Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1279
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA Sir Agar hum ne raat ko humbistry ki aur subah ko roza rakha aur ghusal rozay ki baad namaz ki baad kya tu kya yeh roza saheeh hua.

Answer: Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1591) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1283
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: as salaam o laikum-rozeki halat me agar apni (mani)nikalo jabke mujhe nahi pata ke esa karne se mera roza toot jayega.to kiya mera roza tootgaya agar ha to mujhe kiya karna hoga.safseel se bataye

Answer: Agar insaan nah jaanta ho k jo batain batae gae hain on main se baaz rozay ko batil kerti hain or maslah jaan,ne k silsilay main os ne koe koh,tahi nah ki ho or nah hi kisi qisim k taraddud(shak) ka shikaar ho ya ye sher,e hujjat per etemaad rakhta ho or khane, peene or jima k alawa in af,aal(yani jin chezo se roza toot jata hay) main se kisi kaam ko anjaam day tu oska roza batil nahi hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 1625) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1289
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shohar mani nikaalnay k iraday k baghair bivi ka bosa (kiss) layna ya koe shehwat angaiz kaam kary to agar bive ki sharamgha say kuch kharig ho jay to kya us ka roza toot jata hay plz wazahat...

Answer: 1)Agar discharge hone se murad wo pani he jo aurat say shehwat k saath Khaarij hota hay agar is Hadd tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) 2)ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 356) 3)Agar mani k kharij na honay ka etminan na ho to is surat me is ka roza batil he aur qaza aur kaffara bhi wajib he laikin agar etminaan ho k mani kharij nahi ho gi aur kharij ho jey to is surat me is ka roza sahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # roza , ques # 28, pg # 27, 28) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1328
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya roze ki halat me thuk andar liya ja sakta hai aur sehri karne me do minute ki deri ho jaye to kya roja tut jata hai

Answer: Moo(mouth) ka pani(thuk) niglnay sai roza batil nahi hato hay chahae kisi wajha say bhi moo mai aa jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1560 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1845
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alykum G kya jub roze ki halat me sohbat kar li jaye,tub is se roza toot jayega ya nahi. Or mard or biwi kis had tak aik dusre k sharamgah ko suck kar sakte he?

Answer: Roze ki halat me jima (sohbat) karne se roza batil ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1553) Agar koi shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker jima ki wajah se batil karey jab k jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1565,1569,1630 eidition 2012) jaan bouch kar roza torne k kaffara 2 mahene roze rakhe ( yane roze is tara rakne zarore hai k aik mahena aik din musalsal roze rakhna aur baqi roze chur chur kar bhi rakhe jasakte hai) ya 60 sher`ee faqeero ko pait bar kar khana khilana ya har faqeer ko 750 gram gandum, rote wagira de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1632,1633 eidition 2012) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian na jaye. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15)

Id: 2324
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya ramzan ke waqt hambistari kar sakte hai

Answer: Ramzan ki pehli raat ko hambistri karna mustahib he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5) Aur ramzan me din k waqt hambistri karnay se roza batil ho jata he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565-68) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2427
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya Bache ko doodh pilane se roza tootjata hai

Answer: Jee nahi bachay ko doodh pilanay se roza nahi toota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2441
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: During ROZA if Vomiting happening so ROZA is stable or not.

Answer: Agar rozay dar jan boojh kar ulti (vomiting) karay agar chah wo beemari ki wajah se majboor hi q na ho is ka roza batil ho jata he. lakin agar be-ekhtiar ulti karay to koi haraj nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1618) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2457
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asslam u alaikum. sir mera question ye he ke sehri ke bahd apni b.v ke sath aik bister par so sakta he ya nai? aur agar sath lipat jaen ya bosa lain to rozay par asar paray ga ya nai?

Answer: 1) Rozay k doran jima karna rozay ko batil kar deta he lakin agar rozay daar mani nikalnay k iraday k baghair misaal k toor per apni biwi se cheirh chaarh ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jay ga. Aur agar mani nikalnay k iraday se cheirh charh ya dil lagi karay lakin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ethiat e lazim ki bina per zarori he k rozay ko mukammal karay aur is ki qaza bhi baja laye. 2)rozay daar k liay ye makhroh hay k mani nikaalnay k iraday k baghair apni biwi ka bosa lay ya koe shewat angaiz kaam karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565-1576, 1629) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2467
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia agar roza rakhny sy phly masuray sy khon nikqal raha ho to kia ya jaiz hy????

Answer: Agar rozay k doran khoon halaq me na jay to jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1554). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!