is k ya doodh pinay walay bachay k liay muzr ho to os aurat per roza rakhna wajib nahi hai aur zaroori hay k har din k badlay aik mudd ta,aam(food) faqeer ko day aur in rozoo ki qaza kerna zarori hai. Lakin ehtiyaat e wajib ki bina per ye hokum sirf is surat mai hai jab k doodh pilanay ka inhesaar isi aurat par ho, lakin agar bachay ko doodh pilanay ka koi aur tareeqa ho maslan kuch auratain mil kar bachay ko doodh pilaein ya isi doodh pilanay mai feeder (feeding bottle) ki madad bhi lain to aisi surat mai is hokum k sabit honay mai ishkaal hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1700) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6407
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mane roza ki niyat ki or ma fajir ka baad khlne chala gaya.ab 3,4 gante baad mera mou sook raha ha piyas ki talab ha,,,kiya ma pani pi skta hn...

Answer: Insaan kamzori aur naqahat ki wajah se roza nahi choorh sakta hay laikin agar kamzori is had tak ho k umoman bardaash nah ho sake to phir roza chorhne me koe haraj nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1564). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6409
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir g roze main ghusal kaise karna chahi or moo main pani kaise dalna chahiye

Answer: Ghusl me monh me pani dalna zarori nahe hai. (ref: ayatullah sistani(d.b),tauzee hul masail, maslah # 360). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 6446
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alekum mujhe ye puchna tha ki ramzan ka roza (aftar ke bad) kholne ke bad raat me biwi ke sath sex kar sakte hai ki nhi

Answer: Raat me sex kar sakte hai laikin waqt fajar se phele ghusl janabat kar lena zarori hai. (ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6489
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa, contact lens pehanny sy roza par kya asrat hain.....

Answer: Lens pehannay sai roza batil nahi hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6511
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar hum roze ki halat mein bhoole se pani pi len tu kia yeh roza qabool ho ga ?

Answer: Agar rozaydar galti sai koi cheez kha lai ya pi lai to is sai roza batil nahi hota hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1556)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!