Question: Ramza main hambestri ka baad gusal subah kab tak kry.
Answer: Ramzan mai roza rakhnay k lie waqt namaz fajar se phele ghusl janabat karna zaroori hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1591)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: rozay me mehandi, oil,or cosmatic use krsakty han?
Answer: Jee han ye tamaam cheezain istemal kar saktay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar azan sun kr bhi roza late khola jaye kia roza makhroh hota hai?
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Rozay dar k lie mustahabb hay k roza iftar karnay sai pehlay maghrib aur isha ki namaz parhay lakin agar koi doosra shakhs os ka intezar kar raha ho ya osay itni bhook lagi ho k hozoor e qalb k sath namaz na parh sakta ho to behtr ye hay k pehlay roza iftar karay lakin jahan tk mumkin ho namaz fazilat k waqt may hi ada karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1720)
Question: Rozay Mai bhool k dawai Mila pani p na
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Agar roze dar galte se kohe chease khale ya pi le to is ka raza batil nahe hota . (ref tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1556 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Sir me ny roza rkha aur fjr k namaz k bad so gya subha jb utha to ethlam a gya tha. kya me us wqt gusal kr skta hn ya kse aur wqt?
Answer: Agar kise roze daar ko din me ehtelam hojaay to is per foran ghusal karna wajib nahe .(yane din me jab chai ghusal kar le. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1605 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam 0 Alikum. Mufhti sahab hum bohot badi pareshani me hum handicapt hai hame baitne nahi ata kya aap hame bata sakte hai ke es halat me roza rakh na zaroori hai.Plz rpy.
Answer: Agar roza rakhna aap k lie shaded taqleef ka ba’is ho to aap par roza rakhna wajib nahi hai lakin zaroori hai k har rozay k badlay aik mudd toam yani gandum kisi faqeer ko dain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1696) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar dant (tooth) sy khoon nikly ya gums main sy tu kia roza makrooh / batil ho jata hai?
Answer: Dant (teeh) se khoon nikalne se roza batil nahe hota hai.(laikin is khoon ko bahar nikal deya jaay ). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kai rozay ki dowa na pharny say roza ho jata hai ?
Answer: Rozay ki dua perna zarori nahe hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: A.A. SIR ME JAN.NA CHATA HU K RAMZAN MUBARAK ME SHOHAR OR BIVI KO KESY RHNA CHYE MATLAB KOI PARHEIZ?YA WO APAS ME PYAR KR SAKTY HA?ALAWA ROZY KI HALAT
Answer: Ramzan Mubarak main faqat rozey ki halat main shohar or bivi hambistari or mani nikaalnay k qasd se cheerh chaarh nah karain. Roza mukammal honay k baad or roza ka waqt shuru honay se pehlay shohar or bivi tamaam jinsi ta,aluqaat qaaim ker saktay hain. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #before 1531, 1553,1576). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A.o.A sir aghar rozy ki halat main ihtlam ho jay to kia roza makroh ho jata hy? is ka kia hal hy? plz rply.I a very thankful to u.
Answer: Din k waqt mai ehtilam sai roza batil nahi hota hai.aur jisay ehtilam ho is ka farz hai k wo namaz k lie ghusl karay . qozay sai is ka koi taluq nahi hai. (Ref : Aqa sistani d.b. jaded fiqhi masail masla # 100, pg # 88) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).