Question: main apni salary se or makan ke rent se 10000/= bachat hoti hey iss per khums hai ya nahi
Answer: Jis shakhs nai kafiyat kar k saal bhar k akhrajaat k baad kuch raqam bacha li ho to zaroori hai k os bachat ka khums dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1726)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: khums kya hota hay
Answer: 1) Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804). 3) Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: khyms mal ka kitna fisad (percent)hota hay
Answer: khums maal ki bachat ka paanchwa hissa, 1/5 ya twenty percent hota hai) 1) Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: may private company may job krta hou aur her month salary say kuch paisay bachata hou to kia saal guzarnay k bad un paiso per Khums wajib hai?
Answer: (khums maal ki bachat ka (paanchwa hissa, 1/5) or twenty percent hota hai) 1) Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804). 3) Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik aqae Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia khums niklnay ka saal tabdeel karna jaiz hai?
Answer: Agar koi shakhs pichlay saal ki tamaam kamai ka hisab kar k is ka khums nikal dai to aglay jis din osay faida hasil ho ga wo is k khums k lie new saal ka pehla din ho ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 84 , pg # 52) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Na-balig bachay k maal mai sai khums niklna wajib hai ya mustahabb?
Answer: Na-balig bachay k maal mai sai khums niklna wajib hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 85 , pg # 52) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Kafi saal mai nai khums nhi nikala, kia un kaproo aur musalloo par jin ka khums nhi nikala gya, namaz sahi hai?
Answer: Agar khums osi kapray par jisay pehn kar namaz mai satarposhi ki thi ya musallay par wajib ul ada tha to ehtiyat ki bina par namaz batil ho gi, lakin agar osay ilm na tha ya jahil e qasir tha to namaz sahi mani jae gi. Albetta chon k aam tour par kaproo wagira ki khareed o farokht b-tor e kulli insan k zimay par hoti hai, lehaza khums bhi insan k zimay aa jata hai, khud kapray par nhi aata. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 86 , pg # 52) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Jab kisi ko shak ho k khums os par wajib hua hai ya nhi ya shak ho k is nai khums ada kia hai ya nhi to is ki kia zimay dari hai?
Answer: Pehli surat mai jab kisi ko shak ho k khums os par wajib hua hai ya nhi to zaroori hai k jis miqdar mai khums wajib honay ka ehtimal hai is ki nisbat apnay mujtahid ya os k vakil sai musalihat karay. Jab k doosri surat mai jab shak ho k aap nai khums ada kia hai ya nhi to is surat mai khums ki adaigi wajib hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 87, pg # 53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Bagir kisi zaroorat k srf khums sai bachnay ki khatir agar koi shakhs kisi kitab k chand safhaat parhay to kia is sai khums sakit ho jae ga?
Answer: Khums sai bachnay k lie kitab k chand safhaat ka parhnay sai khums sakit nhi hota hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 88, pg # 53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Bagir kisi zaroorat k srf khums sai bachnay ki khatir agar koi shakhs kisi kitab k chand safhaat parhay to kia is sai khums sakit ho jae ga?
Answer: Khums sai bachnay k lie kitab k chand safhaat ka parhnay sai khums sakit nhi hota hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 88, pg # 53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).