Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12288
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Iftar Se ek ghanta pehle kulli karte waqt Thoda pani galti se andar Chala gaya to kya roza tuth jaata hai aur agar tuth jaye to kya karna chahiye

Answer: Nahi , aap ka roza sahi hy. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1556). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12302
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia namaz k baghair roza sahi hay

Answer: Namaz perhe baghair bhi roza durust hay. (Ref: Tauzeehul masail ,Ayatullah Khoi, Maslah#1569) (Note: Wazeh rahay ke wajib namaz tark kerne ka gunah mile ga or roze ka kaseer sawaab bhi nahi mile ga.) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13209
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum mera sawal yeh hy k jo log sugar yeh kamzoori ki wajh sy roza na rkh shky... Kya un ki jaga pa un ki ulaad rozy rkh ly? Jasy marny k baad ksii k rozy rkhy jaty hyn k swab usy hi mily. Asy hi us ki hayat main rkh shkty hyn

Answer: Wa alaikum salam, jab tak koi insaan zinda hay us ki taraf se koi dosera us ka roza ya us roze ki qaza nahe rakhsakta chai roza rakhne wala us ki apne aulaad he kyu na ho . Jo shaks burhapay ki wajah se roza nah rakhsakta ho ya roza rakhna os k liay shaded takleef ka sabab ho tu os per roze wajib nahi hain laikin shadeed takleef ki sorat main har roze k badle aik mud kahana yani aata ya roti ya in se milti julti koe cheez 12 imami shia faqeer ko day. (Ref:sistani.org ,arabi, topic qaza suam,sawaal no: 24, Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1683,1696). [Updated on 17-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13347
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal yeh hai ky roza rakhny sy pehly hand practice krli ho aur phr ghusal kye bghair roza rkh lia jai aur phr usky bad ghusal krlia jai to kia roza qabool hga?

Answer: Istimna (hand practice/masturbation) karna gunah e kabira hay. aur is ke liye tauba karna lazim hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #30 , edition 2009). Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kardeta hai zarori hai k azan subh se phely ghusl karey or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zarori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa fiz zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masael 41th, edition maslah#1591,1630). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13395
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam. Mera aj nafli roza hai. Lkn sehri ky liye ankh nahi khuli to ky mera roza ho jaye ga mein nahar mun nafli roza rakh skti hun?

Answer: Jee han, Roze main sehri karna wajib nahi hay. Azan e subah se maghrib tak qurbatan ilallaah roze ko batil karne wali cheezo se parhaiz karne ka naam roza hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1531). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13564
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo alaikum. mery walid kafi saal sy SUGAR k mareez thy or intaqal kar gai hen. jo rozy nahi rakhy gai un ki Qaza dena he ya is badly kisi ghareeb ko khana khila den un rozo k hissab sy.

Answer: Baap k mernay k baad baray baitay k liay ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay k baap k rozo ki qaza isi terah baja laay jaisay k namaz k silsilay main {tauzeehul masail main} maslah # 1371 main tafseel say bataya gaya hay. wo ye bhi ker sakta hay k her din k badlay 750 gram khana kisi faqeer ko day day. chahay warisoo k razi honay ki sorat main mayyit k maal hi say day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1683). Note : agar baap ne apnay kuch rozay na rakhain hon aur un k qaza karnay par qadir ho to agar us ne khuda k hokum ki na-farmani kartay huay in ko tark na kia ho to ehtiyaat e wajib ki bina par wajib hai k baap k marnay k baad os k qaza rozay rakhain. 2) Agar kisi ne miyyat ka qaza roza rakha ho to behtr ye hai k zohar k baad roza na toray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1672 ) Insan k marnay k baad un ki namazoon, rozon aur doosri abadatoon k lie jo wo zandigi me nah baja laya ho kisi doosray shakhs ko ajeer banaya ja sakta he. Yani wo namazain rozay kisi ko ujrut de kar anjam diye ja sakhte hen Aur agar koi shakhs bagair ujrut lie un namazoon, rozon aur doosri ibadatoon ko baja laye tab bhi sahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1371, 1514). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13902
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mujhe nafli roza rakhna h par kis din ka rakhon jaise moula a s rakhty thy m bhi us din ka rakhna chata ho

