Question: Kya him bina sehri k Rosa rakh salty gain Jo uth na saka ho sehri time lekin raat ko niyat ho rose ki
Answer: jee raat ko niyat ki jaasakti hai aap ka baghair sehri k roza rakh sakte hain or wo durust hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1532) [Updated on 12-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya him bina sehri k Rosa rakh salty gain Jo uth na saka ho sehri time lekin raat ko niyat ho rose ki
Answer: Jee raat ko niyyat ki jaa sakti hai or baghair sehri k roza durust hoga aap ka.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1532). [Updated on 12-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.A sir roza rakh k so jao phir ehtlam ho jaey to roza toot jaey ga
Answer: wsalam.Nahi, is sai roza baatil nahi hoga lekin namaz sai pehle ghusal karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#1570). [Updated on 13-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.A sir roza rakh k so jao phir ehtlam ho jaey to roza toot jaey ga
Answer: wsalam. Roza baatil nahi goa lekin aainda namazo k liay ghusl karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masial ayatullah seestani edition 41 maslah# 1570). [Updated on 13-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA.kya ramzan k hur rozay mein roz ramzan ki date ko date bolte huay niyat krni lazmi hai ya bus fajr ki namaz se pehle ya baad mein niyat krlen k “me ramzan ka roza rakhti hun....� Kyu k beech mein rozay miss bhi huay tou rozay kese count hongey?
Answer: Nahi, date wise niyyat karna zaroori nahi balke agar faqat fajar se pehle ramzan k rozay ka irada kar liya jaaye tou bhi kaafil hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition41 maslah#1531) [Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslam o alaikum mera question hai me sehri k time khtm hny k 4 min bad utha us waqt azan hrhi thi me ne thri si sehri ki(2-minutes) kia mera roza hgya? Ar sehri k time kab tak hta hai?
Answer: Agar azan fajar k waqt ho rahi thi tu aap ka roza sahi nahi hoga or agar azan fajar k waqt se 10 minut pehle sehri band karne k liay di gae thi tu phir aap ka roza sahi ho jaey ga. (Ref: Mujtahid se pochae gaey sawalaat sawal). updated on 25-05.19. [Updated on 26-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ایک دودھ پیتے چھوٹے بچے Ú©ÛŒ ماں Ù¾Û Ø±ÙˆØ²Û ÙˆØ§Ø¬Ø¨ ÛÛ’ یا بعد میں رکھ سکتی ÛÛ’
Answer: jo aurat bachay ko doodh pilati ho aur os ka doodh kam ho agar os ka roza rakhna khud is k ya doodh pinay walay bachay k liay muzr ho to os aurat per roza rakhna wajib nahi hai aur zaroori hay k har din k badlay aik mudd ta aam food faqeer ko day aur in rozoo ki qaza kerna zarori hai lakin ehtiyaat e wajib ki bina per ye hokum sirf is surat mai hai jab k doodh pilanay ka inhesaar isi aurat par ho lakin agar bachay ko doodh pilanay ka koi aur tareeqa ho maslan kuch auratain mil kar bachay ko doodh pilaein ya isi doodh pilanay mai feeder feeding bottle ki madad bhi lain to aisi surat mai is hokum k sabit honay mai ishkaal hai (Ref: Ayatullah sistani d b tauzee hul masail, maslah#1700) [Updated on 30-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar mahinr may 2 bar mc arhi h toh kya roza rakh skte h
Answer: aik mahine main do baar haiz aana mumkin hai laikin shart ye hay k doosra haiz kaz az kam 10 din k faasle se aay.Roze k sahi hone ki shart ye hay k aurat haiz o nifas se paak ho.(Ref: ayatullah sistani d.b, tauzihul masael jaame,Maslah#486,1913). [Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Molana sahb Mjy yh poochna hai k qaza rozay rakhny ki kia niyyat hoti h ya kaise krni chahin, shukria
Answer: insan ke liay rozay ki niyyat dil se guzarna ya masalan yeh kehna ke "me kal roza rakhonga" zaroori nahi balkeh is ka irada karna kafi hai keh woh bargah e ilahi me apni zillat ke izhar ke liay azan subah se maghrib tak koi aisa kaam nahi karega jis se roza batil ho aur yeh yaqeen hasil karne ke liay is tamam waqt men woh rozay se raha hai zaroori hai keh kuch der azan e subah se pehle aur kuch der maghrib ke baad bhi aise kaam karne se parhaiz kare jin se roza batil ho jata hai. (Ref:Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 1531 ). [Updated on 24-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: rozay m kaan chedwa sakta hn ?
Answer: Nahin is se roza batil nahin hota lekin Rozaydar k lie har aisa kaam krna jo kamzoori ka sabab ho makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1629,1553) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]