Question: Aoa ..agar Kisi or at ki Hajj application manzoor ho Gai ho or Hajj pe Janae ki tayari mukammal ho laikn usae talaaq ho jaye to kia iddat main wo Hajj pe ja sakti hai?
Answer: Talaq ki iddat ke dauran jo cheez Haram hai wo shadi karna hai. lekin ghar se baahir nikalna Haram nahin hai iddat chahe Talaq ki ho ya wafat ki ho. Lehaaza Hajj pe jaa sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2365,2475,2481,2482). [Updated on 11-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya berozgaar beta apni Maa ki kamai se Maa k saath Hajj kr skta hai? Uski Maa ko retirement k baad jo fund Mila hai ussi paiso se wo apni Maa k saath Hajj kr rha hai..unke walid hayat hai lekin wo nhi Jaa rhe unke saath.
Answer: Agar maan apne betay ko itni raqam ka maalik banaye ke wo hajj ke liye kaafi ho to wo hajj kar sakta hai, Q ke insaan ke liye yeh wajib nahin hai ke wo apne hi maal se hajj kare lehaza agar maal kharch kiye baghair ya dosray ke maal se (maslan maan ke diye hue maal se) hajj kare to kaafi hai. (Ref: Manasik e hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #30). [Updated on 16-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: If husband is paying for hajj, and wife had a certain khums obligatory, however she does not have enough money to pay all before leaving for hajj. What is the ruling in this case.
Answer: If someone is given money to go only on Hajj, it will be obligatory on him/her to go for Hajj however its better to contact any Wakeel of Ayatullah Sistani for Remaining Khums Amount. (Ref: Manasik e Hajj, Ayatullah Sistani d.b, Page No. 40, Point No. 46) [Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mere account me 5000 saudi riyal the lekin lekin haj pe jate waqt mera atm card kaam nahi kia kunki maine eqama renew hua tha to maine dusre sathi se 2000 saudi riyal lekar gaya,is wade par ke mai bank se draw karke wapis kardunga,to kia is halat me dusre se paisa lekar haj pe jana jayez tha k nahi.
Answer:
Question: SALAM, DURING TAWAF OF UMRAH-E-TAMATTUH I WAS PULLED BY SOMEONE DUE TO WHICH I GET FEW STEPS FORWARD. AFTER 2 DAYS I GOT TO KNOW THAT THOSE FEW STEPS WERE NOT COUNTED IN THE TAWAF AND WAS SUGGESTED TO MAKE ONE ROUND WITH THE NIYAT OF IHTIYAT. PLEASE TELL IS MY ACT CORRECT AND WILL IT EFFECT HAJJ ? WHAT ABOUT THE ACTS DURING THOSE 2 DAYS WHICH ARE HARAM DURING IHRAAM AND WHAT ABOUT THEIR KAFFARAS ?
Answer:
Question: mera sawal yeh hai k mein dubai sy umrah mufradah k liye jaa raha hoo tw mera meeqat kon sa ho ga.buht sy log Ayesha Masjid sy ahramm bandhty hai yeh sahi hai ya door waly meeqat sy hi ahram bandhna ho ga jaisy Masjid Shajara sy aur meri wife 2 months pregnant hai tw us ko ahram banhna wajib ho ga ya woh sirf ziyarat kar sakti hai. pls mujhy jawab jaldi chahiyaa.shukiya
Answer:
Question: kia umrah mufrada main lether ki west belt document safe key liye ihram key uper pehni ja sakti hai. 2. kia joton ko kaprey key bag main dal kar kaba main ihram key saath carry kia jasakta hai. 3. makkah aur madina main namazin qasar parhi jayain gi ya puri parni hai.
Answer:
Question: As salam o alaikum maine yeh puchna ha K kya hm periods K Dino main quran Pak ki ayat gloves pagan kr likh sakte hain main ma islamiat ke student ho kabhe kabhe quran ke Kuch ayatain likne par jate hain to kya main inhe periods ke halat main gloves pahan kr likh sakte hu
Answer:
Question: السلام علیکم Mera sawal te h ki mere ammi ko nana ne hissa ly lo kaha tha us waqt ammi ne nana ko koi jawab ni dya tha ab nana ka death hua h aur mamo ne wo hissa dya h ab us hissy py ammi par hajj wajib hoga kya ??? Aur agr ammi wo hissa mamo ko maaf kre tb b hajj wajib to ni hoga na ..
Answer:
Question: Salam Mera sawal te h ki mere ammi ko nana ne hissa ly lo kaha tha us waqt ammi ne nana ko koi jawab ni dya tha ab nana ka death hua h aur mamo ne wo hissa dya h ab us hissy py ammi par hajj wajib hoga kya ??? Aur agr ammi wo hissa mamo ko maaf kre tb b hajj wajib to ni hoga na
Answer: