Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7644
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamwalikum Ramzan ke Month me Night Apne Bv se Sex Karna Jaiz hi ya nahi?

Answer: Ramzan ki Raato mai jima karna jaiz hai lekin Ramazan ki pehli Raat(Chaand raat) me biwi sai jima karna mustahab hai. (Ref: Minhaajus Saaleheen Ayatullah sistani (d.b) part #03 Masla #05)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7649
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia begair sehri kiye roza rkha ja skta????sehri k Lea ankh no khuli n uska time guzar gya

Answer: Jee haan Sehri k baghair roza rakha ja sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Masla #1531)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7650
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ramzan mai biwi k sath sex krna chahye ??

Answer: Ramzan ki Ratoo mai jima karna jaiz hai lekin Ramazan ki pehli Raat(Chaand raat) me biwi sai jima karna mustahab hai. Ramzan k Rozay ko jaan bhooj kar Jima aur Janabat par baqi rehnay ki wajah se Roza batil ho jata hai. (Ref: Minhaajus Saaleheen Ayatullah sistani (d.b) part #03 Masla #05)(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul Masail, Maslah #1630)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 7672
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roozay may thook peena Makroh hay ya , Batil hay Ya Roza toot jata hay???By Ayat-ul-allah Khamnai

Answer: Thook nigalne se roza batil nahi hota. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1560 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7680
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Me napak hu or me ghar 12 baje tak jaunga toh kya me roza rakh sakta hu

Answer: Ager Azaan e Subha se pehle gusal e janabat nahi kar sakte (yani wazu krna mumkin na ho) to tayammum karain, or ager ye bhi na karian to roza batil hai, qaza o kaffara dono wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1594 , 1596 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).

Id: 7692
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam , Ager Roze me kisi se mustribtion hojae to kya us se iska roza toot gaya is ko kya karna parega Kindly reply .

Answer: Wssalam o alykum, ager jaan booj ke kiya hai to roza batil hai, or qaza o kaffara wajib hai, or ager mani sote main ya kud ba kud nikal jaae to roza sahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1569 , 1570 , 1630 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7699
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meray mo may zakhm hay... rozay ki halat may agar may zakham par marham lagalo to is say roza batil ho jata hay?

Answer: Ager lagaya howa marham nigal lain to roza batil hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1554 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Id: 7918
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: manat maney hoy rozey ke doraan agar shoher janabat k lia bulae aur phir janabat ho jae ,to us roze k bare me kia hokem h

Answer: Roze ki haalate me jima (humbistri ) karne se roza batil ho jaata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) Agar aurat shohar se ijazat lie beghair in kaamo me nazar ( mannat ) mane jo shohar k hoqooq ( maslan jima ) k manafi ho to nazar ( mannat) sahe nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2607 ) agr aurat k mustahab roza rakhne se shohar k haq lazat( jima) ki haq talafi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hai.ye he hokum wajib ghair moaiyan maslan ghair moaiyan nazar( mannat ) k roze ka hai aur is surat me ehteyaate wajib ki bina per roza batil hogha aur nazar( mannat) bhi puri nahe mane jaay ghi . ye he hokum ehteyaate wajib ki pina per is waqt hai jab shohar , aurat ko mustahab ya ghair moaiyan nazar( mannat) ka roza rakhne se mana karde , chahay is se shohar ki haq talfi na bhi hote ho (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1710)

Id: 8027
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: nafli rozy main bhol kar koi cheez kha li jaye to roza toot jata hai?

Answer: Agar roze dar galte se kohe chease khale ya pi le to is ka raza batil nahe hota . (ref tauze ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1556 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8398
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz e Fajar parhne k baghir Nafli Roza rakha ja skhta hai?

Answer: Roze se muraad yeh hai ke khuda kay farman ki takmeel kertay hoy azaan-e-subh se maghrib tak 9 mubtilat-e-roza se perhaiz kia jay(Ref: Tauzeehul masail ,Ayatullah Khoi, Maslah#1559) Namaz perhe baghair bhi roza durust hay. (Ref: Tauzeehul masail ,Ayatullah Khoi, Maslah#1569) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: Wazeh rahay ke wajib namaz tark kerne ka gunah mile ga or roze ka kaseer sawaab bhi nahi mile ga.

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!