Question: mai pregnent ho aur kya muj per rozza maff hai.? kya mai roza rekh sakti ho.
Answer: Jis aurat k hamal ka waqt qareeb ho yani wo pregnant ho, is ka roza rakhna khud is k lie ya is k honay walay bachay k lie muzr(taqleef day) ho to to is aurat par roza rakhna wajib nahi hai. Aur zaroori hai k har din k badlay aik mudd toam(750 gram gundum, aata wagira) faqeer ko day. Aur zaroori hai k donoo suratoo(khud k lie roza rakhna muzr ho ya bachay k lie muzr ho) mai jo rozay na rakhain ho un ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1699 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: iftiyar ke thodi deer pehile mangigaye dowa khubul hoti hai aise kahte hai kya ye sach hai ? hai toh ap please dow like ke bhje.
Answer: Ramzan wo mahina hai jis mai Allah nai ham musalmano ko apni mehman nawazi mai bulaya hai is mahinay mai aamal qabool kiay jatay hain aur dua manzoor ki jati hain aur iftar k waqt ki jo duain hain un ko parhna chaheay ta k sari dunya k rozaydaroo jitna sawab milay aur duain aap ko mafatihul jinan mai mil jain gi mafatihul jinan kitab k lie is link ko copy kar k address bar par paste karain. http://www.momin.com/urdu/Books/Mafateh-ul-Jinan-9/mahe++ramadan+ki+den+ki+amal-756.html (Ref : Mafatihul jinan )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AoA mera sawal ya hai k agr koi roza rakhna chahata hai lakin sehri k waqt wo kisi waja se nahi uth pata tu kea wo sehri kiyay roza rakh sakta hai.
Answer: Sehri khana tark nahi karna chaheay, agarchah aik khajoor aur aik glass pani hi q na ho albetta sehri karna wajib nahi hai. aur bagair sehri k roza ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: roza kis umar me rakhna farz he?
Answer: Balig honay k baad tamam ibadatain wajib ho jati hain aur larka jab chand k hisab sai 15 saal puray karay balig ho jata hai is k alawa jab bhi mani kharij ho jae gi larka balig ho jata hai aur naaf k nichay sakht baa lug jain to bhi larka balig ho jata hai laikin larki k balig honay ki nishani ye hai k wo chand k hisab sai jab 9 saal puray kar lai balig ho jati hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2215)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mera sawal yeh ha keh hum niyat karta hain keh "hum kal ka roza ki niyat karta hain" mager roza tou hum aj rakh raha hien es k bara mein batien??
Answer: Agar rat sai rozay ki niyat kar k sotay hai to insan ye hi niyat karay ga k mai kal roza rakhoon ga ya kal k rozay ki niyat karta hon laikin rozay ki niyat dil sai ghuzarna ya zaban sai kehna zaroori nahi hai bal k is ka irada karna kafi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1531)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: 1 shaks bilkul roza rakhne k qabil nae hai to wo 30 rozo ka kaffara 1 ramzan ko de skta hai kya ???????
Answer: Jo shak bhurhaphe ki waja se roza na rakh sakta ho ya roza rakhna us k lye shaded takleef ka bais ho us per roza rakhna wajib nahi hai lakin doosri surat mai zaroori hai k har rozay k badlay 750gram toam yani gandum kisi faqeer ko dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1696) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Roza ki halat main under shave ki ja skti hai ya nai
Answer: Jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar roze ky duran ehtilam ho jae to ghosl karna chai ya nemaz parskty hain
Answer: Agar rozay k doran ehtilam ho jae to roza batil nahi hota hai laikin namaz parhnay k lie pehlay ghusl e janabat karna zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553, 356)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: SAlaam. Kya hamila Aurat..roza tod sakti hai? Kya Hamila aurat qaza kar sakti hai? Fi AManillah
Answer: Jis aurat k hamal ka waqt qareeb ho, is ka roza rakhna khud is k lie ya is k honay walay bachay k lie muzr(taqleef day) ho to to is aurat par roza rakhna wajib nahi hai. Aur zaroori hai k har din k badlay 750 gram (gundum, aata wagira) faqeer ko day. Aur zaroori hai k donoo suratoo(khud k lie roza rakhna muzr ho ya bachay k lie muzr ho) mai jo rozay na rakhain ho un ki qaza baja laye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1699 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam mera sawal yeh hy k me ramzan me traweh nahi parti hu kya mera roza qubul hoga? Plz mjy iska jawab jald djye
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Fiqh e jaffaria k mutabiq taraweh parna bidat hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).