Question: Assalam-oAliokum AP say meraa sawal yeah hay kay Karachi Pakistan mahn Agah Sistani kay mustanad Wakil Kun Kun say hain.. Bhut Nawazesh ap kee Parwardigar app kay darjaat buland farmayee
Answer: Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik aqae Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A syed family of four.Husband & wife with 2 children needs a home to live & monthly expenses along with educational fees for their children.The husband is sick and does odd jobs now and then.Can I built a home and support the family from my Khums.
Answer: Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain Jis syed faqeer ko khumus diya jay zarori hay k os main ye chand shrait hon. 1) 12 imamo ko imam manta ho. 2) Ye pta ho k Khusmus ki raqam ko gunah k kaam main istimaal nahi karay ga. 3) Sharabi nah ho 4) Namaz or rozah rakhnay wala ho 5) Aylaaniyah(Khul) ker ghunah nah kerta ho. 6) Khud Yaqeen ya itminaan ho k ye syed hay ya phir 2 adil shaks os k syed honay k tasdeeq ker dain. 7) Ehtiyaat e wajib ye hay k os ko shem e sadaat os k saal bhar k akhrajaat say ziyadah nah diya jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1804-1819). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Salam! Agha sb mujhe khums se mutaliq sawal krna tha k 1000 or 50000 pr kitna kums nikalna hoga?
Answer: 1) Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804) Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: khums ka real ehkaam kia hai
Answer: 1) Khumus ki tareef:Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain.or jo shaks kamata nah ho,or os ka kharcha koe dosra bardaasht kerta ho tu,agar itifaaq say is ko koe samaan,ya raqam haasil ho tu ,jab osay ye samaan milay ho aik saal guzar jaay,or is main say jo baaqi bacha ho tu is ka khumus day.isi terah ye shaks her raqam ya maal k liay aik alag saal muqarrar ker sakta hay. 2) Jab Insaan Tijarat,Sanaat Hirfat ya dosray Kaam Kaaj say Rupea kamaey aur wo kamai khud uskay aur uskay Ahl-o-Ayaal kay Saal bhar kay Akhrajaat say ziada ho to zaroori hay kay zaid kamai ka khums yani panchwaan Hissa Mujtahid-e-Alam ya uskay wakeel ko day.Jo sarmaya karobar main istemaal kiya gaya hay agar us par pehlay say khums nikala ja chuka hay to us par koi khums nahi hay,warna us par khums nikalna hoga.Ref: (Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.262,Masala No.1722...Minhaajus Saliheen Pg.397,Masala No.1222.) Note: Aap mazeed malomaat k liay 9 am say 1 pm k darmiyaan in telephones numbers per raabta ker saktay hain. Tel: 021-32226948, 021-32237207. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mundarja zail jun chezu py khums qajib hai or kin per nai 1 haq mehar 2 mal diyath 3 mal ewaz khula 4 mal meras
Answer: Aurat ko jo mehar milta he aur sohar apni biwi ko talaq e khula dena k ewaz jo maal hasil karta he isi terha diyat k toor per milnay walay maal aur isi terha meras jo insane ko milay, in tamam maal per khums nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1724) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mai apna khums dena chata hoon mere pass nqad raktm nai hai jaidad hai to is sorat mai mujhe kia karna chaye
Answer: Insan har os cheez ka jis per khums wajib ho chukka ho isi cheez ki shakl me khums day sakhta he. aur agar chahae to jitna khums is per wajib ho is ki qimat k barabar raqam bhi day sakhta he. lakin agar kisi doosri jins ki surat me jis per khums wajib na ho dena chahae to ishkal he magar ye k aisa karna hakim e sharae ki ijazat se ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1758) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr aik cheez kuch yrz pehlay 5000 ke buy ke ho thn ab gift karni hai.ab wo cheez 10000 ke ho gaE nd khums ab tak nahi nikala.kia khums new price per nikaleyn gey?nd khums nikal ker gift dia jaey ga??
Answer: Agar wo cheez zaya nah hoe ho tu os cheez ki maujoda resale value (Qimat e Frokth) ka 24% khums k taur per day ker os cheez ko tohfe k taur per day sakte hain. Or agar wo cheez zaya ya khatam ho chuki ho tu 20% khums diya jay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #1247 ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asak, mera sawal hai ki jo raqam betiyon ki shadi ke liye kuch saalon ke liye jama ki jaye kya us par bhi khums wajib hai.
Answer: If a person cannot prepare all the dowry for his daughter at the time of her marriage, and has to do so over a few years, and if it is deemed unbecoming for him not to give away any dowry, Khums will not be liable on what he purchases during the year, provided it is within his means. But if he exceeds his means, or spends the profit of one year to buy the dowry in the following year, he will pay its Khums.( Rcvd: Email rcvd from A.Sistani(d.b),Dated: Jan 13, 2012). Translate: Agar koe shaks apni baiti k liay shadi k waqt tamaam jahaiz tayyaar nah ker sakta ho, or agar wo chand saal isi terha guzar jaa,in or ye smajha jaay k wo khuch bhi jahaiz nahi day sakay ga tu os cheez(yani jahaiz) par khums wajib nahi hoga jo os ne saal k dermiyaan khareedi thi, is shart k saath k wo os ki shaan o hasiyat k mutabiq ho.Laikin agar wo os ki haisiyat o awqaat se berh ker ho ya aik saal k perofit(salary/money) se dosray saal main jahaiz khareeda jaay tu wo shaks inka khums day ga.(Email Rcvd A.Sistani(d.b), Dated: Jan 13, 2012 ) Note: oper k maslay se wazeh hoa k wo raqam jo jahaiz k liay jama ki jaay tu os par khums maaf nahi hay. Balkeh sirif os jahaiz k saman par khums maaf hay jo insaan ki haisiyat o shan k mutabiq ho saal k doraan saal k munafe se khareeda gaya ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Please send me a List of Ulma in Karachi authorized to collect khums
Answer: Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik aqae Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ager koi larki anay jahaz k leyea raqam jama karay tu sal guzarnay k bad kia oun payson par khums wajib hoga?