Question: Assalamoalikum. Ma ne makkah umrah kya 2 umrah 2 islamic month m. Phr madina gya. Wapsi makkah pr miqat se ahram nhi bsndha. Q k umrah ki neyat nhi the. Please rehnumai krain. Kya ye sahi ha??
Answer: Jis tarah meeqaat se pehle ahraam bandhna jaaiz nahin hai isi tarah meeqaat ke baad bhi ahraam bandhna jaaiz nahin hai. lehaza jo shakhs hajj-o-umra karna chahay ya hajj-o-umra karne ka iradah nah rakhta ho lekin makka aur harm mein daakhil hona chahay to us ke liye ikhtiyaari haalat mein baghair ahraam ke meeqaat se guzarna jaaiz nahin hai. chahay agay dosra meqaat mojood ho. lehaza agar koi shakhs kisi meeqaat se baghair ahraam ke guzar jaye to mumkina soorat mein wapas lootna wajib hai. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah sitani(d.b), Maslah #167). [Updated on 18-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia Kisi ka istaimal Kia howa ahram hum Apne Umrah main istaimal kr sakte Hain?
Answer: Kisi musalman ki razamandi ke bager us koi bhi cheez istemal karna Jaiz nahin hai, lekin agar us se ijazat lay kar (or us me ahraam ke tamaam sharaait moujood ho tu ) istemal ki jaye to koi haraj nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #394. + Manasik e hajj, Maslah #30,36). [Updated on 22-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya 1 saal k buchaiy ka umrah ho skta hy?? Aur usko diaper lga sakty hn?? Or kya us k ehraam mn elastic daal skty hn??
Answer: 1. Jee han, ho sakta hai. 2. Jee han, pehna satke hain. 3: Elastic ke zariye se girah(گرہ) nahin laga sakte. Note: Bachay ki taraf se tamam cheezen us ke wali ko anjam deni hongi wo is tarah ke bachay ko ahraam bandhay, un ko talbiyah kehlawaye aur agar woh seekhnay ke qaabil ho to use sikhaye (yani jo bhi use kehnay ko kahe woh keh sake) aur agar sikahnay ke qaabil nah ho to khud us ki janib se talbiyah kahe aur ahraam walay shakhs ka, jin cheezon se bachna wajib hai bachay ke wali ke liye jaaiz hai ke agar woh fakh(فخ) ke rastay se ja raha ho to maqam fakh(فخ) tak bachay ke silay hue kapray ya jo in ke hukum mein aaye use utaarnay mein takheer kare, isi tarah un afaal mein se jinhein yeh bacha anjaam day satka ho us ko anjaam dainay ko kahe aur jo anjaam nah day satka ho un ko khud wali is ki niyabat mein anjaam day, us ko tawaaf karaye, safa o marwah ke darmiyan saei(سعی) karaye, arfaat aur mushar(مشعر) mein wuqoof karaye, agar bacha rami (kanker maarne) karne par qaadir ho to use rami karne ko kahe aur qaadir nah ho to is ki taraf se khud rami kare namaz tawaaf parhay, sar monde aur deegar aamaal ka bhi hukum yahi hai. isi tarah bachay ki qurbani ka kharcha bhi wali ke zimme hai. Ahwat(احوط) yeh hai ke ehram ki halat me bachay ki lung ko us ki gardan mein daal kar nah bandha jaye balke kisi jagah par bhi nah bandha jaye aur soi(سوئی) waghera se bhi use mazboot nah kare balkay ahwat(احوط) ki bina par chadar mein bhi girah(گرہ) nah lagayei jaye lekin soi waghera se chadar ko mazboot o muhkam karne mein koi haraj nahin hai. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #8,242,243). [Updated on 12-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salam o alikum. Agar madinah se makkah jaty hoye ( makkah k rahaishi) ahram ki niyat na karen tu is surat mein kya ho ga?
Answer: Jis tarah meeqaat se pehle ahraam bandhna jaaiz nahin hai isi tarah meeqaat ke baad bhi ahraam bandhna jaaiz nahin hai. lehaza jo koi hajj-o-umra karna chahay ya hajj-o-umra karne ka iradah nah rakhta ho lekin makkah aur harm mein daakhil hona chahay to us ke liye ikhtiyaari haalat mein baghair ahraam ke meeqaat se guzarna jaaiz nahin hai. chahay agay dusra meeqaat maujood ho. lehaza agar koi shakhs kisi meeqaat se baghair ahraam ke guzar jaye to mumkina surat mein wapas lootna wajib hai. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah sitani(d.b), Maslah #167). [Updated on 29-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: سر میرا سوال یہ ہے کے میں عمرہ کرنے کے بعد بال نہیں کاٹ سکا کیا میں احرام کھولنے کے بعد بال کٹوا سکتا ہوں یہ پھر مجھ پہ دم واجب ہو گیا یے
Answer: Salam. agar aap taqseer karna bhool gaey thay tu jis waqt aap ko yaad aey aap taseer karain. Chahaey aap makkah se kharij ho agey hoon.(Ref: https://www.sistani.org/arabic/book/14/8175/ question#14) [Updated on 05-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Umrah mai Tawap karty Huve Kabah pe Hath raka Hath par khushbo lage Tab Dum faraz Hu Gya Ya Nhe.agr farz huwa tu ise kaise khatam kia jai sirf qurbani se ya koi Or hal Han Is Ka
Answer: Khulooq kaaba (خلوق کعبہ) aik itar hai jo ke zaafa (زعفا) aur dusri cheezon se banaya jata hai aur is se kaaba e muazzama ko muattar kya jata hai. Khulooq kaaba (خلوق کعبہ aik khaas qism ki khushbu) ko songhne se ijtinab karna ya is ko jism par ya libaas par milne se parhaiz karna wajib nahin hai. aur is se aap par koi cheez wajib nahin. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah sitani(d.b), Maslah #237). [Updated on 31-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa mera swal h kia during umrah or during ziarat husband wife sex krskty h ???or kia aurt ko bhi baal katne hoty h ???
Answer: 1: Ahraam bandhne ke baad 25 cheezen haraam ho jati hain in me aik jima (sex) karna hai. aur namaz e tawaf un nisaa ada karne ke baad jima (sex) karna halal ho jata hai lihaza namaz e tawaf un nisaa ada karne ke baad, husband wife jima (sex) kar sakte hain. 2: Halaq se muraad poore sar ko muondna/mundwana hai jabkeh Taqseer se muraad sar ke kisi bhi taraf se kuch baalon ka kaatna/katwana hai. 3: Umrah tamattu ke ahraam se bahir aana sirf taqseer par munhasir hai (yani umrah tamattu ke ahraam ko sirf taqseer hi ke zariye khola ja sakta hai. sar ka muondna/mundwana kaafi nahin hai balkeh sar muondna/mundwana haraam hai) jabke umrah mufrda ke ahraam se taqseer se bhi bahar aa satke hain aur halaq se bhi bahir aa sakte hain, taaham halaq karna afzal hai. yeh hukum mardon ke liye hai jab ke aurton ke liye taqseer(Yani Apne sar ke kuch baalo ko kaatna ) Muayin hai( yai yehe karna Hoga ) chahe umrah tamattu ke ahraam se bahir aana ho ya umrah mufrda ke. (Ref: Manasik e Hajj Urdu, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #139,350). [Updated on 03-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.o.a Mera swal agr koi bnda umrah k bad ahram utar kr dubara ghr se bandh k haram ja skta
Answer: Niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhne ke baad, ehraam ke kapron ka har waqt pehnay rehna wajib nahin hai, lihaaza rida ko zaroorat ke tahat ya bilaa zaroorat ke kandhay se hataane mein koi ishkaal nahin hai. isi tarah jab dusri chadar mein sharaait maujood hon to badla bhi jaa sakta hai. lekin ya baat waazih rahe ke niyat aur talbiyah ke sath ehraam bandhte hi jo cheezen Haram ho jati hain wo nahin utren gi jab tak ke wo aamaal anjaam na diye jayen jin ki wajah se wo cheezen utar jati hain. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #198). [Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr umrah krty waqt chadr ur jay
Answer: Koi haraj nahin, dobara kandhay pe rakh len. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), mafhoom e maslah #198). [Updated on 06-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum! Mjy pochna tha k Mera beta 1 Saal Ka h or use bukhar h to Kia umerah Mai Jane k liye use ehram skip kra k ghr k kapro Mai le ja skty hai??
Answer: Aik saal ke bache par hajj ya umrah wajib nahin hai lehaza use ghar ke aam kapron le jaa sakti hain. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), page #10,11,12,99,). [Updated on 12-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]