Question: agar roze ki halat main koi gulucoz ya khoon chadhwale to uska roza toot jaata hai hey ya nahi?
Answer: Is se roza nahi tootta. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1557 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).
Question: sar ko oil laghna mana hai roza ke halat ma ya ni
Answer: G han oil lagana roze men jaiz hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1554 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Salam, During fasting can we allowed to do brush using toothpaste
Answer: Wssalam o alykum, it is allowed but you can not eat toothpaste. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1554 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: AoA sir mujh ko Boht likoriya Hy Kya as se Roza rehta Hy or me napak tu nai rehti
Answer: Wssalam o alykum, likoriya se roza nahi tootta or paak bhi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1553).
Question: mera sawal y h k roze ki halat me nakhun kat sakteh kya aur mujhe aapke option Mujtahid-e-Taqleed ka means samjh nhi aaya isliye me mene first option select kr diya iska mtlb bhi samjhaye Shukriya
Answer: G han kat sakte hen.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1553).
Question: Roze ki halat main ghusal karne ka akhiri waqt kya hai.
Answer: Zarori hai ke Azaan e Subha se pehle gusal kar lain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1st , Maslah # before 985 , eidition #1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Aslam o alikum Mufti Saab ,, please muje jana hai ke Roza rakha ho or apni hone wali bivi k sath sexy batain karey to mani k katrey aye to kya us se Roza toot jata hai pleae ans me , Shukriya
Answer: Wssalam o alykum, ager hone wali bivi se ab tak nikah na howa ho to is terhan ki baatain karna jaiz nahi hai, Or ager mani ke na-nikalne ka itminaan o yaqeen na tha to roza batil hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1576 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Salamun aleykum mera sawal ye hai ke aaj mera roza haoi subh tk me paak thi haiz se farig ho gue thi pr kreeb do bjey thoda sa blood aa gya btaye meta roza hai ya nhi shojr khteu hai roza pura kro maa khte hai roza batil ho ggya plz jald jwab dejye
Answer: Wssalam o alykum, ager 2 baje aane wala koon koon e haiz hai to roza batil hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 1612 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Assalam u alaikum, mera ye problem hai k roze ki haalat me mujhe lower abdomen me jalan hota hai aur barik barik money k khatre nikalte hai . kya is ki wajeh se roza toot ta hai
Answer: Wssalam o alykum,G nahi is se roza nahi toot`ta. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah #1570 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: roze me kuch log saher karke sote aur magrib me uthte kya ye roza hoga
Answer: Jee haan, Agar roze ki niyat ker k so jain or maghrib per uthain tu bhi Roza sahi hai. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani, Masla#1553)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)