Question: I want to ask if anyone is drunk before the Holly month of Ramzan, to kya wo 40 din sy pehly rozy rakh sakay ga. Plz answer me.. Thank you
Answer: Is per bhi ramzan k roze rakhna wajib hain. (Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #1026 se qabl , pg#421). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya roze ki halat men main apni 9 month ki beti ko feed karwa sakti hon
Answer: Jee haan, jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1700). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Roja ki din fajar ki ajaan suna tak kuch kha sakte hi kya
Answer: Jee haan azan e subah tak insan k liay khana peena jaiz hay laikin is baat ka yaqeen zarori hay k azan waqt per ho rahi hay. or ye yaqeen kerne k liay k k is tamaam waqt main insan roze se raha zarori hay k kuch dair azan e subah se pehle or khuch dair maghrib k baad bhi aise kaam kerne se perhez kare jin se roza batil ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1531). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar mujhe piles hai tho mein roza rakh sakta hu ki nhi? or agar rakh liya hai tho or latering ke sath blood aa rha hai tho mera roza tut jaiga ki rhega. or namaz ada kar sakta hu ki nhi?
Answer: Piles main bhi roza rakha jasakta hay or pakhanay main khoon aane se roza nahi tut,ta or namaz bhi perhi jasakti hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 20-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam kya roza magrib nd isha prhny k bad iftaar krna sahi hy ya roza makrooh hojaega
Answer: Rozedaar k liay mustahab hay k roza iftaar kerne se pehle maghrib or isha ki namaz perhe. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1720). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya subah ke azan ke waqt paani pee sakte hai
Answer: Jee haan azan e subah tak insan k liay khana peena jaiz hay laikin is baat ka yaqeen zarori hay k azan waqt per ho rahi hay. or ye yaqeen kerne k liay k k is tamaam waqt main insan roze se raha zarori hay k kuch dair azan e subah se pehle or khuch dair maghrib k baad bhi aise kaam kerne se perhez kare jin se roza batil ho jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1531). Update on dated 20-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: roza kitne saal se farz hai
Answer: Jab lerhka or lerhki baligh ho jaen tu roza rakhna wajib hojata hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #1036 , Eidition 1430 hij). Update on dated 27-06-2015.Update on dated. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Can we Aftar with Ehle Sunat on some occusion i,e in offices or friends etc
Answer: No, you must do iftaar at your Iftaar timing. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1531). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agar koi insaan roza rakhnay kay liye sehri tab kare jab azaan ho rahi ho to roza wajib ho ga??????
Answer: Farj se leker maghrib tak mubtilaat e roza se perhaiz kerna zarori hay (Ref: Mafhoom e http://www.bahjat.org/index.php/ahkam-2/jame/597-2011-09-07-13-29-41.html ). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr roza ki halt mein ehtilam ho jaye roza toote ga ya ni Aur han ghussul kr k namaz parh sakte hein
Answer: Agar rozedaar ko need me ahtelaam (mani kharij ho jaay) to is ka roza batil nahe hota. Agar kise rozedaar ko din me ahtelaam ho jaey to os ka roza batil nahi hoga, or os per fouran ghusl karna wajib nahi hai balkeh namaaz se phele bhi ghusl kiya jasakta hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1571 ,1605 ). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).