Answer: 1: Saal ke chand dinon ke rozay rakhna haram hain jese, 1. Eid ul fitr aur eid e qurban ke din roza rakhna haram hai. 2. jis din k baray me insan ko ye ilm na ho k shabaan ki aakhri tareekh he ya ramzan ki pehli to agar wo is din pehli ramzaan ki niyat se roza rakhay to haram hai. 3. Agar aurat ke mustahab rozay rakhnay se shohar ki haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hai. 4. Agar aulad ka mustahab roza maan , baap k liay aziyat ka sabab ho to aulad k liay mustahab roza rakhna haram hai. 5. Agar koi jaanta ho k roza rakhna us k liye aisa muzir(nuqsaande) nahin hai k jis ki parwa ki jaay agarche tabeeb kahe k muzir hai to us k liye zarori hai k roza rakhe aur agar koi shaks yaqeen ya ghumaan rakhta ho k roza us k liye muzir(nuqsaande) hai agarche tabeeb kahe k muzir nahin hai to is per wajib nahin hai k roza rakhay. 6: Agar kise shaks ko yaqeen ya itmenaan ho k rozo rakhna is k lie qaable tawaju zarar (nuqsaan) ka baais hai ya is baat ka ahtemaal ho aur is ahtemaal ki bina per (is k dil me ) khouf paida ho jaay to agar is ka ahtemaal loqon ki nazar me sahi ho to is k liye roza rakhna wajib nahe balke agar wo nuqsaan insaani jaan ki halaqat ya kise hisse k naaqis hone ka sabab ban raha ho to roza haraam . is k ilawa surat me agar baqasde rija roza rakh le aur baad me maloom ho k roza is k liye qaable tawaju nuqsaan ka sabab na tha to is ka roza sahe hai. 2: Saal ke chand dinon ke rozay rakhna makroh hain jese, 1. aashoor k din roza rakhna makhroh hai. 2. us din ka roza bhi makhroh hay jis k baray main shak ho ke arfa(9) zil haj ka din hay ya eid e qubaan ka din hai. 3. arfa(9) zil haj ke din ka roza agar kamzori ka sabab ho k dua na parh sake to makrooh hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masael, Maslah #1709-to-1717). 3: Upar bataye gaye Haram or makrooh rozon ke alawa saal ke tamaam dinon ke rozay rakhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masael, Maslah #1708). [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14270
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya shaban keh maheenay mn aik roza rakh skty hain??

Answer: Saal main chand din ke rozay rakhna Haram or Makrooh hain jin main se chand ye hain. 1: Haram rozay: 1-Eid ul fitr aur eid e qurban ke din roza rakhna haram hai. 2-Jis din ke baray men insan ko ye ilm na ho ke shaban ki aakhri tareekh hai ya ramzan ki pehli to agar wo is din pehli ramzaan ki niyat se roza rakhay to ye haram hai. 3-Agar aurat ke mustahab rozay rakhnay se shohar ki haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hai. 4-Agar aulad ka mustahab roza maan baap ke liay aziyat ka maujib(sabab) ho to aulad ke liay mustahab roza rakhna haram hai is ke ilawa aur bhi haram rozay hain. 2: Makrooh rozay: Ashoor ke din roza rakhna makrooh hai or us din ka roza bhi makrooh hai jis k baray main shak ho keh arfa (9 zil haj) ka din hay ya eid e qubaan ka din hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1709,1710,1711,1717) (Note: Jee han, rakh saktay hain. Aur upar bayan kiye gaye Haram aur Makrooh rozon ke alawa saal ke tamam dinon ke rozay mustahab hain ). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14354
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Qaza roze agar ramzan Tak na rakhe ho to?

Answer: Agar aglay ramzan se pehlay qaza nahin baja lae gae tu har rozay k badlay ¾ kg khana fidya e takheeri k taur per daina wajib hoga. (Ref: Minhajus Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #1047). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14390
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya raza kholne k bad tv ya mobile use kr skte hn?

Answer: Is tarah ki cheezon ke istemal se roza batil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1553). (Note: Chahe rozay ki halat men hon ya rozay ki halat men nah hon dono sooraton men istemal kar sakte hain ). [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!