Question: sir pls send me rozay ki Niyat
Answer: Insane k lie rozay ki niyat dil se guzarna ya maslan ye kehna k “me kal roza rakhoo ga” zaroori nahi he. balke is ka irada karna kafi he k wo bargah e ilahi me apni zillat k izhar k lie azan e subah se magrib tak koi aisa kaam nahi karay ga jis se roza batil ho aur ye yaqeen hasil karnay k lie is tamaam waqt me wo rozay se reha he zaroori he k kuch dair azan e subah se pehlay aur kuch dair magrib k baad bhi aisay kaam karnay se perhaiz karay jin se roza batil ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1531) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: BIMARI KI WAJAH SE ROJA NA RAKH SAKE TO ISKA KUFFARA KYA ADA KARNA HOGA.
Answer: 1)Agar koi shakhs yaqeen ya ghuman rakhta ho k roza is k lie muzr (nuqsan day) he to agar chahe doctor kahay k muzr nahi he to zaroori he k wo roza na rakhay. 2)Agar koi shakhs beemari ki wajah se ramzan k rozay na rakhay aur is ki beemari ainda ramzan tak lambi ho jay to jo rozay os ne na rakhay hoon in ki qaza is per wajib nahi he. Aur zurari he k har din k lie aik mud(takreeban 750 gram ) twam yani gundum ya joe ya roti wagira faqeer ko de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1713, 1674) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir kya main apny biwi ka saath ramdan main raat ko sex kar sakta ho ya nahi
Answer: Ramzan ki pehli raat ko hambistri karna mustahib he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) Aur ramzan me din k waqt hambistri karnay se roza batil ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565-68) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: namaz k begair roza qabol hota hai kia..?
Answer: 1)Agar koi shakhs azan e subah se pehlay rozay ki niyat karay aur soo jay aur magrib k baad bedar ho to is ka roza sahi he. 2) Namaz deni aamal me se aik behtreen amal he. Agar ye bargah e allahi me qabool ho gye to dosri abadat bhi qabool ho jayen gi aur agar ye qabool na hui to dosray ammal bhi kabool na hoon ge. Rasool akram(p.b u h ) ne farmaya he ke “ jo shaks namaz ko ah’miat na de aur use mamuli cheez samja vo aakhirat me azaab ka mustahiq he” (ref tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b Masla # 1541 pg no 121) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: i am pergnent.4 month complete ho gy hain.mai ramzan k rozy rakh sktee hon. koe problm tho nai ho ge.
Answer: Jis aurat ka waze hamal qareeb ho, is ka roza rakhna khud is k lie ya ya is k honay walay bachay k lie muzr(nuqsan ) ho os per roza wajib nahi he. aur zaroori he k har din k badlay me 750 gram khana faqeer ko day aur zaroori he k jo rozay na rakhay hoon un ki qaza baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1699) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalamu,Alikum Mere name ussam hai,mera app se yeh sawal hai ke meri mother sugar ki mareez hain woh roza nahi rakh sakti.App batain kay kitna fidya dena hoga plz hamari maddad karen allah app ku kush rakhe (Ameen).
Answer: 1)Agar koi shakhs yaqeen ya ghuman rakhta ho k roza is k lie muzr (nuqsan day) he to agar chahe doctor kahay k muzr nahi he to zaroori he k wo roza na rakhay. 2)Agar koi shakhs beemari ki wajah se ramzan k rozay na rakhay aur is ki beemari ainda ramzan tak lambi ho jay to jo rozay os ne na rakhay hoon in ki qaza is per wajib nahi he. Aur zurari he k har din k lie aik mud(takreeban 750 gram ) twam yani gundum ya joe ya roti wagira faqeer ko de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1713, 1674) 3)sugar k mareezon k lie dua : sugar k mareezon ko chahaea k surah e bani israil ki ayat # 80 ko bila nagah taqreeban dhai mahinay tak 3 martaba subah aur 3 martaba sham parh kar pani per dam kar k pitay rehain inshallah sugar normal ho jay ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASSALAMU ALAIKUM. mera question yeh hai k beemar admi pr roza frz hai ya nahi?
Answer: 1)Agar koi shakhs yaqeen ya ghuman rakhta ho k roza is k lie muzr (nuqsan day) he to agar chahe doctor kahay k muzr nahi he to zaroori he k wo roza na rakhay. 2)Agar koi shakhs beemari ki wajah se ramzan k rozay na rakhay aur is ki beemari ainda ramzan tak lambi ho jay to jo rozay os ne na rakhay hoon in ki qaza is per wajib nahi he. Aur zurari he k har din k lie aik mud(takreeban 750 gram ) twam yani gundum ya joe ya roti wagira faqeer ko de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1713, 1674) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Slam, Kia mian bivi jb k bivi ka roza hi na ho or mard baghair mani k ikhraj apni bivi sy bos or kiar or chair char kr skta hy jb k usy yakeen ho k mani kharij nahi hogi?
Answer: 1)mani nikalnay k iraday k bagair missal k toor per apni biwi se chair ahar ya hansi mazaq karay aur ose itminan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albetta agar ose etminan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. 2)mani nikalnay k qasad k bagair insane apni biwi ka bosa lay ya koi shawat angaiz kaam karay to ye makrooh he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576, 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: roze ki halat me agar ahtlam ajaye to kia roza toot jayega? aur roze me ghusal ka tareeqa bataden?
Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1)Agar be-ekhtari ki halat me kisi ki mani kharij ho jay to is ka roza batil nahi hota he. agar chah rozay dar ko ilm ho k agar soe ga to to ose ethilam ho jay ga yani sotay me is ki mani kharij ho jay gi. Tab bhi is k lie sona jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1570-71) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 2)Ghusl e janabat kartay waqt ki mustahib dua. ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). 3)Ghusl ka tareeqa : Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
Question: Aslam o alaikum!p Mera aap ye sawal hai k rozay me tooth paste kr sakte hain ya nahi?
Answer: Agar paste jan boojh kar halaq me na pounchay to koi haraj nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # roza, ques # 170, pg # 83) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)