Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2486
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar roza ki halat mein sote hue itlam ho jae to kiya roza toot jata hai

Answer: Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2491
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya roze ki halat main paste burush kar sakte hain ??

Answer: Agar paste jan boojh kar halaq me na pounchay to koi haraj nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # roza, ques # 170, pg # 83) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2493
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamalikum mera sawal ye hai ki kay roze me dadhi karte wakt blade se kat jaye aur khoon nikal aaye to kay roza tut jata hai?

Answer: 1) Jee nahi khoon nikalnay se roza batil nahi hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553). 2) i) Ethiat e wajib ki bina per mard k lie darhi mundwana jaiz nahi naiz ethiat e wajib k toor per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf tohri k baal rakhe aur baqi mundva lay. (ref : jadid faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255) ii) DARHI is had tak hona tu wajib hay ke urf(awaam) mein issay dari kaha ja sakay. REF: www.sistani.org, urdu istiftaat, dari, Q:7. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2497
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar kisi ko flue ho aur woh resha nigal le tou kia us ka roza toot jata hey plzzz rplyyy me

Answer: Sar aur seenay ka balgham jab tak moo(mouth) k ander walay hissay tak na pounchay ose nighalnay me koe haraj nahi laikin agar wo moo k andar aa jay to ethiyat e mustahab he k ose na nighla jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1561) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2498
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: roze me khushbu soogh sakte hai ki nahi samjhaiye

Answer: Rozay main khushboo soongh sakhtay he magar khushboo dar jari’botian soonghna makroooh he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629) (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # roza, ques # 172, pg # 83). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2505
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Wlaikum.. Sir mein Glasgow mein rehta hun yahan sehri abot 02:45 per hoti hay & aftari 21:45 per agar mein raat mein 12 bajay neet ker kay so jauu kya yeh sahee hay ya sehri kerna farz hay.

Answer: Insan ramzan ki har raat ko is se aglay din k rozay ki niyat kar sakhta he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1532) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2506
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: dahri mundwane ya katwany say roza totta hay ya nahi

Answer: 1)Darhi katwanay se roza batil nahi hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) 2)Ethiat e wajib ki bina per mard k lie darhi mundwana jaiz nahi naiz ethiat e wajib k toor per mard ko ye haq nahi pounchta k sirf tohri k baal rakhe aur baqi mundva lay. (ref : jadid faqhi masyl ayat ullaha sistani d.b. masla # 473 , pg # 255) 3)DARHI is had tak hona tu wajib hay ke urf(awaam) mein issay dari kaha ja sakay. REF: www.sistani.org, urdu istiftaat, dari, Q:7. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2511
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: roza ki halat main agr ikhtalam ho jae to kai roza toot jata hai..

Answer: Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2563
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ramzan ke roze rakhna kis umar se farz hai.

Answer: 1. Larki 9 qamari (chand waly) saal pyray karnay k baad baligh hoti hai. Larkay kay baligh honay ki 3 alamatain hain : 1) Naaf k nichay aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana 2) Mani ka kharij hona 3) Mashoor ki bina per 15 chand wale saal ka poora hona 4) chahray aur hoto per sakht baalo ka aana (jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray shari ahkaam wajib ho jatay hain (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail 31st Edition,Maslah #2215,2216) 2. Jab larka ya larki baligh ho jaay to un per roza rakhna wajib hai lekin agar baligh na ho to mustahib roza rakhnay ka irada kar liya ho to is surat me ehtiat-e-mustahib ye hai kay is rozay ko pura karay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail 31st Edition,Maslah #1543 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2612
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: QAZA ROZAY KI NIYAT KYA HAI? SHUKRIYA.

Answer: Zaroori hai ke ap ye jaante hon ke jo ap roza rakh rahain wo qaza roza hai or baarga e ELAHI main apne zillat ka izhar karne ke liye aazaan e fajar se magrib tak mubtilaat e roza se perhaiz kare ge. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1531 , 1536) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!