Question: Assalamolekum...mai yeh puchna chahti hu ke maa baap se pehle beti ka haj ho skta hai kya
Answer: Baiti per agar haj ki raqam or digar sharaet pori ho jain tu baiti per haj wajib hay, chahay maan or baap ne haj nah kia ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e haj,Mafhoom e Maslah #1). Update on dated 23-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ASALAM U ALAIKUM MERA SAWAL Ye ha k mere dada ne do shadiya ki kiya me apni dosri dadi ka mehram bn kr ja sakta ho umrah krne
Answer: Dada ki doosri bivi aap ki mehram hain, or umrah ya hajj per mehram k a sath hona zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3,Mafhoom e Maslah #155) + Manasik e haj, Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 29-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Is it compulsory for a girl to go with father or guardian for umra and haj
Answer: It is not compulsory.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 27-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ميرا بيتا 8 سال کا ہے کیا میں اپنے 8 کے بیٹے کے ساتھ عمرہ کرنے جاسکتی ہوں اس والد مجھے طلاق دیا ہوا ہے ایک سال ہو گئے ہیں؟
Answer: Hajj per mehram k sath jana zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 15-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia ma apne 8 saal k baitay k sath umrah karne jasakti hun jab k us k walid mujhe divorce kar chuka hai 2 sal pehle?
Answer: Haj per mehram k sath jana zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 15-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera swal ye hy k agr koi shaks hajj k doran doran-e-hajaat ahram khol dy to kia is per dam wajib ho jata hy ?
Answer: Ehram k do kaprhoon ka pehenna mustaqil wajib hay or ehram k durust sabit hone main bataur e shart nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e Haj, maslah #188). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: umrah kay bad app khud baal kat sakty hain ya koe mehram app ky bal kat sakta ha ???
Answer: Khud baal kaat sakte hain. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Manasik e hajj pg#309). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Umarrh k doran miaan sy sohbat ki ja sakti hy??
Answer: Halat ahram (chahae ahram umrah ka ho ya haj ka) me Humbistri karna haram hai.(Ref : Manasik haj aqa sistani farsi masla no 209) [Updated on 25-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alaikum meny pocha tha k umrah karne wale hazraat ko kya hum Hajji sab keh kar bola sakte hain ?
Answer: Was Salam. Haaji usay kehte hain jis ne hajj kia ho. [Updated on 04-Jan-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASSALAM O ALIKUM KIA MAIN MAA BAAP SE PEHLE BIWI BACHHU KU UMRAH KARWA SAKTA HU?MAIN SAUDI MAIN KAAM KRTA HU,PLS REPLY\"
Answer: