Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1276
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya shohar apne beve say ramazan k mahenay main humbistare kar sakta hy

Answer: Ramzan ki pehli raat ko hambistri karna mustahib he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) Aur ramzan me din k waqt hambistri karnay se roza batil ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565-68) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1285
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri wife pregnant thi 7 1/2 month me baby ki deth hogai wo ab roze nahi rakh sakti to usko kaza kazakrne honge-or kiya orat azaan desakti he ghar me

Answer: 1) Agar koe shaks beemari ki wajah se ramzan k rozay nah rakhsakay tu os ko chahiay k agalay ramzan se pehlay in rozo ki qaza rakh lay or agar ramzan k baad majbori k door honay k baad or aglay ramzan tak jaan bojh ker rozo ki qaza nah baja laay tu zarori hay k rozo k qaza karay or her din k liay 1 mud(750gm) khana bhi faqeer ko day.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1676). 2) Har mard aur aurat k lie mustahab he k rozana ki wajib namazoo se pahle azan aur aqamat kahey. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 903) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1305
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia rozy ki halt min menses aany sy rozh qahm rhta hay quran o snt ki roshni min wazhat krin.

Answer: Agar aurat rozay se ho or din main osay haiz ya nifaas ka khon aajay tu agarchah ye khon magrib k qareeb hi Q nah aay oska roza batil hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#1612 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1556
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: pury saal me kis kis din k rozy nhe rakh sakty

Answer: 1)Eid ul fitr aur eid e qurban k din k rozay rakhna haram hain. 2)Aur jis din k baray me insane ko ye ilm na ho k shahban ki aakhri tarikh he ya ramzan ki pehli to agar wo is din pehli ramzan ki niyat se roza rakhay to haram he. 3)agar aurat k mustahab rozay rakhne se sohar ki haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram he. 4) agar aulad ka mustahab roza maa baap k lie aziyat ka sabab ho to aulad k lie mustahab roza rakhna haram he.Is k ilawa aur bhi haram rozay hein . (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1709 , 1710 , 1711)

Id: 1789
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: roze ka fidya kin kin logon ko dia ja sakta he?

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabat diay jatay hein. Rozay ka fidya faqeer ko dia jay ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1665-1684)

Id: 2347
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main hammla hoen aur rozay rakhna mushkil hai keya karoen

Answer: Note : is web site me fiqah e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Jis aurat k waze hamal ka waqt (delivery time peroid) qareeb ho,os ka roza rakhna khud os k liay ya os k honay waly bachay k liay nuqsaandah ho tu os per roza rakhna wajib nahi hay or zarori hay k her din k badlay aik mud khana(750gm) faqeer ko day or zarori hay k dono soorto main jo rozay nah rakay hoon on ki qaza baja laay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1699). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2374
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamakum kitne kilometer safar tay kar lene par roje me jhoot mil sakte hai

Answer: 1)Jis musafir k liay safir me 4 rakati namaz k bajaye 2 rakat parhna zaroori ho ose roza nahi rakhna chahiay. Aur is ka safar aana or jaanna mila ker taqriban 44 kilometers se kam na ho.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1685). 2)Ramazan main safar kernay main koe haraj nahi laikin rozay se bachnay k liay safar kerna makhroh hay.yehi hokum her safar ka hay siwaay os safar k jo haj, Umrah ya kisi zarori kaam k liay ho. )Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 1686) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2378
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shaban men roza rakhnay ki neeyat kiya h?

Answer: Insane k lie rozay ki niyat dil se guzarna ya maslan ye kehna k “me kal roza rakhoo ga” zaroori nahi he. balke is ka irada karna kafi he k wo bargah e ilahi me apni zillat k izhar k lie azan e subah se magrib tak koi aisa kaam nahi karay ga jis se roza batil ho aur ye yaqeen hasil karnay k lie is tamaam waqt me wo rozay se reha he zaroori he k kuch dair azan e subah se pehlay aur kuch dair magrib k baad bhi aisay kaam karnay se perhaiz karay jin se roza batil ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1531) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2426
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam-o-alaiykum janab rozae aftar ki doa aftar se phele pahri jati hai ya bad main mustanad hadees k sat bataye plz merr azaiz kehte hain k phele pari jati hai.

Answer: Iftar ki dua ye he. اللہم لک صمت و علی رزقک افطرت و علیک توکلت (ref : kitab mafatihul jinnan pg # 319 mutarijim allama zeeshan haider jawwadi.)

Id: 2444
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.o.a.sir mene roza racha or mujhe namaz k baad soo gaya raeeb 11 baje k time mujhe ilham hoo gaya kiya mera rora raha mujhe reply karen plzz....

Answer: Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!