Question: Khubsurati pane r gora rang pane,naukri r inteligency ke liye roza rakhna jayaz hai kya
Answer: Rozay main dosri ibadato ki terah qasd e qurbat zarori hay.yani khuda ki baargah main pasti or khuzu k izhaar k liay roza rakha jaay.Pas jo logo k dikhanay ya isi terah k kisi or maqsad {jaisa k aap ne biyaan kiay hain} k liay roza rakha jaay tu roza batil hoga. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#930,934,1531 ).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Meri walida bemaar hain aur roza nahi rakh sakti. Please mujhay bataain keh roza tarak karanay ka fidya kia hay?
Answer: Agar aap ki walda waqti tour par beemar hain to unhain chahae k aglay saal say pehlay(aainda ramzan) is rozay ki qaza kar lain aur fidya wajib nhi hota hai lakin beemari door honay k bawajood jan booj kar rozay na rakhain to phir fidya wajib hota hai lakin agar beemari ki wajah say ramzan k rozay na rakhay aur beemari aainda ramzan tak lambi ho jae to jo rozay unhonay na rakhain ho un ki qaza wajib nahi ho gai lakin zaroori hai k har din k badlay (jitney rozay na rakhain ho ) aik mudd toam(gandum, roti wagira) faqeer ko dain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1674-78) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam.mera sawal yeh hai ki kya muh(mouth) ka thukh nigalne se roza batil hota hai
Answer: Moo(mouth) ka pani(thuk) niglnay sai roza batil nahi hato hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1560 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A.O.A i want to ask during fast can we apply balm chap et etc on lips kiun k garmi k wjhaa say mere lips phat rhey hain
Answer: Lips par dawai lagana jaiz hai lakin agar wo dawai halaq mai chali jae to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1554-64) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: SLAM AP KO MERA SAWAL YE HAI KY ROZY KI HALAT MAIN EHTLAM
Answer: Agar rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu kya roza toot jaye ga? Aur kya agr raat ko ehtalaam ho jaye tu sbha bghair ghusal k roza rakh saktay hain?
Answer: 1)Rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai. 2)Aazaan subah tak jaan boogh kar ghusl e janabat na karna roze ko batil kardeta hai. (agar raat me ghusl janabt wajib ho jaay fajar k waqt se phele tak ghusl karna zaroori hai,). 3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab keh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571, 1553, 1630)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam O Alaikum , Kiya fajar ki azan ke waqt sher khaya ja sakta hai k nahi aur kin sharayet main kha sakta hai , Shukriya
Answer: 1-Rozay daar k liay zarori hay k Azaan e subh(fajr) se maghrib tak 8 chezoon se jo baad main biyaan ki jain gi perhaiz karay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # before 1531). 2-Jab roze daar khana(food) kha reha ho agar usay maloom ho jaay k subah(fajr) ho gae hay to zarori hay k jo luqma mooh (mouth) main ho usay ugal day. Aur agar jaan boojh kar wo luqma nigal lay to us ka roza baatil hojaay ga aur kaffarah bhi daina hoga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1555). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asslam O Alaikum, Mera Question ki roze ki halat mein munh mein thuk bahut aata hai to mein ise andar le sakta hun(aur agar jyada ikattah ho to iska kiya rasta hai) iske masayal meharbani kerke btaye.
Answer: Moo(mouth) ka pani(thuk) niglnay sai roza batil nahi hato hay chahae kisi wajha say bhi moo mai aa jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1560 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam, Sir mera swal ye hy k agar ko bimar ho roza na rkh sky tow kia koi us k liay roza rkh skta hy agar han tow kaisy?
Answer: Agar koe shaks kisi uzr( beemari) ki wajah se ramzan main rozay nah rakhay or ramzan k baad oska uzr door ho jay or wo aaindah ramzan tak amadan rozo ki qaza nah bja lay tu zarori hay k rozo ki qaza karay or har din k liay aik mud( 750gm) ta,aam bhi faqeer e shar,e ko day.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1676) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note : zinda shaks ka roza koe dosra shakhs nahi rakh sakta hay.
Question: Assalam 0 Alikum ager rat main bivi ky sath janabt ki jay ramazan main to kia sahri kar ky roza rakh sakty hain please tafseel sy bataye ga
Answer: 1)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. 2)Agar koi shakhs ramzan ki raat me junub ho jay to agar wo jaan bojh ker ghusl na karay yahan tak k waqt tang ho jay to zarori he k tayammum karey aur roza rakhe , is ka roza sahi he. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1591 , 1594)