Question: Mujhe ap se yeh puchna hai k jais k ap ko pata hai k ramdhan hai to kull main nain gusal e heez krna hai to kya main roza rakh kr baad main gusal kr sakti hoon k nahin plz reply must
Answer: Agar aurat ramzaan me fajar ki azaan se phele haiz ya nifaas se paak ho jaay to waqt namaaz fajar se phele ghusal haiz ya nifaas kar lena zarori hai aur agar wo ghusal karne me laparwaai kare waqt namaaz fajar tak ghusal na kare aur waqt short hone ki surat me tayammum bhi na kare to zarori hai is din ka roza pura kare aur qaza bhi kare . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1614 ) Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Rozay me tooth paste krne se kya roza toot jata ha ?
Answer: Roze ki halat me tooth burush karna jaiz hai haan agar rozedaar toot burush mou se nikaale aur dobara mou me le jaay aur is ki tari nigal le to roza batil hai sewaey is surat k is ki tari luaab dehan me gol mil kar is tara khatam ho jaay k ise behroni tari na kaha jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553,1554). Update on dated 02-05-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir mera sawal hai agar roza sehri krne se kuch der pehle nind me ahtlam hojae aur sheri me time bht kum bacha ho kiya ghusal krna lazmi he yan sheri ke bd insan ghusal kr skta hai?
Answer: Agar ghusl ka waqt nah ho tu farj k waqt se pehle tayammum ker roza main dakhil hona zarori hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1591). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya nightfall hone se napak ho jaye h or gusul krna wajib ho jata h or kya kapde Pak rhte h ya vo bhi napak ho hate h
Answer: Jee, ehtilam se ghusl e janabat wajib ho jata hay or libas per jis jagah mani lagi ho faqat wo jagha napaak hoti hay, baqi paak rehti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #119,356). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam allaikum ..Mets sawaal ye h ki agar jaan bujh k roza qaseer kre to roza tooty ga kya.. Jan bujh k qaseer krne jaye to..
Answer: Ramzan main safar kerne main koe haraj nahi laikin roze se bacne k liay safar kerna makhrooh hay. Yehi hukum har safar ka hay siwaey os safar k jo hajj, umrah ya kisi zarori kaam k liay ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1686). Update on dated 23-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar azan ke thori der bad jag lage toh roza kese raku
Answer: Agar ramzan main fajr ka waqt ho jaey tu phir khuch kha pee nahi sakte or isi baghair sehri k roza rakha jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1531). Update on dated 23-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: roza kis waqt kholna chaheya ak to hamri nazdeek ki masjid sa awaz ati ha to kholta ha to kuch tv ki awaz sa khol lata ha jab pas wali masjid pa to abi roza khona ki awaz he ni ai to kiya ye theak ha k ham tv ma roza ki awaz aye to khol sakta ha
Answer: Roza maghrib ki namaz k waqt per kholna jaiz hay. Masjid ki azan ya t.v ki azan meyaar nahi hay. Jab tak aap ko maghrib ki namaz k waqt k aane ka yaqeen nah hojey tab tak aap roza nahi khol sakte. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1531,1664). Update on dated 24-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslam o Alikum Hazrat mera question ye hai k mein ne sehri nhi ki oor sehri se 2 ghante late utha howN agr rozy ki niyat kr li jay to kya roza ho jata hai jawab ka muntazir howN please ans me
Answer: Agar aap is niyat k sath soay thay k kal roza rakhoon ga tu yehi aap ki niyat hogi or aap ka roza sahi hoga. Sehri kerna lazim nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1531). Update on dated 02-06-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia rozay ki halat main namehram se bt krne se roza tot jata h
Answer: Nahi, Na-mehram sai baat karne sai roza nahi toot ta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1553). [Updated on 05-Feb-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya nihar peyt roza rakh sakte Han
Answer: Roze main sehri karna wajib nahi hay. Azan e subah se maghrib tak qurbatan ilallaah roze ko batil karne wali cheezo se parhaiz karne ka naam roza hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1531). Update on dated 11-05-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).