Question: assalam..... mera sawal ye hai k ...kya halat e roze me ser k baal kaat skty hai.? rply jaldi dijei plzzzz
Answer: Gee haan kaat sakte hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalammualim. mera aapse sawal hai ki agar iftar honey kay baad mard mani nikale to kya uska roza rehta hai ya toot jata hai.agar toot ta hai to nafsiyaat par kaise kaabo payi..please answer me really needed.....
Answer: Agr iftaar ka waqt honay k baad mani nikali jai tu is say roza batil nahi hota. Laikin istimna kerna gunah e azeem hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #befr1531+ ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#, maslah #30). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya subh ki azan k sath roza band krna jaiz ha ya azan se phly krna zrori h
Answer: Jise he insaan ko itmenaan ho jay k (waqt namaz) fajar ho chuki hai use waqt insan per roza band kardena wajib hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, hissa ,roza, sawaal # 7, pg # 19)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar roza ki sehere karna bhool chuke tho marad ya aurat ko kya karna hy?
Answer: Agr aap ne raat ko roze ki niyyat nhi ki thi or ap zuhr se pehle pehle uth gaye the, or uth`te wqt roze ki niyyat krlen to apka roza sahi hai, or agr namaz-e-zuhr k bad uthen hen zaroori hai k ihtiyat krte hue qurbate mutlqa ki niyat se baqi din apne apko roze men rakhe or us din k roze ki qaza bhi kre, lekin agr ap ki niyat thi roza rakhne ki or agr ap subah sehri k liye nhi uth paye to koi msla nhi q k sehri krna wajib nhi ap din k kisi bhi hisse men bedar ho nap ka roza sahi hai lekin agr apne sehri pr na uthne ki waja se roza khtm krdiya , to phir is soorat men faqat is roze ki qaza wajib hai ap pr koi kffara nhi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msal#1535_1625). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar kisi ankh dair se khuly k rozy ka waqt nikal gaya o...or att paira roza rakhny ki istat na ho to kafara kia e????
Answer: Agar raat ko roze ki niyat nahi ki thi or aap zuhr se pehle pehle uth gaye thay, or uth`te waqt roze ki niyat karlen to apka roza sahi hai, or agar namaz-e-zuhr k baad uthen hen zaroori hai k ehtiyaat kerte hue qurbat e mutlaq ki niyat se baqi din apne aap ko roze men rakhe or us din k roze ki qaza bhi kare, lekin agar aap ki niyat thi roza rakhne ki or agr aap subah sehri k liye nahi uth paye to koi masla nahi q k sehri kerna wajib nahi ap din k kisi bhi hisse men bedar ho nap ka roza sahi hai lekin agr apne sehri pr na uthne ki waja se roza khtm krdiya or waqai men ap k andr ist`taa`t nhi thi k roze ko jari rakh saken or ap k liye mushkil or zarar ka ba`ais bhi tha to phir is soorat men faqat is roze ki qaza wajib hai ap pr koi kffara nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msal#1535_1659) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalamulaiqum ,sir mera sawal yeh hai k rozy ki halat ma agr koi kisi ko gali dy de tou kia roza tot jata hai ya makro hojata hai ,??
Answer: Gee nahi, roza batil nahi hota or laikin ahdees main gali dainay ko mana kia gaya khaas taur per halat e roza main. Albatta chonkeh roza sirf is cheez ka naam nahi hia k insan subah se leker sham tak bookha or piyasa rahay, balkeh quran men hai k roza is liye wajib kai gaya takeh muttaqi ban jaen, or mutaqi afraad ki alamt hi yahi hai k wo khuda se darte hue wajibaat ko anjaam dete or gunahon se bachte hen, is hawale se roza nah sirf pet ka hai balkeh insan k jism k her hisse(aankh,kaan,zehn,zaban) ka bhi roza hota hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553-1629+ ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen1,part#, maslah #1013) .(Quran Majeed, Surah Baqrah, Ayat#83). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Ramzan ke mahine me kab intercorce kar sakte he aur kab nahi......
Answer: Ramzan men halat-e-roza k elawa mean maghrib k baad se le ker fajar ki azaan se pehle pehle tak agr intercrorse kerna chahay to koe harj nahi hai jiaz hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaj-ul-saliheen, maslah #5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agar sehri time jag late ay yani roza bend honay k 15 mint bad or kush bhi khay piay bagar neat ker li jay to kia roza ho jay ga.
Answer: Jo shakhs ramzan k rozon or isi tarah wajib rozon men jin k din moyan hen roze ki niyat k bagher sojaye or sehri men na uth paye lekin zuhur ki azaan se pehle pehle uth jaye or roze ki niyat kerle to uska roza sahi hai albtta agar azaane-zuhr k bad uthe to zaruri hia k ehtiyaat kerte hue qurbat mutlaqa ki niyat se baqi din khud ko roza batil kerne wali chizon se bachaye or us din k roze ki qaza bhi baja laye, lekin agr wo raat ko niyat kerte hue sajaye is irade se k subah roza rakhega or phir sehri per n uth paye to phir wo din ko kisi nahi waqt uthe uska roza sahi hia. Lehaza ap ka roza sahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1535). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar hm shary Me nhi uth sake but fazer ki namaz se phele uthe hai to kya hmara roza mana jyega
Answer: 1) Insan ramzan ki har raat ko os se agle din k rozay ki niyat ker sakta hay. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#1532). 2) Jo shaks ramzan k rozo or isi terah wajib rozo main jin k din moayyan hain roze ki niyat kiay baghair azan e subah se pehle sojaay agar wo zuhur se pehle baydaar ho jay or roze ki niyat kare tu oska roza sahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1535) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalam u alikum , boy par roza kab farz hota ha
Answer: Jab larka baligh hojaye to us pr tmam ahkamat islami lagu hojate hen jese namaz, roza or isi tarh ki dusri tmam ibadat, or agr ramzan men larka baligh hojaye azan subah se pehle to zaruri hai k roza rakhe or agr azan subah k bad baligh hojaye to us din ka roza us pr wajib nahi lekin agr mustahab roza rakhne k irada krliya ho to is surat men ehtiyate mustahab ye hai k us roze ko pura kre.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Eddition, maslah #1543).Khuda apki tofeeqat men izafa frmaye